Islamic Blog

Kai log aise hote hain jo ye samajhte hain ke humne bahut gunah kar liye hain ab to Allah humko maaf nahi karega, ab jab maaf nahi karega to baaki ki zindagi bhi aesi hi guzar lo, dozakh mein to jana hi hai. Bahut se logo ki aesi soch hoti hai, hamare page par bhi kai muslim log ye baat puchte hain ke humne bahut gunah kiye hain kya Allah humko maaf kar dega. Logo ko ye jaan lena chahiye ke Allah bahut maaf karne wala hai, wo apne bande se kehta hai ke agar tere gunah samandar ke jhaag ke barabar (bahut zyada bhi hon) to bhi agar tu sacche dil se mujhse maafi maang le to mein tujhko maaf kar dunga. Ye Allah ki apne bande se mohabbat aur uska raham hai. Lekin insan ko ye kabhi nahi sochna chahiye ke Allah maaf karne wala hai to aur zyada gunah karo, Agar Allah raham karne wala hai to gusse wala bhi hai. Lekin phir bhi uske gusse par uska raham bhari hai. Gunaho ki maafi maangne se matlab ye nahi ke insan maafi maang le, aur phir jaan karke wahi gunah karne lage, jese koi chor chori kar le phir Allah se maafi maang le aur phir dusre din wapas chori karne chala jaae. Aese insano ko Allah maaf nahi karta. Balke maafi ka sahi tarika ye hai ke insan ne jo gunah kar diya hai us par wo sacche dil se sharminda ho ke mujhse ye gunah ho gaya phir Allah se sacche dil se maafi maange aur ye pakka irada kare ke jo gunah ho gaya tha wo ab na karuga. Ye sahi tarika hai maafi maangne ka. PHir Allah se maafi mangiye, Allah bahut raham karne wala hai, hum chalte firte gunah karte hain, baat baat par jhoot bolte hain, kisi parai aurat ko road chalte hue dekh lete hain, kai baar namaz chhod dete hain, kisi ki peeth ke piche burai kar dete hain, music sun lete hain etc. Matalb din bhar mein hum bahut gunah kar lete hain, lekin Allah humko phir bhi maaf kar deta hai, aur itne gunah karne ke bawajud bhi humko 2 time khana deta hai, paani deta hai, saans lene ke liye hawa deta hai, chalne ke liye takat deta hai. Ye sab cheeze usi ki gulam hai agar wo chahe to hum saans bhi nahi le sakte, lekin gunah karne ke baad bhi wo hum par raham karta hai, humko mohlat deta hai aur ummid karta hai ke mera banda mujhse maafi maang le aur galat kaamo ko chhod de.
Kuch log to aise bhi hain ke jo gunah kar dete hain aur usko gunah hi nahi samajhte, aur kuch aese hote hain ke Allah se maafi bhi nahi mangte, ai sochte hain ke abhi to bahut zindagi hai aakhri time par maang lenge maafi, jabke humko ye bhi pata nahi hota ke hum kal ka suraj dekh payenge ya nahi, Isliye roza Allah se apne gunaho ki maafi mangte raho, Jesa ki humne aapko bataya tha ke Shaitan ne insan ko bahkane ka power le liya tha, aur usne kaha tha ke mein insan ko behka kar gunah karwauga to Allah ne uski permission usko de di thi lekin saath hi kaha tha ke jo mera nek banda hoga wo tere bahkawe mein nahi aayega aur agar tujhe ek power de raha hu to usko bhi ek power de raha hu ke agar usse gunah ho gaya aur usne mujhse maafi maang li sacche dil se to mein uske gunaho ko maaf kar dunga.
Roz raat ko sone se pehle Allah se apne gunaho ki maafi maang kar soya karo,
Allah hum sabke gunaho ko maaf farmae aur gunaho se bachne ki taufik ata kare, aameen, ya rabbal aalameen.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm