Islamic Blog

ASSALAM O ALAIKUM
Kisi Bhi Mubah Ya Mustahab
Kaam Ke Liye Din Muqarrar Kar
Lena Jaiz He Awwalan To Is Se
Shari’at Ne Man’a Nahi Kiya
Saaniyan Khud Nabi-Kareem
SallAllahu Alaihi Wa Sallam Har
Peer Ko Nafli Roza Rakhte The.
[Muslim Sharif, Jild-1,Safha-368]
Goya Roze Ka Ye Din(Peer Ka Din)
Muqarrar Tha. Aap SallAllahu
Alaihi Wa Sallam Har Hafte Ko
Masjid-e-Quba Mai Tashreef Le
Jaate The.
[Muslim Wa Bukhari]
Nabi-Kareem SallAllahu Alaihi Wa
Sallam Ne Hazrat-e-Musa Alaihis-
Salaam Ki Qaum Ki Aazaadi Ki
Khushi Mai 10wi(Daswi)
Muharram Ko Roza Rakha Aur
Usey Roze Ka Hukm Bhi Diya.
[Bukhari,Jild-1,Safha-268,,,
Muslim, Jild-1,Safha-259]
In Sab Ahadees Mai Din Muqarrar
Karne Ka Suboot Maujood He.
Saalisan Din Muqarrar Karne Mai
Hikmat Ye Hoti He K Aelaan-e-Aam
Ho Jaaye Aur Zayaada Se Zayaada
Logo Ka Ijtema’ Ho Sake.
Chunaanche Munkireen(11wi Ka
Inkaar Karne Waalo) Ke Peer-O-
Murshid Haji Imdaadullah Sahab
Muhajir-e-Makki Rehmatullahi
Alaihe Likhte Hai :-
“Ye Baat Tajriba Se Maalum Hoti
He K Jo Kaam Kisi Khaas Waqt Mai
Kiya Jaata He Wo Us Waqt Yaad
Bhi Aa Jaata He Aur Zaroor
Anjaam Paata He. Nahi To
SaalaHaa-Saal Guzar Jaate Hai
Kabhi Us Ka Khayaal Bhi Nahi
Aata. Is Qism Ki Masleehatay Har
Baat Mai Hai Jinki Tafseel Bahut
Lambi He.( ﺍﻟﻰ ﺍﻥ ﻗﺎﻝ)
Hazrat Gaus-e-Paak Quddisa-
Sirrahu Ki 11wi, 10wa, 20wa,
Chahlam, Barsi Wagairah Aur
Tosha e Hazrat Sheikh Abdul-Haq
Dehalvi Rehmatullahi Alaihe Aur
Shireeni Hazrat Bu-Ali Qalandar
Rehmatullahi Alaihe, Shab-e-
Bar’at Ka Halwa Aur Eisaal-e-
Sawaab Ke Dusre Tareeqe Isi
Qaaide Par Mabni Hai.
[Faisla Haft Mas’ala, Safha-21-23]

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm

One Response

  1. Thank you for some other informative web site.
    Where else may just I get that kind of information written in such
    a perfect approach? I have a project that I’m just now operating
    on, and I’ve been at the look out for such information.