Islamic Blog

Assalamu’alaikum warahmatullahi wabarakatuh

السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

May the peace, mercy, and blessings of Allah be with you

********{ Duniya-o-Aaqirat me Nafae k Liye 25 Sunhere Usool }********

Hazrat Khalid bin walid (Radiallahu Anhu) Farmate hai k hum Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Khidmat me Hazir the, Aik shaksh Hazir hua, Arz kiya Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam! Mai kuch Baten poochne k liye hazir hua hun, Jo duniya-o-Aaqirat me Nafa den, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jo Chaho Poocho.

1. us ne kaha: Mai Sub se bada Aalim banna Chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Taqwa Iqtiyaar karo, Sub se bade Aalim ban jao ge.
2. us ne kaha: Mai Sub se bada Gani banna Chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Qina’at Iqtiyaar karo, sub se bade Gani ban jao ge.
3. us ne kaha: Mai sub se bada Aadil banna chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jo Tujhe Apne liye Pasnd hai wahi logon k liye pasnd kr, sub se bade Aadil ban jao ge.
4. us ne kaha: Mai sub se accha Aadmi banna Chahta hu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Logon ko Nafa Pohchaya Karo, Sub se Acche Aadmi ban jao ge.
5. us ne kaha: Mai logon me sub se Zyada Allah ka khaas banda banna Chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah ka zikr Kasrat se kiya karo, Khaas Aadmi banjao ge.
6. us ne kaha: Mera Iman kamil ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Aqlaq acche karlo, Tumhara Iman Kamil Hojayega.
7. us ne kaha: Mai Muhsineen me se hona chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah ki Ibadat Aise karo jaise k us ko daikh rahe ho, Is liye k Agar che tum use Nahi daikh rahe ho to Wo Tumhen daikh raha Hai.
8. us ne kaha: Mai Chahta hu k Allah k Farmanbardaro me Hojaon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Farayez ko ada Karo, Farmanbardaron me se Hojaoge.
9. us ne kaha: Mai Allah Tala se Gunahon se paak milna Chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Janabat se Faouran Gusul kiya karo, Allah paak se Gunahon se Paak miloge.
10. us ne kaha: Mai Chahta hu k Qayamat k din Noor se Uthun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Oopher aur kisi per bhi Zulm na Kar, Qayamat k din Noor se oothoge.
11. us ne kaha: Allah mere oopher Qayamat k din Rahem Kare? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne oopher bhi Rahem kar Aur Allah k Bando per bhi Rahem ker, Allah tere Oopher Qayamat k din Rahem karega.
12. us ne kaha: Mere Gunah kam ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Astagfaar ki Kasrat kar, Allah tere Gunah kam kardega.
13. us ne kaha: Mai logo me Sub se zyada Izzat wala Banu? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Makhlooq me se kisi ko Apni Hajat na bata, Sub se Zyada izzat wala ban Jayega.
14. us ne kaha: Mai sub se Taqatwar ban jaon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah per Tawakkal iqkhtiyar karo, sub se zyada Taqatwar banjao ge.
15. us ne kaha: Mera Rizq kushada ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Ba wazu Raha karo, Tumhara Rizq kushada hojayega.
16. us ne kaha: Mai Allah Aur us k Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ka Mahboob Banna Chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jo Allah Aur us k Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ko Pasnd Hai tu bhi use Pasnd kar, Allah aur us k Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka Mahboob Ban jayega.
17. us ne kaha: Mai Qayamat k din Allah Tala k Gusse se bachna Chahta hun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Allah ki Makhlooq per Gussa karna Chorde, Tujhe Apne Gusse se Bacha lega.
18. us ne kaha: Meri Duaye Qabool ho? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Haram khana Chorde, Teri Duaye Qabool hongi.
19. us ne kaha: Allah Tala Qayamat k din Zillat se Bachale? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Aap ko zina se Bachale, Allah Tala tujhe Zillaton se Bachalega.
20. us ne kaha: Qayamat k din Allah Tala Mere Uyoob ko Chupade? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apne Bhayyon k uyoob ko Chupale, Allah Tala tere Uyoob ko Chupa lega.
21. us ne kaha: Gunahon se kya cheez Najat deti hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Aansu, Tawaz’eh, Aur Imraz.
22. us ne kaha: Sub se Azeem Naiki kya hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Acche Akhlaq, Tawaz’eh, Aur Musibat per Sabr.
23. us ne kaha: Sub se badi Burai kya hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Bad Akhlaqi, Aur bukhl.
24. us ne kaha: Allah k Gusse ko Duniya-o-Aaqirat me Kya cheez Thanda Karti hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Chupke Chupke Sadqa karna aur Sila Rahmi karna.
25. us ne kaha: Jahannam ki Aag ko Qayamat k din kya cheez bujhayegi? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Duniya me Dukho aur Musibaton per Sabr karna.(Bahawala-Musnade Ahmed).

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm