Islamic Blog

HAZRAT SYEDNA IBN E ABBAS RADI ALLAHU TA’ALA ANHUMA ka bayan hai ke NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM ki Bargah mE Qaum e Bani IsraIl ke 1 Aise Mujahid e Jalil ka Tazkira hua jisne ALLAH TA’ALA ke raste me hazar Mahine tak Musalsal Jehaad kiya tha tu RASOOL-A-PAAK SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM ko is par Tajjub hua , Aap ne Apni Ummat ke liye bhi is “Khair e Kaseer” ki Tamanna farmai or ALLAH TA’ALA ki bargaah me Arz kiya ke Baare Ilaah ! tu ne meri ummat ko bhut Mukhtasar umr Ata ki hai or is ke Aamaal bhi Dusri ummaton ke ba nisbat kam farmaay hai)to aisa na ho ke ye ummat Apni mukhtasar umr ki wajah se is Sa,aadat e uzma se mehroom reh jaaye jis ke liye 1 lambi umr chahiye( Ye Dua Rab e Ka,ainaat sab se ziyadah MehboobNabi MOHAMMAD AL-RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM ki thi jin ke Qurb e khaas ka Aalam ye hai ke :

KHUDA KI RAZA CHAHTE HAIN DO AALAM

KHUDA CHAHTA HAI RAZA E MUHAMMAD,

SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM

To un ki ye Dua kiyu kar Maqbool na hoti , is Dua ke Sadqe me Aap ko aur Aap ki ummat ko us Khaliq e Ka,ainaat ne 1 aisi Jalilul Qadr Nemat se Sarfaraaz farmaya jis ki Agli ummaton me koi Nazeer nahi milti . HAZRAT IBN E ABBAS farmate hai :

فا عطا ہ اللہ تعا لی لیلۃ ا لقد ر خیر ا من ا لف شھر الخ

ALLAH TA’ALA ne Aap ko SHAB-A-QADR Ata farma,ai jo hazaar Mahine ki ibadat or us Jehaad se Afzal hai jo Israeli Mujaahid ne KHUDA ke Raaste me kiya tha , to ye Azeem raat is ummat ke khasais se hai.
IBADAT-A-SHAB(SHAB 25 V)
=======================
1:25 v shab e qadr ko 4 rakat namaz 2 salam se pade baad sureh fatiha ke sureh qadr 1-1 baar sureh ikhlas 5-5 martaba her rakat me padni hai baad salam ke kalma tayyaba 100 dafa pade
2:25 shab e qadr ko 4 rakat namaz 2 salam se pade her rakat me baad sureh fatiha sureh qadr 3-3 baar sureh ikhlas 3-3 baar pade baad salam ke 70 baar astagfar pade .ye namaz bakhshish e gunah ke liye bahut afzal hai.
3:25shab e qadr ko 2 rakat namaz pade her rakat me baad sureh fatiha ke sureh qadr 1-1 baar sureh ikhlas 15-15 baar pade baad salam ke 70 baar kalma shhadat padna hai.ye namaz waste najat e azab e qabr ke liye bahut afzal hai.
(panj surah)

Wazifa :
1. Maah e Ramzan 25vi shab ko 7 martaba Surah Dukkhan padhiye. IN SHA ALLAH TA’ALA ALLAH PAKiss Surah ke padhne ke bais azaab e qabr se mehfuz rakhega.

2. 25vi shab e qadr ko 7 martaba Surah Fateha padhna har muraad ke liye bahot afzal hai.
(Book name as a refrence: 12 Mahino ki nafl namaze (Aukaatusalaat),Page­¬ No.26)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)