Islamic Blog

Yeh Durud Sharif Jo Koi Qabristan May 3 Martaba Padhe To Uski Barkat Se 80 Baras Ka Azaab Khuda-A-Ta’aala Qabrishtan Se Utha Lega, Aur Jo 4 Martaba Qabristan May Padhe To Qayamat Tak Ka Azaab ALLAH-TA’AALA Us Makaam Se Utha Lega, Aur 24 Martaba Padhker Uska Sawab Maa-Baap Ko Bakshe To Goya Tamaam Maa-Baap Ke Haq Ada Kiye Aur Hazaar Farishte ALLAH-TA’AALA Bhejega Jo Uske Maa-Baap Ki Ziyarat Qayamat Tak Kiya Karege!

(Dalailul-Khairaat)
*******************
1f339🌹Durud-A-Hazaari1f339🌹
******************
Allah-Humma-Salli-Ala-Mohammadim-Ma-Damatis-Salatu-Wa-Salli-Ala-Mohammadim-Ma-Damatir-Rehmatu-Wa-Salli-Ala-Mohammadim-Ma-Damatil-Barkatu-Wa-Salli-Ala-Roohi-Mohammadin-Fil-Arwahi-Wa-Salli-Ala-Surati-Mohammadin-Fissuwari-Wa-Salli-Ala-Ismi-Mohammadin-Fil-Asmaayi-Wa-Salli-Ala-Nafsi-Mohammadin-Fin-Nufusi-Wa-Salli-Ala-Kalbi-Mohammadin-Fil-Kulubi-Wa-Salli-Ala-Kabri-Mohammadin-Fil-Kuburi-Wa-Salli-Ala-Roazati-Mohammadin-Fir-Riyazi-Wa-Salli-Ala–Jasadi-Mohammadin-Fil-Ajasaadi-Wa-Salli-Ala-Turbati-Mohammadin-Fith-Turraabi-Wa-Sallallahu-Ala-Khairi-Khalki-Hi-Sayyadina-Mohammadiv-Wa-Aala-Aalehi–Wa-Ashaabi-Hi-Wa-Azwaaji-Hi-Wa-Zurriyati-Hi-Wa-Ahli-Baiti-Hi-Wa-Asbabi-Hi-Ajmayin-Bi-Rehmatika-Ya-Ar-Hamar-Raahe-Min!

1f337🌷Dua Ki Darkhwast1f337🌷

*******************
1f339🌹ZIYARAT-A-QABR1f339🌹
********************
Qabron Ki Ziyarat Karna Aur Unse Faida Haasil Karna Jayiz Hain Ya Nahi?
Uske Baare May Sarkar-A-Aqdas SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Aur Buzurgaan-A-Deen Ka Aqida Mulaiza Ho!

Huzoor Sayyad-A-Aalam SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Aqida:-

1f337🌷HADEES(No.1)1f337🌷
***************
Hazrat Burida Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Riwayat Hain Ki Rasoolallah SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Irshad Farmaya Ki Maine Tum Logon Ko Qabron Ki Ziyarat Se Mana Kiya Tha! Ab Main Tumeh Ijazat Deta Hoon Ki Unki Ziyarat Karo!

(Muslim, Mishkaat Pg-154)
*******************
Muhaqqiq Alal Ithlaaq Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehelwi Bukhari Rehmatullah Ta’aala Alaihi Is Hadees Sharif Ki Sharah (Tafsil) May Farmate Hain Ki Zamana-A-Jaahiliyat Se Karib Hone Ke Sabab Is Andeshe Se Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Pehle Qabron Ki Ziyarat Se Mana Kerdiya Tha Ki Log Unke Sath Fir Kahin Jaahiliyat Wala Rawaiya Na Ikhtiyar Kerlen! Fir Jab Islam Ke Kanoon Se Log Khub Aagah Hogaye To Aap SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Qabron Ki Ziyarat Keliye Ijazat De Di!

(Ash-atul Amlaat Jild-1,Pg-717)
*********************
1f337🌷HADEES(No.2)1f337🌷
****************
Hazrat Ibne Masoud Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Bayaan Hain Ki Rasool-A-Karim SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Irshad Farmaya Ki Maine Logon Ko Qabron Ki Ziyarat Se Roka Tha, To Ab Tum Unki Ziyarat Karo!

(Ibne Maaza, Mishkaat Pg-154)
********************
1f337🌷HADEES(No.3)1f337🌷
****************
Hazrat Aayesha Siddiqa Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Se Riwayat Hain! Unohne Farmaya Ki Jis Raat Ko Rasoolallah SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Unke Yahan Kayaam (Aaraam) Farmate To Aakhri Raat May Uthker Madina Ke Qabristan May Tashrif Lejate!

(Muslim, Mishkaat Pg-154)
********************
1f337🌷HADEES(No.4)1f337🌷
****************
Hazrat Mohammad Bin Noaman Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Riwayat Hain Ki Rasoolallah SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Irshad Farmaya Ki Jo Apne Maa-Baap Ki Qabron Ki Ziyarat Kare Ya Un Mayse Kisi Ek Ki Qabr Ki Har Jume Ke Din, To Use Baksh Diya Jayega Aur Use Neki Karne Wala Likha Jayega!

(Mishkaat Sharif, Pg-154)

********************
1f337🌷TASHRIH1f337🌷
**********
In Aa-Hadees-A-Karima Se Malum Hua Ki Huzoor Sayyad-A-Aalam SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Nazdiq Qabron Ki Ziyarat Jayiz Hain, Balki Jo Shaks Har Juma Ko Apne Maa-Baap Ki Qabron Ki Ziyarat Kare Wo Baksh Diya Jayega!
********************

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm