Islamic Blog

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya –
“IBADAT karne ke liye ALLAH ke Nazdeek sab DINO me ‘ZILHAJ’ ke 10 Din Sab se badh-kar hain, uske Har Din ka Roza 1 SAAl ke ROZE ke barabar hai, aur usme Har RAAT ki IBADAT ‘SHAB-E-QADR’ ke Barabar hai.”
– TIRMIZI
Is baat se Hame ye pata chala ke:
ZILHAJ mahine ke pehle 10 DINO mein (Bakra Eid se 10 Din pahle se) Allah ki KHOOB IBADAT karna chahiye kyoke in 10 DINO mein IBADAT karna ALLAH KO bahut pasand hai
Agar roza rakhna chaho to 9 ZilHaj tak (yaani bakra eid ke 1 din pahle tak) Roze rakh sakte hain. in dino ke 1 roza rakhne ka sawab 1 saal ke roze rakhne ke sawab ke barabar hai.
Har Raat ibadat karna chahiye kyonke har raat ki ibadat ‘shab-e-qadr’ ki raat ke barabar hai matlab 1 raat ki ibadat ka sawab 83 saal ki ibadat ke barabar hai.
Allah hum sabko in 10 din aur raat ki ibadat naseeb kare, aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm