Islamic Blog

Qur’an :
17 Surah Bani Isră’eel, Aayat 1 :

سُبْحَانَ الَّذِي أَسْرَى بِعَبْدِهِ لَيْلاً مِّنَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ إِلَى الْمَسْجِدِ الأَقْصَى الَّذِي بَارَكْنَا حَوْلَهُ لِنُرِيَهُ مِنْ آيَاتِنَا إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ البَصِيرُ

Paak hai wo zaat jo raat ke thode se hisse me apne (mehboob) bande ko Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa tak le gai, jis ke ird gird ko hamne ba-barkat bana diya hai taake hum us ko apni (azeem) nishaaniya dikhayen.
Beshak wo khoob sunne waala khoob dekhne waala hai.

***********************
Shab e Me’araaj ka bayaan :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
12 Nabawi (621 A.D.) me Rajab ki mubarak 27wi raat me ALLĀH ta’ala ne apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ko Me’araaj ata farmaai aur aap ko La makaan ki us bulandi par bulaaya jis ka koi tasawwur bhi nahi kar sakta aur Aap ko Rab ta’ala ne apna deedaar karaaya aur Aap se kalaam kiya aur Mo’mino ke liye Namaaz ka tohfa ata farmaaya.

Me’araaj un Nabi sallallāhu alaihi wa sallam ka bayaan :

Aashiqane Mustafa se guzarish hai ki
Is link ko open karke Post padhen aur Share karen.

***********************
Shab e Me’araaj ke Nawaafil :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Maah e Rajab ki 27wi shab ko namaaz e Isha ke baad in namaazo ko khaas padhen.

(1) 2 Rak’at nafl Tahyat ul Wuzu padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 1 baar Aayat ul Kursi aur 3 baar Surah al-Ikhlaas padhen.

In shaa Allāh har katra paani ke badle 700 rak’at nafl namaaz ka sawaab milega.

(2) 12 rak’at namaaz 4-4 karke padhen.
Pehli 4 rak’at me har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 3 martaba Surah al-Qadr padhen.
Salaam ke baad baith kar 70 martaba LA ILĀHA ILLALLĀHUL MALIKUL HAQQUL MUBEEN padhen.
Dusri 4 rak’at me har rakaat me Surah Faatiha ke baad Surah Nasr 3 martaba padhen.
Salaam ke baad baith kar 70 martaba LA ILĀHA ILLALLĀHUL MALIKUL HAQQUL MUBEEN padhen.
Teesri 4 rak’at me har rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah Ikhlaas 3 martaba padhen.
Salaam ke baad baithkar 70 martaba Surah Alam nasrah padhen.
Phir yaqeen ke saath ALLĀH sub’hān wa ta’ala ki baargaah me us ke Habeeb sallallāhu alaihi wasallam ke waseele se dua karen. In shaa Allāh ALLĀH ta’ala har jaa’iz haajat puri farmaega.

(3) 4 rak’at namaaz 2-2 karke padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Ikhlaas 27 martaba padhen.
Salaam ke baad 70 martaba Durood shareef padhen aur 70 martaba Astaghfaar padhen : ‘Astaghfirullāhallazi laa ilāha illa huwal hayyul qayyoom wa atoobu ilaihi’ aur apne gunaaho ki maghfirat talab karen.
In shaa Allāh ALLĀH ta’ala apni rahmat e kaamila se gunaah muaf farmakar maghfirat farmayega.

(4) 20 rak’at namaaz 2-2 karke padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Ikhlaas 1 martaba padhen.

Phir yaqeen ke saath Dua karen. In shaa Allāh ALLĀH ta’ala jaan o maal ki hifaazat farmaega.

************
25aa25aa► Agar koi Surah yaad na ho to har rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah Ikhlaas ya dusri jo Surah yaad ho wo padhen.

25aa25aa► Aur kisi wajah se tamaam namaaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni padhen aur phir Tilaawat e Qur’an, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen.

25aa25aa► Aur apne liye aur tamaam ummate Mustafa ke liye Dua e khair aur apne aaba wa ajdad aur tamaam marhoomeen ke liye Due e maghfirat karen.

25aa25aa► Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaaz padhen taake bariuz zimma ho jaaye.
Aur tauba karke ye pakka ahad karen ke aa’inda sab namaaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaaz ke foyuz o barkaat haasil karte rahenge.
Nafl namaaz ka pura sawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai.

************
Maah e Rajab ki 27wi taarikh ko namaaz e Zohar ke baad
4 rak’at namaaz ek salaam se padhen.
Pehli rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah Qadr 3 martaba, Dusri me Surah Faatiha ke baad Surah Ikhlaas 3 martaba, Teesri me Surah Faatiha ke baad Surah Falak 3 martaba aur chothi me Surah Faatiha ke baad Surah Naas 3 martaba padhen.
Salaam ke baad Durood shareef 100 martaba aur Astaghfar 100 martaba padhen.

Phir yaqeen ke saath ALLĀH sub’haan wa ta’ala ki baargaah me us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke waseele se dua karen. In sha’ Allāh ALLĀH ta’ala har jaaiz muraad puri farmaega.

**************
Maah e Rajab ki 27wi taarikh ko Roza rakhen.

27 Rajab ko Roza rakhkar Iftaar ke waqt Dua karna, 10 saal ke gunaaho ka Kaffaara hai.

Hazrat Salmaan Faarsi radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘27 Rajab ko Roza rakhne ka sawaab 100 maqbool Roze ke baraabar hai.’

(Sho’ab-ul-Eimaan)

Jis ne 27 Rajab ka Roza rakha us ke liye 60 mahine roza rakhne ka sawaab hai.

(Al-Ghunyatut Taalibi Taariqi lil haqqi, Jild -1, Safa -182)

*************** ******
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ahle bait waseele se aur Auliya Allāh aur Shohada ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko Nek amal karne ki aur Gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae.
Aur is mubarak raat me ALLĀH ta’ala ki raza ke liye sahi tareeqe se Ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur humari ibaadat ko qubool farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Har pareshaani aur Ranj o gham se najat ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm