Islamic Blog

Masnoon dua e azaan mein baaz loogo ne chand alfaaz badha rakkhey hai aur wo alfaaz murawajjah kutub e namaz mein bhi mojood hai, dua e masnoon k jumla (WAL FAZEELA) k baad (WAD DARAJATAR RAFEEAH) ki ziyadati karte hai aur aagey (WA ATTAHU) k khalis doodh mein (WAR ZUKNA SHAFA ATAHU YAUMAL QIYAAMAH) ka paani mila rakkha hai aur phir aakhir mein masnoon dua k andar (YA ARHAMAR RAHIMEEN) ki amaizish hai afsoos! Kya Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki dua mein ye khamiya reh gayi thi jo baad k loogo ne apne izaafey se poori ki hai? musalmano ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k farman paak mein kami ya baishi karne k tasawwur se kaanp uthna chahiye, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne raat ko ba-wuzu ho kar sooney se pehle padhne k liye ek dua batlaayi, Hazrat Bara bin Aazib Razi Allahu Anhu ne padh kar sunaayi to (BI NABEEYIKA) ki jagah (BI RASOOLIKA) yaani nabi ki jagah rasool kaha, to Nabi E Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k mere bataye hue lafz Nabi ko Rasool se mat badlo balke (BI NABEEYIKA) hi kaho. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 247, Sahih Muslim Kibuz Zikr wa Dua Hadees no. 2710)

Is se maloom hua k masnoon duwaye aur wird tofeeqi (Allah ki taraf se) hai aur unki haisiyat ibadat ki hai lihaza unme kami baishi jayez nahi lihaza (kisi qareena ya daleel k bagair) mutakallim k saigey ko jama k saigey se badalna durust nahi hai uski bajaaye behtar ye hai k mutakallim ka saiga hi bola jaye albatta niyat mein ye rakkha jaye k mein yahi dua fala fala k haqq mein bhi kar raha hu, neez masnoon duwaon k hoote hue khud-saakhta arbi duwaon wazeefo aur daroodo ka iltazaam karna durust nahi hai aur agar unke kuch alfaaz shirk, kufr ya bida’at par mushtamil ho to is soorat mein unka padhna qatai tour par haraam ho jata hai lekin afsoos k jahil loog rozana pabandi k saath darood e taaj, darood e lakhi aur darood e hazaari wagairah ki “Tilawat” karte hai, Allah hum sabko hidayat de. Aaameen

3. Hazrat Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Jo shaks muazzin (ki azaan) sun kar ye dua padhey to uske gunah baksh diye jayengey, Dua ye hai:

“ASH’HADU AN LAA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHAREEKA LAHU WA ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU RAZEETU BILLAHI RABBAU WA BI MUHAMMADIR RASOOLAU WA BIL ISLAAMI DEENAN” “Mein gawahi deta hu k Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi wo ek hai uska koi shareek nahi aur tehqeeq Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam uske bandey aur rasool hai, mein Allah k rabb hoone aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k rasool hoone aur islam k deen hoone par raazi hu”. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 386)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm