Islamic Blog

HADITH
======
TIBRAANI IBN E ABBAS RADI ALLAHU TA’ALA ANHUMA se Rawi hai KI NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM ne irshad farmaya : Jo Rupiya EID ke din QURBAANI me kharch kiya gaya us se ziyadah koi Rupiya piyara nahi .
MASLA:
======
10 dasvi zilhijja ki subah sadik se 12 ke guroob e aftab tak yani 3 din aur 2 rate lekin 10 dasvi shab me afzal hai fir 11 v fir 12 v .
(qanoon e sharyat page no 211)
MASLA:
======
Shaher me qurbani ki jaye to shart ye hai ki namaz e eid ke baad ho,aur dehat me chunki namaz e eid nahi isliye subah sadik se ho sakti hai.
(qanoon e sharyat page no 211)
MASLA:
======
Qurbani ke waqt me hi qurbani karna lazim hai itni qimat ya itni kimat ka janwar sadka karne se wajib ada na hoga.
(qanoon e sharyat page no 211)
MASLA:
======
qurbani ke din guzar jane ke baad qurbani faot ho gyi,ab nahi ho sakti . lihaza agar koi janwar qurbani ke liye khareed rakkha hai to usko sadka kare warna ek bakri ki kimat sadka kare.
(qanoon e sharyat page no 211)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)