Islamic Blog

Gunah
——{Sab se Bada Gunah wo hai jo Karne wale ki Nazar me Chota ho}——
• Neki Allah ki taraf se hai, Gunah shaitaan aur nafs ki taraf se hai.
• Neki karna mushkil hai aur Gunah ka karna bahot aasan hai.
• Neki Jannat ki Raah hai, Gunah Jahannam ki Raah hai.
• Neki wo hai jis me Allah ki raza ho, Gunah wo hai jis me shaitan aur nafs ki raza ho.
• Neki wo hai jo sunnat k mutabiq ho, Gunah wo hai jo Sunnat k khilaf ho.
• Neki Dil ko zinda karti hai, Gunah Dil ko murda karta hai.
• Neki Namaz Allah k liye pdhna hai, Gunah Logon k dikhwae k liye padhna hai.
• Neki duniya aur aakhirat me kaam aati hai, Gunah sirf duniya me kaam aata hai.
• Neki kar k gunah karna Insan ka kaam hai, Gunah kar k toba karna Musalman ka kaam hai.
Hazrat Abu hurairah r.a se riwayat hai k Rasulullah s.a.w ne farmaya: Momin banda jab koi gunah karta haito us k natije me us k dil per aik siya noqta lag jata hai, phir agr us ne us gunah se toba ki aur Allah Tala k huzoor me muaafi aur bakhshish ki ilteja o dua ki to wo siya noqta zayel ho kar qalb (dil) saaf ho jata hai aur agr us ne gunah k baad toba o istegfar k bajaye mazeed gunah kiye aur gunahon ki wadi me qadam badhaye to dil ki wo siyahi aur badh jati hai, yahan tak k qalb pr cha jati hai, Aap s.a.w ne farmaya k: yahi wo zang aur siyahi hai jis ka Allah Tala neis aayat me Zikr farmaya: un ki badkariyon ki wajeh se un k dilon perzang aur siyahi aagai hai.{83:14}(musnad ahmad, tirmizi).
Allah Tala ham sab ko Gunaho se bachne ki toufeeq Ata Farmaye, Aye Allah ham ne ab tak jo bhi Gunah jan kar kiye hai ya Anjane me ham se hogaye ho to Aye Allah tu apne Fazl okaram se Muaaf farmade ham Ahed karte hai aye Allah k ham ainda gunah nahi karenge, ham sab ki tu hifazat farma, hame gunaho se bachaye rakhna Hame naiki karne wala bana gunahon se aye allah hame door rakh, Aye Allah ham gunahgar hai khata kar hai teri muaafi k talab gar hai aye Allah ham sab ko tu muaaf karde muaaf karden Aameen. —

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)