Islamic Blog

3 Sha’baan – Yaum E Wiladat IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA’ALA ANHU

∗ Imaam Hussain (Razi Allahu Anhu)
» Alqab : Shaheede Moazzam, Imam E Aali Maqam

Aap 3 Sha’aban 4 Hijri (8 January 626 A.D.) Ko Madina Sharif Me Paida Hue. Aap Ke Walid Ka Naam Hazrat Ali Ibne Abu Talib Radiallah Ta’ala Anhu Aur Walida Ka Naam Hazrat Bibi Fatima Binte Muhammad Mustafa Radi Allahu Ta’ala Anha Hain.

» Wiladat : Aap Aimma-e-Ahle Bait Ke Teesre Imam Hain. Aur Aap Huzoor (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) Ke Khalifa Hazrat Ali (Radiallah Ta’ala Anhu) Ke Silsila-e-Tareeqat Ke 4 Khalifa Me Se Hain.

Aap Ke Bare Me Huzoor (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) Ne Farmaya Hai : (1) Hasan Aur Husain Jannati Naujawano Ke Sardar Hai. (2) Husain Mujh Se Hai Aur Main Hussain Se. (3) Jis Ne Husain Se Muhabbat Ki Uss Ne Mujh Se Muhabbat Ki.

» Jab Kabhi Husain (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Ke Rone Ki Aawaz Aati Thi To Huzoor (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) Farmate The Ke ‘Aye Beti Fatima, Husain Ko Na Rulao, Uske Rone Se Mujhe Taklif Hoti Hai.’

» Ek Baar Jab Rasool Allah (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) Halate Namaz Me The Aur Aap Khelte Khelte Nana Jaan Ki Pusht Mubarak Par Sawar Ho Gae To Pyare Aaqa (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) Ne Husain Gir Na Jaye Is Wajah Se Apne Sajde Ko Tawil Kar Diya.

» Aap Ki 4 Biwiya Hain : 1.Shahrbanu, 2.Rubab Binte Imra Al-Qais, 3.Layla Binte Abi Murrah Al-Thaqafi, 4.Umm Ishaq Binte Talha.

» Aap Ke 3 Bete Aur 3 Betiyan Hain : Bete : Zainul Aabidīn, Ali Akbar, Ali Asgar, Betiya : Fatima Kubra, Fatima Sugra, Sakina.

» Aap Ki Nasl Imam Zainul Aabidīn (Razi Allahu Anhu) Se Jaari Hai.

» Shahid-e-Karbla : Aap Ne Yazid Ibne Amir Muawiayya Se Bai’at Karne Se Inkar Kiya. Kyun Ke Yazeed Fasiq Tha Aur Har Kaam Khilafe Shariat Karta Tha. Iss Liye Jab Aap Ahle Bait Aur Apne Saathiyo Ke Saath Madina Se Kufa Ki Taraf Ja Rahe The Tab Yazid Ne Kufa Ka Governor Ubaydullah Ibne Ziyad Ko Kehkar Umar Ibn Sa’ad Ki Sardari Me Ek Bada Lashkar Bheja. Us Lashkar Ne Aap Ko Karbala Me Gher Liya Aur Nehre Furat (Euphrates) Par Qabza Kar Liya Aur Aap Ko Aur Aap Ke Saathiyo Ke Liye Pani Band Kar Diya. Aap Ne Uss Lashkar Ke Saath Jang Ki. Jis Me Ek Ke Baad Ek Aap Ke Jaan Nishar Saathi Aur Phir Aap Ke Bhai Hazrate Abbas Radiallah Ta’ala Anhu Aur Aap Ke Bete Naujawan Ali Akbar Aur 6 Mah Ke Ali Asgar Shaheed Ho Gae. Aakhir Me Aap Bhi Jang Ke Liye Aae. Aur Jang Ke Dauran Zohar Ki Namaz Padhte Waqt Halate Sajda Me Shimr Ibn Thil-Jawshan Ne Khanjar Se Aap Ke Sar-e-Mubarak Par War Kar Ke Aap Ko Shaheed Kar Diya. Is Tarah Aap Ne Karbala Me Islam Ki Hifazat Ke Liye Batilo Ke Khilaf Jung Ki Aur Apna Khandan Aur Jaan Nisar Saathio Ki Qurbani Di Aur Khud Bhi Shaheed Ho Gaye. Mo’mino Ko Ye Darse Amal Diya Ke Hamesha Haq Ka Saath Dena Aur Koi Bhi Pareshani Ho Sabr Aur Namaz Se ALLAH Ta’ala Se Madad Talab Karna. » Shahadat : Aap 10 Muharram 61 Hijri (10 October 680 A.D.) Ko Shaheed Hue. Aap Ka Mazar Karbala (Iraq) Me Hai.

ALLAH Ta’ala Uske Habeeb (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) Ke Sadqe Me Aur Imame Husain (Razi Allahu Anhu) Aur Shohda-e-Karbala Aur Ahle Bait Waseele Se Sab Ko Mukammal Ishqe Rasool Ata Farmae Aur Sab Ke Imaan Ki Hifazat Farmae Aur Sab Ko Nek Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmae Aur Sab Ko Duniya Wa Aakhirat Me Kamyabi Ata Farmae Aur Sab Ki Nek Jaiz Muraado Ko Puri Farmae. Aameen!!

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)