Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

*✦ Buland aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki elaniya taur se sadqa dene wala*
————
✦ Uqbah ibn Amir Al-Juhani radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Buland aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki elaniya taur se sadqa dene wala aur ahista aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki chupke se sadqa dene wala
Sunan Abu Dawud, Jild 1,1320-Sahih

✦ Abu Musa radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya us momeen ki misal jo Quran padhta hai aur us par amal bhi
karta hai meethe leemu (citron) ki tarah hai jiska maza bhi bahut achcha aur khushbu bhi achchi hoti, Aur wo momeen jo Quran nahi padhta lekin us par amal karta hai uski misal khajur(date) ki tarah hai jiska maza to bahut achcha hota hai lekin khushbu nahi
hoti, Aur us munafiq ki misal jo Quran padhta hai Raihana (sweet basil) ke jaisee hai jiski khushboo to achchi hoti hai lekin maza kadwa hota hai
Aur us munafiq ki misal jo Quran bhi nahi padhta andrayeen(colocynth) ke phal ki tarah hai jiska maza bhi kadwa aur boo bhi kharab hoti hai
Sahih Bukhari, Jild 6, 5059
———–
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا
بلند آواز سے قرآن پڑھنے والا ایسے ہے جیسے اعلانیہ طور سے خیرات کرنے والا اور آہستہ قرآن پڑھنے والا ایسے ہے جیسے چپکے سے خیرات کرنے والا ۔
سنن ابو داوود جلد ١ ، ١٣٢٠ -صحیح

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اس مومن کی مثال جو قرآن مجید پڑھتا ہے اور اس پر عمل بھی کرتا ہے میٹھے لیموں کی سی ہے جس کا مزا بھی لذت دار اور خوشبو بھی اچھی اور وہ مومن جو قرآن پڑھتا تو نہیں لیکن اس پر عمل کرتا ہے اس کی مثال کھجور کی ہے جس کا مزہ تو عمدہ ہے لیکن خوشبو کے بغیر اور اس منافق کی مثال جو قرآن پڑھتا ہے ریحان کی سی ہے جس کی خوشبو تو اچھی ہوتی ہے لیکن مزا کڑوا ہوتا ہے اور اس منافق کی مثال جو قرآن بھی نہیں پڑھتا اندرائن کے پھل کی سی ہے جس کا مزہ بھی کڑوا ہوتا ہے ( راوی کو شک ہے ) کہ لفظ ” مر “ ہے یا ” خبیث “ اور
اس کی بو بھی خراب ہوتی ہے ۔
صحیح بخاری جلد ٦ ٥٠٥٩

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm