Islamic Blog

Assalam u Alaikum
Dosto – NABI KAREEM sallal Laho alaihe wasallam – Baaz Martaba *HASTE* bhi the – Jisme TABASSUM (smile) zyada Hota tha – jisme – kabhi kabhi saamne ke “Daant Mubarak” bhi chamakte Huwe Nazar Aa Jaate the
Mager – Aisa bahut kam hi – kisi khaas “waqye” per Hota tha
Aise hi – ek WAQYA ka Zikr karta Hoon
*( Hazrat ABU URAIRA (r.a) Farmate Hain – ki ek shaks AAP (s.a.w) ki – khidmat me Aaye – aur Arz kiya – ya RASOOL ULLAH (s.a.w) mai to HALAAK Ho gya – maine RAMDAN me ROZE ki Haalat me – Bivi se Sohbat kar Li
To AAP (s.a.w) ne – usse kaha- ki – Ek GULAM Aazad karke – KAFFARA ada kar do
Unhone kaha ki- mere paas to GULAM nahi Hai
To-AAP (s.a.w) ne kaha- ki – phir Lagataar – do Maah ke “Roze” Rakho
To – Usne kaha ki – ROZE hi ki Wajha se – ye Huwa Hai – uski mujhme Taaqat Nahi Hai
To- AAP (s.a.w) ne Farmaya – phir 60 Miskeeno ko khana khila do
Usne kaha – ki- mere paas itna MAAL nahi Hai
itne me – AAP (s.a.w) ke paas – ek Tokra (15 kg) KHJOOR ka kisi ki taraf se pesh kiya gya
To – AAP (s.a.w) ne Farmaya – ki – in KHAJOORO ko- Le Jaaker Gareebo ko SADQA kar do
To – Us Shaks ne kaha – ki KHUDA ki KASAM poore MADINE me – Hamare se zyada koi GAREEB nahi
To – AAP (s.a.w) “HASE” – Hatta ki – AAP (s.a.w) ke DAANT Nazar Aa gaye
Aur – Farmaya – ki – achcha chalo – Tum hi khaa Lo
( Bukhari page no -899 )
Dosto- is waqye me – AAP (s.a.w) ka HASNA is wajha se Huwa – ki KAFFARA ada karne ki – kisi soorat per QADIR nahi – aur Hamne kuch diya – uska bhi HAQ daar -khud hi ho gya
Dosto – Jab – AAP (s.a.w) KHUSH Hote – to “Chehra Anwar” is tarha damak Uth’ta tha – goya ki *CHAAND* ka ek Tukda Hai
( Bukhari – page no 502 )
*** ( $UBHAN ALLAH )***

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm