Islamic Blog

*Aaj Shadi Shuda Zindagi Kamyab Kyu Nahi Hai*

Jo Islam Agar kisi Sone Wale ko Taklif Hoti ho to Buland Aawaz Se QURAAN Padhne

ki bhi Izaazat Nahi deta Aaj Usi Islam
Ko Manne Waale Is Qadar Behayayi
ke Shaitani Kaam Karte hai Poori Raat D.J
bajaate hai Tarah Tarah Ke khurafaat
Karte hain

Aur logon ki
Neenden Kharab Karte hai Aur
Nabi-e-Paak Sallalllahu Alaihi Wasallam
Ki Taleem Ka Mazaaq Udhate hai
Na Masjid Ka Ahtiram
Karte Hain

Aur Na hi Padosiyon ki
Taklifon Ka Khyaal Karte hai,
Mere Azeezo Hum Shadiyon Mein Aise Be’Murabbati Waale Kaam Karke
Konsa Sawab Kama Rahe Hain,

Be Pardah Auraton Ke Bich Na’Mehram Mardon ko Bithakar Naach Gaano
Ka Programe Rakhna Konsi Jannat ke Talabgar hai
Kya Hamare Pyaare Aaqa Sallalllahu Alaihi Wasallam Ne Yahi Taleem Di thi

Aaj Shadi Shuda Zindagi Kamyab Kyu Nahi Hai

Aaj Shadio Me Be’inteha Kharch Karne Ke Baad bhi Shadiyan Kamyab Nahi ho
Paa Rahi hai lakho kharch
Karne ke Baad bhi Shadi shuda zindagi
Kamyaab Nahi ho Paa Rahi
Hai

Shadi ke Kuchh Din Baad hi Talaaq Tak Nobat Aa Jaati Hai
Jin Maa Baap Ne Beti ko Lakhon
Ke Dahez Islie dekar bheja tha ki meri beti khush Rahegi

Par Wo Us Maalo Doulat Kharch Karne Ke Wabjood bhi khush Nahi Hai
Kahin Iski Wajah Shadio Me Ye Shaitani Kaam To Nahi
Log Keh Dete Hain ki
Khushi ke Mouke Par Sab Chalta hai

Shaitani Kaam Karne Se Khushiyan Nahi
Barbadiyan hoti hai
Han Agar khushi ke Mouke Par
Agar Allah ki Farma Bardaari ki Jaye To Khushiya Hamesha ke Lie Qayem ho Jaati Hai

Aur Shadi k Baad Bhi
Ladka Ladki Me Mohabbat Qayem Rahegi Hamesha
Kyunki Us Shadi ki Buniyaad Allah ki Farmabardari
Qayem Rakhte hue hui hai

Aur Usme Allah ki Razaa Shamil hai
Bhala Jis Shadi me Allah Aur Uske Rasool ko khush karke Shadi ki Jaye Uski Na Farmani na ki
Jaye Har Kaam Sunnat ke Mutabik kia Jaaye
Allah ke Rasool Ke Farman ke Mutabik Kia jae

Wo Shadi Aur Kamyaab Na Ho Aisa ho hi Nahi Sakta islie Iska Hamesha
Khayaal Rakhe koi Bhi Kaam Karen
Usme Allah Aur Uske Rasool ke Farmaan ke
Mutabik karen Insha Allah wo kaam Kabi bhi Nakaamyabi ki Taraf Nahi Jaega
Shadi Me Kuchh Karna hi hai

To Allah Aur Uske Rasool Sallalllahu Alaihi Wasallam Ke Zikr Ka Program Rakhe

Taqreer Karaye Ulma-e-Kiraam ko Bulakar Program Karaye Fir Dekhen kaisi Barkat
Hoti hai Us Shadi me Khushiyan Paiso Se Nahi Kharidi Jaati hain Ye Baat Hmesha Yaad Rakhe Khushi Allah Aur Uske Rasool ki Razaa Hasil Karne Se Milti hain

Kya Musalman Apne Nabi Sallalllahu Alaihi Wasallam
Ke Un Sajdon ko bhool Gaye Jinme Hamare lie Bakhshish ki Duaa ki Jaati thi
Kya humare Musalman Bhai
Itna gir Chuke hain Hum Khudko Musalman kehte hain Aur Islam ko yun Badnam kar Rahe hain

Hamare Pyaare Nabi Sallalllahu Alaihi Wasallam Ne Humko Apna ummati kaha
Aur Hamare Lie Dua Karte Rahe
Aur Hum Apne Nabi ki Pyaari Sunnato ko
Pamaal Kar Rahe hai

Hamare Nabi Sallalllahu Alaihi Wasallam
Ke Un Ansuon Ka Bhi
Khayaal Na kia Jo
Sarkar Ne Hamari Bakhshish ke Lie Raaton me bahaye the

Islam Me Aurat ki Awaaz ka bhi Parda hai
Aur Naat-e-Paak Yahan tak ki
Quraaan ki Tilawat bhi Sirf Itni Awaaz Se Padhne Ka hukm Hai ki Uski Awaaz Gair Mardon Tak na pahunche

Magar Afsos Aaj Wahi Musalman Auraten
Shadiyo me Dhol Peetkar Gaane Ga Rahi hain
Aur unki Awaazen Jo Baher Tak Jaa Rahi hoti Hai Unhe Gair Mard Sun rahe hai

Khudko Hazrat Fatima Radiallahu Anha ki
Kaneez(Gulaam) Kehne Waliyan
Hamare Nabi Sallalllahu Alaihi Wasallam ki Pyaari
Beti
Hazrat Fatima Radiallahu Anha
ka To Ek Baal bhi Kabhi Zahir Nahi hua
Gair Mardon Par
jo Roze Mehshar bhi Hooron ke Saaye Me hongi Aapko Jannat me bhi koi Gair Mard Na dekh Sakega Sirf Aapke Shohar Hazrat Ali ke

Hazrat Fatima Radiallahu Anha
Jinhone
Apne Kafan ka bhi Parda Rakhne ki Wasiyat ki Thi ke Mera Janazah Raat
Ko Uthana Aur Gair Mardo ki Nazar bhi Na Pade Is Tarah Usko Dhakna
Us Paak Daman Hashti ki Gulaami Ka dam Bharne Waliyon

Tum Apne Aap Se Sawal kro
Kya Tum Khatoone Jannat ke Nakshe Qadam Par Chal Rahi ho

Hum Sabko Apni Akhirat Par Gour Karna
Chahiye
Kyunki Kabar Ki Andheri Ghaati Mein Sabko
Utarna hai
Aur WahAn hamari Madad Karne Waala
Hamara koi Saga Nahi Aane Waala
Wahan Agar koi Hamari Madad Karega to
Wo hain Hamare Kie hue Nek Aamaal

Aur Hum Sabke Aaqa Sallalllahu Alaihi Wasallam
hain Aur Wahan Par Hamare Gunaahon ki Wajah Se Agar Nabi Sallalllahu Alaihi Wasallam Ne Kehdia ki Ye to
Shadio Me Nachta Tha Ya Thi
Dhol Bajaati thi
Be’Takalluf Hokar Mardon Tak Apni Awaaz
Pahunchati thi
Be’Pardah Ghoomti thi
Meri di hui Taleem ko Pamaal Karti thi

Naach Gaano ki Mehfilon me Mardon Se
Milti Jhulti thi Unse
Hum Qadam hokar Unke Sath Bet’ti thi
To sochiye
Hamen Wahan Bachane ke lie Kon Ayeega
Wahan kon Hamari Fariyaad Sunega
Allah Rabbul Izzat Ke Ahsan Se Humko
Bakhshwane Waali Ek hi Zaat hai Aur
Wo Sarkare Madina Sallalllahu Alaihi Wasallam Hain
Aur Agar Unhone Hi Munh Fer lia
To hum kahan Jayenge

Fir to Azaabe Qabar ka Samna Karna Padega
Sanp Aur Bich’Chhoo Se Paala Padega
Jin Azaab ke Farishto Ki Soorat Agar
Dunia Dekh le To Dehshat Se Mar Jae Wo Azaab Ke Farishte Masallat kie Jayenge
Allahu Akber
Ab bhi Hamare Paas Waqt hai Ab bhi kuchh Nahi Bigda Ab Bhi Toubah ke Darwaza Khula hain

agar Khudko Allah Ta’Ala ka Banda Kehte ho
Agar Nabi Sallalllahu Alaihi Wasallam ki Mohabbat ka dam bharte ho to khudko Nabi Sallalllahu Alaihi Wasallam Ka Gulaam Kehte ho Khudko Musalman kehte ho to Aaj Balki Abhi Se Toubah Karo Aur Ye Ahad Karo ki
Kabi bhi
Shadiyo Ya Kisi bhi Aise Program
Me Naachne Gaane ke Lie Kabi bhi Nahi jaoge Na dekhoge KyuNki Dekhne Waala bhi Gunahgaar hota hai

Jo Gunah ko Gunah Samajhkar Bhi Us Gunah Se Toubah na kare
Aur Us Gunah Par adaa Rahe Wo Sabse Badaa Bewakoof hai

Allah Hamare Abtak ke Saare Gunahon ko Muaaf Farmaye Jo humse Jaane Anjaane
Me hue Ho Aur Ayendah kabhi bhi Gunah
Na ho Aisi Toufeeq Ataa Farmana Mere Moula Mujhe Aameen

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm