Islamic Blog

ABORTION..( hamal girana )*
*Hamal giraane k liye dawa ( medecine ) iste’maal karna yaa daayi ( nurse..maid etc ) se hamal saaqit karwana ( yaani hamal girwana ) man’a ( nai kar sakte ) hai..*
Bachche ki surat ( pet mein ) bani ho yaa na bani ho..dono ka hukm aik hi hai..haan agar uzr..majburi ho..masalan aurat ka doodh pita bachcha hai aur baap ke paas itna paisa nahi k doodh pilane wali ka intizaam kar sake..
Yaa paisa to hai..lekin doodh pilane wali milti nahi..aur hamal ka doodh khushk ho sakta hai ( sookh jayega ) aur bachche ke halaak ( maut ) hone ka andesha..dar hai..To..
Is majboori se hamal saaqit ( giraana ) kiya jaa sakta hai..Ba-sharte ke us ke aa’za ( bachche k body parts ) na bane hon..aur aaza banne ki muddat 120 din hai.
*Bahaare Shari’at Hissa 16*
*Iyaadat aur ilaaj ka bayaan*
*Mas-ala no. 15*
25aaAlahazrat farmate hain..Aurat kisi tarah Ma’azallaah haraam mein mubtala huwi ( zina ) aur us ne us ki parda poshi k liye abortion kara diya..
Jab ke bachche mein jaan na padi thi..To jayez hai bal ke parda poshi amre hasan ( karni chahiye ) hai.
*Fataawa Razwiya: 6/512*
25aaAala Hazrat farmate hain.. *Agar abhi bachcha nahi bana to jayez hai ( abortion )* warna naa jaayez hai..k..
*Ye ( hamal giraana ) be-gunah ka qatal hai*..aur 4 mahine mein bachcha ban jaata hai.
*Fataawa Razwiya..24/201*
25aa *Aala Hazrat farmate hain..Jaan pad jaane ( 4 mahine ) k ba’d abortion karana haraam hai..Aur aysa karna qatal karne ki tarah hai..*
Aur jaan padne se pahle agar koi zarurat ho to haraj nahi ( karwa sakte hai ).
*Fataawa Razwiya..24/207*
25aaAala Hazrat farmate hain..Baanjh karna na karna Allaah Azza wa Jalla ke ikhteyaar mein hai..bashar ki taaqat nahi. ( و يجعل من يشاء عقيما: وہ جسکو چاہے بانجھ کردے )..
Haan aysi dawai ka iste’maal jis se hamal na hone paaye..Agar kisi shar’an qaabile qabool sakht zarurat o majboori k sabab ho to haraj nahi ( dawa le sakte hai )..
Warna sakht ma’yoob ( bura kaam..naa-pasand-didah ) hai..Aur shar’an aysa karna ( hamal na rehne ki dawa khana ) naa-jayez aur haraam hai.
*Fatawa Razwiya..24/208*
25aaIsi se nifaas ka ye mas-ala bhi pata chala..k 4 mahine se qabl ( pehle ) abortion ho to nifaas nahi.. *istehaaza ( bimaari ka khoon hai..namaaz bhi padhni hogi ) hoga..*
*Aur agar us ke ba’d ( 4 mahine k baad ) abortion ho to nifaas hoga*.. kyun ke nifaas usi khoon ko kehte hain jo bachche ki paydayish ( pet se baaher aane ) ke ba’d aata hai..

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm