Islamic Blog

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) se bhi kaafi time pehle (takriban 4000 saal pahle) Allah ke ek aur prophet the jinka naam Hazrat Ibrahim {Alayhi Salam} alyhissalam tha. Allah ne inka kai tarike se exam liya jisme yeh bilkul khare utre.
Allah ne ek baar inka is tarah exam liya ki. Hazrat Ibrahim{Alayhi Salam} ne ek raat khwab mein dekha ki koi awaaz daeta hain.! kehta hain ki aye Ibrahim.! tumhe Khuda ka hukum hai ki Apne bete ko Raah-E-Khuda mein zibah/kurbani (slaughter)kar do.!
Hazrat Ibrahim{Alayhi Salam} ke us time ek hi bete the jinka naam Hazrat Ismail{Alayhi Salam} tha. Woh bhi 90 saal ki umar mein Ibrahim {Alayhi Salam} ko mila baccha mila tha. Sochiye ek baap ko apne bete se kitni mohabaat hogi jo ek hi tha aur woh bhi budhape mein mila tha.
Chuki Nabiyon ka khwab saccha hota hai is liye, Aap Apne pyare bete Hazrat Ismail{Alayhi Salam} ko ALLAH ki raah me Qurbaan karne ko taiyyar ho gaye, Kyonki Allah ki marzi yahi thi.! Chuki Hazrat Ismail{Alayhi Salam} abhi kam umar the.! Isi liye Aapne unse sirf itna kaha ki beta Rassi aur ek chhoori (knife) lekar mere saath chalo.! Bete ko lekar Aap ek jungal me pahuche. Hazrat Ismayil{Alayhi Salam} ne pucha : Abbajaan.! Aap yeh chhoori aur Rassi lekar kyu chalte hai ?
Aap ne farmaya aage chalkar ek Qurbani zubah karege.! fhir aage chalkar Hazrat Ibrahim {Alayhi salam} ne saaf-saaf bata diya ki, beta.! Main toh ALLAH ki raah mein tujhe hi zubah karne aaya hoon.! Maine khwab mein dekha hai ki tujhe zubah kar raha hoon.! Beta.! yeh ALLAH ki Marzi hai bata teri marzi kya hai ? Hazrat Ismail{Alayhi Salam} ne jawab diya : “Abbajaan.! Jab ALLAH ki marzi yehi hain toh fhir meri marzi ka kya sawal ? Aapko jis baat ka hukum huwah hain Aap woh kijiye. Allah ne chaha to
mein sabr karke dikhaounga.
Bete ki Allah se is tarah mohabbat ko jaankar Hazrat Ibrahim {Alayhi Salam} bade khush huwe aur Apne bete ko ALLAH ki raah mein qurban (salughter) karne ko taiyyar ho gaye. Kyonki ek baap apne bete ko zibah hote hue nahi dekh sakta, isliye aapne apni aankh par patti bandh li. Phir aapne bete ko maathe ke bal litaya aur gardan par chhoori (knife) rakhi aur use chalaya toh chhoori ne Gardan ko bilkul na kaata.! Aapne aur zore se chhoori chalayi
toh ek awaaz aayi ‘bas kar, Aye Ibrahim.! Tumne Allah ke hukm ko pura kar dikhaya hai aur tum ek bahut bade exam mein pass ho gae’
Aapne mudkar dekha toh ek doomba (sheep) paas hi khada tha. Awaz aai ki Hazrat Ismail{Alayhi Salam} ki jagah dumbe (sheep) ki kurbani kariye. Aur Hazrat Ismail{Alayhi Salam} ko haata dijiye.
chunanche Hazrat Ibrahim{Alaihi Salam} ne us doombe ko zubah kar diya. Hazrat Ismail{Alaihi Salam} uth baithe aur is Imtehaan mein kaamyab ho gaye.
Allah ko Hazrat Ibrahim (alyhissalam) ki yeh baat itni pasand aayi ki is kurbani ki yaad mein kayamat tak ke musalmano ke liye ek halal jaanwar (bakra, camel, sheep etc.) ki kurbani ka hukm de diya.
Allah ne Hazrat Ibrahim (alyhissalam) ka zikr karte hue Quran mein farmaya ki
* ALLAH wale ALLAH ki raah mein sab kuch Qurbaan karne par
taiyyar ho jate hai yaha tak ke aulaad bhi.!

Source:facebook

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm