Islamic Blog

ALLAH KI ZAAT AUR SIFAT KE BAARE ME AQEEDE
ALLAH ek hai us ka koi shareek nahi na zaat me na sifaat me na af’aal (kaamon) me na ahkaam (hukm dene) me na naamon me, woh WAAJIBUL WAJOOD hai yani (jiska har haal me moujood rahna zaroori ho) uska a’adam muhaal hai yani kisi zamaane me uski zaat moujood na hona namumkin hai,
ALLAH ” QADEEM ” aur ” AZALEE “hai yani humesha se hai aur ” ABDEE ” bhi hai yani woh humesha rahega use kabhi mout na aayegi,
ALLAH T’LA hi is laaiq hai ki uski bandagi aur ibaadat ki jaye.
AQEEDA :- ALLAH beparwaah hai kisi ka muhtaaj nahi aur saari duniya usi ki muhtaaj hai.
AQEEDA :- ALLAH ki zaat ka idraak aql ke zariye muhaal hai yani aql us ki zaat ko samajhna mumkin nahi q ki jo cheez aql ke zariye se samajh aati hai aql usko apne ghere me le leti hai aur ALLAH ki shaan yeh hai ki koi cheez uski zaat ko gher nahi sakti, albatta ALLAH ke kaamon ke zariye se mukhtasar tour par uski sifaton aur fir un sifaton ke zariye ALLAH T’ALA ki zaat pahchani jati hai.
AQEEDA :- ALLAH T’ALA ki sifatein na ain hain na gair yani ALLAH T’ALA ki sifatein uski zaat nahi aur na sifatein
uski zaat se alag ho sakein q ki woh sifatein aisi hain jo ALLAH ki zaat ko chahti hain aur uski zaat ke liye zaroori hain. isi silsile me dusri baat yeh bhi dhayaan rakhne ki hai ki ALLAH ko sifatein kai hain aur alag hain aur har sifat ka matlab bhi alag hai,mutraadifain nahi, is liye sifatein aine
zaat nahi ho sakti aur sifatein gaire zaat is liye nahi hain ki gair zaat maanne ki soorat me 2 baatein ho sakti hain. yaa
to sifatein QADEEM hongi yaa HAASEED (jo kisi ke paida karne se paida hui yani makhlookh) agat QADEEM maante
hai to kai QADEEM ko manna padhega jabki QADEEM sirf ek hi hai aur agar HASEED tasleem karte hain to yeh manna bhi
zaroori hoga woh QADEEM zaat sifaton ke HAASEED hone yaa paida hone se pahle bagair sifaton ke thi aur yeh 2no
baatein batil hain. is liye in mushkilon se bachne ke liye ahle sunnat ne woh mazhab ikhtiyaar kiya hai ki sifaate baari (ALLAH T’ALA ki sifatein) na to aine zaat hain aur na gaire zaat balki sifatein us zaat ko laazim hain kisi haal me us se juda nahi aur zaate BAAREE T’ALA apni har sifat ke sath AZALEE,ABADEE, aua QADEEM hai. .
AQEEDA :- jis tarah ALLAH T’ALA ki zaat QADEEM, AZALEE, aur ABADEE hai usi tarah uski sifatein bhi QADEEM,AZALEE, ABADEE hain.
AQEEDA :- ALLAH ki koi bhi sifat makhlooq nahi na zere Qudrat dakhil.
AQEEDA :- ALLAH ki zaat aur sifaat ke alawa sab cheezein HAASEED yani pahle na thi ab moulood hai.
AQEEDA :- jo ALLAH ki sifaton ko makhlooq kahe ya HAASEED bataye woh gumrah aur baddeen hai.
AQEEDA :- jo aalam me kisi cheez ko khud se maane yaa uske Haaseed hone me shak kare woh kafir hai.
AQEEDA :- ALLAH T’ALA na kisi ka baap hai aur na hi kisi ka beta aur na uske liye koi biwi, agar koi ALLAH ke liye baap, beta yaa biwi bataye woh kafir hai balki jo mumkin bhi bataye gumrah baddeen hai.
AQEEDA :- ALLAH T’ALA HAYY (amar) hai yani zinda hai jise kabhi mout na aayegi, sab ki zindagi usi ke hath me hai woh jise chahe zindagi de aur jab chahe mout de de.
[BAHARE SHARI’AT]

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm