Muslim Girl

BAHTAREEN AURAT- SHARM O HAYA WALI

☆ Assalam o walaikum ☆
ﺑﺴﻢﷲﺍﻟﺮﺣﻤﻦﺍﻟﺮﺣﻴﻢ☆☆BAHTAREEN AURAT- SHARM O HAYA WALI☆
☆-
•”Bahtareen Aurat” Tobah Karne Wali Aur SharmO Haya Waali Hoti Hai, Kyonki Wo Haya Karne Waalion Me se Hai,Meri Pyari Musalman Baheno ! Haya Badi Azeem Us Shan Khoobi Hai,Ye Aala Akhlaq Me Shumar Kiya Jaata Hai Aur Aurat Ki Nafs Ki Paakeezgi, Uske Jazbah Deen Ki Hifazat Ki Be’daari, Huququllah Ki Umdah Paas’dari Par Dalaalat Karta Hai, Haya Momin, Pak Daaman, Taahirah Aur Shareef Auraton Ki Sifat Hai,
ALLAH TA’ALA Ne Tumhe Haya Ki Taqeed Farmaayi Hai, Aur Haya Waalion Ki Taareef Karte Hue Farmaya Hai
“Fir Un Dono Me Se Ek (Ladki) Sharmati Lajaati (Moosa) Ke Paas Aayi, Usne Kaha,Beshaq Mere Waalid Tujhe Bulaate Hain Taake Wo Tujhe Hamari Khaatir Paani Pilaane Ke Liye Mazdoori De Den”(Surah Qasas 25: 28)
Yani Wo Sharm O Haya Ke Saath Logon SeHat’kar Aur Unse Door Rahte Hue Aayi, Jabke Usne Apne Chehre Par Apne Kapde Ya Haath Se Pardah Kar Rakha Tha,Pas Agar Musalman Aurat Haya Wali Na Ho TohMominaat Mese Nhi Hai, Kyonki Jisme Haya NaHo, Uska Koi Imaan Nhi Hota,
HAZRAT ABU HURAIRAH (RADI ALLAHUANHU )Bayan Karte Hain Ke NABI-E-KAREEMﷺ Ne Farmaya”Haya Imaan Hai Aur Imaan Jannat Me Hoga”(Jame Tirmizi Bab Maja Fil Haya Hadith No.2009, Musnad Ahmad 2/501)Jab Tum Is Qabil E Tareef Sifat Ko Apna LogiToh Tumhari Seerat Wa Kirdaar Aur TumhareTamam Maamlaat Me Har Tarah Ki Bhalaayi AaJaayegi,Haya Musalman Aurat Ko Bure Fa’aal Se RoktiAur Bure Akhlaq Se Mahfooz Rakhti Hai,Kyonki Haya Ka Jazba Saraasar Khair Hi KhairHai,Isiliye JANABRASOOLLALLAHﷺ Ne Farmaya”Haya Sirf Khair Hi Laati Hai”(Sahih Bukhari Kitabul Adab Bab HayaHadith No, 6117,Sahih Muslim Kitab UlImaan BabAdad Shoebul Iman Hadith No. 37)

Noor Saba

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.

Share
Published by
Noor Saba

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago