Islamic Blog

Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Farmate Hain, Dua Bande Ke 3 Baaton Se Khali Nahi Hoti! Ya
(1)Uska Gunah Baksha Jata Hain! Ya
(2)Use Faida Haasil Hota Hain! Ya
(3)Uske Liye Aakhirat May Bhalayi Jama Ki Jati Hain Ki Jab Banda Aakhirat May Apni Un Duaon Ka Sawab Dekhega Jo Duniya May Maqbool Na Hui Thi! To Tamanna Karega, Kaash! Duniya May Meri Koi Dua Kabul Na Hoti Aur Sab Yahin (Yani Aakhirat) Ke Waaste Jama Hojati!

Dua May 5 Sa-aadatain-

(1)Pehla Faida Yeh Hain Ki ALLAH AJJOWAJJAL Ke Hukm Ki Pairwi Hoti Hain Ki Uska Hukm Hain Ki Mujhse Dua Maanga Karo! Jaise Ki Quraan-A-Pak May Irshad Hain-
“Aur Tumahre Rab Ajjowajjal Ne Farmaya,Mujhse Dua Karo Main Kabul Karuga” (Kanjul Imaan)

(2)Dua Maangna Sunnat Bhi Hain Ki Hamare Pyare Aaka SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Aksar Aukaat Dua Maangte! Lihaja Dua Maangne Se Hame Itteba-A-Sunnat Ka Bhi To Sharf Haasil Hoga!

(3)Dua Maangne Se Ita-at-A-Rasool SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Bhi Hain Ki, Aap Dua Ki Apne Gulamon Ko Taakid Farmate Rehte!

(4)Dua Maangne Wala Aabidon Ke Giroh May Dakhil Hota Hain Ki Dua Ba-Jaat-A-Khud Ek Ibadat, Balki Ibadat Ka Bhi Magz Hain!

(5)Ya To Dua Maagne Se Uska Gunah Muaf Kiya Jata Hain Ya Duniya Hi May Uske Masayil Hal Hote Hain Ya Fir Wo Dua Uske Liye Aakhirat Ka Zakhira Banjati Hain!

(Faizaan-A-Sunnat Pg-1236-37)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm