Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Usko har qadam par ek saal tak roze rakhne aur qayaam karne (Namaz mein khade hone) ka ajar diya jata hai
———–
✦ Aws bin Aws Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs juma ke din (apni biwi) ko gusal karwaye (yani uske saath sohbat karke) aur khud bhi gusal kare phir namaz ke liye jaldi jaye , paidal jaye aur sawar hokar na jaye aur imam ke nazdeek hokar khutba suney aur behuda baat na kare to uske har qadam par usko ek saal ke roze aur ek saal (Namaz ke liye) qayam karne ka sawab milega
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 346-Sahih

Note : Ye Hadith Sunan Ibn Majah , jild 1, 1087-Sahih
aur jamia Tirmizi, Jild 1,477-Sahih mein bhi mojud hai
————
✦ औस बिन औस रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शख्स ज़ूमा के दिन (अपनी बीवी को) गुसल करवाए (यानि उसके साथ सोहबत करे) और खुद भी गुसल करे और फिर नमाज़ के लिए जल्दी जाए , पैदल जाये और सवार होकर न जाए और ईमाम के नज़दीक होकर खुतबा सुने और बेहूदा बात न करे तो उसके हर क़दम पर उसको एक साल के रोज़े और एक साल का (नमाज़ के लिए) क़याम करने का सवाब मिलेगा
सुनन अबू दाऊद , जिल्द 1, 346-सही

नोट : ये हदीस सुनन इब्न माज़ा, जिल्द 1, 1087-सही और जामीअ तिरमिज़ी जिल्द 1, 477-सही में भी मोजूद है

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm