Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Neik kaam karne mein itni hi takleef uthao jitni Taqat ho
Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha gaya ki kaunsa amal Allah Subhanahu ke najdik ziyada pasand hai ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jis par hameshgi ki jaye (yani constantaly kiya jaaye) chahey wo thoda hi ho, aur farmaya ki Neik kaam karne mein itni hi takleef uthao jitni Taqat ho

{Sahih Bukhari, Vol7, 646}

 

Abdullah bin Masood Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki mainey Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se pucha ki Allah taala ki baargah mein kaunsa Amal ziyada Mehboob hai, Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne faramaya apney waqt par namaz parhna, maine pucha iskey baad farmaya waldein ke saath neik suluq karna, mainey pucha iskey baad Aapney farmaya Allah ke raaste mein Jihad karna.
{Sahih Bukhari, Vol 1, # 527}
———————————–
English Translation:

Narrated Aisha Radi Allahu Anha: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam was asked, “What deeds are loved most by Allah?” He Sallallahu Alaihi Wasallam said, “The most regular constant deeds even though they may be few.” and added, ‘Don’t take upon yourselves, except the deeds which are within your ability.”
{Sahih Bukhari, Vol 8, Book 76, No. 472}

Narrated ‘Abdullah bin Masood Radi-Allahu-Anhu :I asked the Prophet Peace be upon him “Which deed is the dearest to Allah?”
He replied, “To offer the prayers at their early stated fixed times.” I asked, “What is the next (in goodness)?” He replied, “To be good and dutiful to your parents” I again asked, “What is the next (in goodness)?” He replied, ‘To participate in Jihad (religious fighting) in Allah’s cause.”
{Sahih Bukhari, Volume 1, Book 10, Number 505}

Source: hadithinroman

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm