Islamic Blog

HADITH
======
TIRMIZI wa DARMI ne ABDULLAH IBN-A-MASOOD RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se riwayat ki ke RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya jo shaqs KITABULLAH ka ek harf padhega usko ek neaki milegi jo 10 ke barabar hogi. mai ye nahi kaihta ki alif lam meem ek harf hai balki alif ek harf hai laam dusra harf hai meem tisra harf .
HADITH
=======
TIRMIZI wa NISAAYI wa IBN-A-MAJA ne ABU HURAIRAH RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se riwayat ki ke RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya ke QURAAN sikho aur padho ke jisne QURAAN sikha aur uske sath Qiyaam kiya uski misaal ye hai jaise mushk se thaili bhari hue hai jiski khushboo her jagah faili hue hai.aur jisne sikha aur so gya yani KAYAMUL`LAIL nahi kiya uski misaal wo thaili hai jisme mushk bhari hue hai aur uska muh bandh diya gya hai .

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm