Islamic Blog

Islam par amal sunnat, farz wajjib ki bunyaad par nahee kiya jaata.
Islam par amal ALLAH aur uske rasool ke ahakamaat ki bunyaad par kiya jaata hai.
Jab allah aur uska rasool hukum dein to unn se ye nahee poocha jaata ke ye hukum farz hai ya sunnat.
Agar aap uss hukum par amal karein to aap ko rabb ki raza aur uski taraf se sawab milega aur agar uss hukum par amal nahee karenge to aap gunehgaar hoonge. Jiss tarah sawab ziyada aur kamm hota hai ussi ek banda gunegaar bhi ziyada aur kamm hota hai.

Allah ne quran mein kaha,
{من يطع الرسول فقد أطاع الله ….} [النساء : 80]
Tarjuma:
Jiss ne rasool ki ita’at ki uss ne allah ki ita’at ki …

Iss aayat se maloom huwa ke dadhi rakh kar rasool ki ita’at ki jaati hai goya ke wo asal mein allah ki ita’at hai.

Ab kis shaks mein itni himmat hogi ke wo allah ki ita’at se inkaar kar de.

Source:http://www.sirajinamdar.com/

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm