Women In Islam

Haiz-o-Nifaas Ka Bayaan Aur Uske Ahkaam Ka Bayaan

◆Haiz Ka Byaan◆

Allah Azza-O-Jal Irshaad Farmata Hai:

Ae Mahboob Tum Se Haiz Ke Bare Main Log Sawaal Karte Hain Tum Farma Do Wo Gandi Cheez Hai To Haiz Main Aurato’n Se Bacho Aur Unse Qurbat Na Karo Jab Tak Paak Na Hole’n To Jab Paak Hojaye Unke Paas Us Jaga Se Aao Jiska Allah Ne Tumhe’n Hukm Diya Be_Shak Allah Dost Rakhta Hai Tauba Karne Walo Ko Aur Dost Rakhta Hai Paak Hone Walo Ko.

(Sure Baqra :222)

◆ Hadees: Saheeh Muslim Main Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’Aala Anhu Se Marwi Farmate Hain Ke Yahudiyo’n Main Jab Kisi Aurat Ko Haiz Aata To Use Na Apne Saath Khilaate Na Apne Gharo’n Main Rakhte..

Sahaba Kiraam Ne Nabiﷺ Se Sawaal Kiya Us Par Allah Ta’Aala Ne Ye Aayat Naazil Farmayi To Rasool ﷺ Ne Irshaad Farmaya:
Jima Ke Siwa Har Shay Karo Iski Khabar Yahudiyo’n Ko Pohchi To Kehne Lage Ke Ye (Nabiﷺ) Hamari Har Baat Ka Khilaaf Karna Chahte Hain Uspar Useed Bin Huzair Aur Abaad Bin Bashar RadiyAllahu Ta’Aala Anhuma Ne Aakar Arz Ki Ke Yahood Aisa Aisa Kehte Hain To Kya Ham Unse Jima Na Kare (Ke Puri Mukhalifat Hojaye) RasoolAllahﷺ Ke Ruye Mubarak Mutaghaiyar Hogaya Yaha’n Tak Ke Ham Ko Gumaan Huwa Ke Un Duno’n Par Ghazab Farmaya Wo Duno’n Chale Gaye Aur Unke Aage Doodh Ka Hadya Nabi ﷺ Ke Paas Aaya Huzoor ﷺ Ne Aadmi Bhej Kar Unko Bulwaya Aur Pilaya To Wo Samjhe Ke Huzoor Unpar Ghazab Nahi Farmaya Tha.

(Ref:Bahare Shari’at, H:2 , S:41)

◆Haiz-O- Nifaas Ki TaAreef: Baaligha Aurat Ke Aage Ke Maqaam Se Jo Khoon Aadi Taur Par Nikalta Hai Aur Bimari Ya Baccha Hone Ki Waja Se Na Ho Use “Haiz”Kehte Hain.
Aur Bimari Se Hoto Use “Istehaza” Aur Baccha Hone Ke Ba’d Hoto Use “Nifaas Kehte Hain.

◆Maslah: Haiz Ki Muddat Kam Se Kam 3/Din , 3/Raate’n Hain Yaani Pure 72/Ghante Ek Minute Bhi Agar Kam Hai To Haiz Nahi Aur Zyada Se Zyada 10/Din , 10/Raate’n Hai.

◆Maslah: 72/Ghante Se Zara Bhi Pehle Khatam Hojaye To Haiz Nahi Balke Istehaza Hai. Haan Agar Subah Ko Kiran Chamakte Hi Shuru Huwa Aur 3/Din , 3/Raate’n Puri Hokar Kiran Chamakne Hi Ke Waqt Khatam Huwa To Haiz Hai. Aur Is Surat Main 72/Ghanta Pura Hona Zaruri Nahi
Albatta Kisi Aur Waqt Shuru Hoto Ghanto’n Hi Se Shumaar Hoga Aur 24/Ghanta Ka 1/Din Raat Liya Jayega.
(Bahare Shari’at)

◆Maslah: 10/Raat Din Se Kuch Bhi Zyada Khoon Aaya To Agar Ye Haiz Pehli Martaba Use Aaya Hai To 10/Din Tak Haiz Hai Ba’d Ka Istehaza Aur Agar Pehle Use Aachuke Hain Aur Aadat 10/Din Se Kam Thi To Aadat Se Jitna Zyada Ho Istehaza Hai
Ise Yu’n Samjho’n Ke 5/Din Ki Aadat Thi Ab Aaya 10/Din To Kull Haiz Hai Aur 12/Din Aaya To 5/Din Haiz Ke Baaqi 7/Din Istehaza Ke
Aur Agar Ek HaaLat Muqarrar Na Thi Balke Kabhi 4/Din Aaya Kabhi 5/Din Aaaya To Pichle Bar Jitne Din Aaya Utne Hi Din Haiz Ke Samjhe Jaaye’n Baaqi Istehaza Hai.

◆Maslah: Ye Zaruri Nahi Ke Muddat Main Har Waqt Khoon Jari Rahe Jabbhi Haiz Ho Balke Agar Ba’z Waqt Aaye Jab Bhi Haiz Hai.

◆ Haiz Aane Ki Umar◆

◆Maslah: Haiz Aane Ki Umar Kam Se Kam 9/Baras Ki Umar Se Haiz Shuru Hoga Aur Intehayi Umar Haiz Aane Ki 55/Saal Hai. Is Umar Wali Ko Aa’e’sa Aur Us Umar Ko Sane Eyaas Kehte Hain.
(AalamGiri)

◆Maslah:9/Baras Ki Umar Se Pehle Khoon Aaya Wo Istehaza Hai. Yu’n Hi 55/Saal Ki Umar Ke Ba’d Jo Khoon Aaye Wo Istehaza Hai. Albatta Agar 55/Baras Ki Umar Ke Ba’d Khaalis Khoon Aaye Ya Jaisa Pehle Aata Tha Usi Rang Ka Aaya To Haiz Hai.
(AalamGiri Wagbera)

◆Maslah: Hamal Wali Ko Jo Khoon Aaya Istehaza Hai. Yu Hain Baccha Hote Waqt Jo Khoon Aaya Aur Abhi Baccha Aadhe Se Zyada Bahar Nahi Nikla To Wo Istehaza Hai.

◆Maslah: Du(2) Haizo’n Ke Darmiyaan Kam Se Kam Pure Pandra(15) Din Ka Faasla Zaruri Hai Yu Hain Nifaas-O-Haiz Ke Darmiyaan Bhi Pandra(15) Din Ka Faasla Zaruri Hai
To Agar Nifaas Khatam Hone Ke Ba’d Pandra(15) Din Pure Naa Huwe The Ke Khoon Aaya To Ye Istehaza Hai.

◆Maslah: Haiz Us Waqt Shumaar Kiya Jayega Jabke Khoon Farj Khaarij Main Aagaya To Agar Koyi Kapda Rakh Liya Hai Jis Ki Waja Se Khoon Farje Khaarij Main Nahi Aaya Daakhil Hi Main Ruka Raha To Jab Tak Kapda Naa Nikalegi Haiz Wali Na Hogi Namaaze’n P adhegi. Rozah Rakhegi.

◆ Haiz Ke Rang◆

◆Maslah: Haiz Ke 6 Rang Hain, Siyah , Surkh , Sabz, Zard , Gadla , Matela , Safaid Rang Ki Ratubat Haiz Nahi.

◆Maslah: 10/Din Ke Andar Ratubat Main Zara Bhi Maila_Pan Hai To Wo Haiz Hai Aur Agar 10/Din Raat Ke Ba’d Bhi Maila_Pan Baaqi Hai To Aadat Wali Ke Liye Jo Aadat Ke Hain Itne Din Haiz Ke Aur Aadat Ke Ba’d Wale Istehaza Aur Agar Kuch Aadat Nahi To 10/Din Raat Tak Haiz Baaqi Istehaza.

◆Maslah:Jis Aurat Ko Umar Bhar Khoon Aaya Hi Nahi Ya Magar 3/Din Se Kam Aaya To Umar Bhar Wo Paak Hi Rahi Aur Agar Ek Baar 3/Di Raat Khoon Aaya Phir Kabhi Na Aaya To Wo Faqat 3/Din Raat Haiz Ke Hain. Baaqi Hamesha Ke Liye Paak.

◆Nifaas Ki Muddat◆

Nifaas Yaani Wo Khoon Jo Baccha Janne Ke Ba’d Aata Hai. Iski Kami Ki Janib Koyi Muddat Muqarrar Nahi Aadhe Se Zyada Baccha Nikalne Ke Ba’d Ek Aan Bhi Khoon Aaya To Nifaas Hai Aur Zyada Se Zyada Nifaas Ka Zamana 40/Din Raat Hai.

◆Maslah: Nifaas Ka Shumaar Us Waqt Hoga Jab Ke Aadhe Se Zyada Baccha Nikal Aaya.

Tambiya: Is Bayaan Main Jaha Baccha Hone Ka Lafz Aayega Aur Uska Matlab Aadhe Se Zyada Baccha Bahar Aajana Hai.

◆Maslah: Kisi Ko 40/Din Se Zyada Khoon Aaya To Agar Usko Pehli Baar Baccha Paida Huwa Hai Ya Ye Yaad Nahi Ke Usse Pehle Baccha Paida Hone Main Kitne Din Khoon Aaya Tha To In Duno’n Surto’n Main 40/Din Raat Nifaas Hai Baaqi Istehaza Aur Jo Pehli Aadat Ma’aloom Hai To Aadat Ke Dino’n Tak Nifaas Hai Aur Jitna Din Zyada Aaya Wo Istehaza Hai.

Jaise Aadat 30/Din Ki Thi. Is Baar 45/Din Aaya To 30/Din Nifaas Ke Aur 15/Din Istehaza Ke Hain.

◆Maslah: Baccha Paida Hone Se Pehle Jo Khoon Aaya Wo Nifaas Nahi Balke Istehaza Hai Agarche Baccha Aadha Bahar Aagay Ho.

◆Maslah: Hamal Saaqit Hone Se Pehle Kuch Khoon Aaya Kuch Ba’d Ko
To Pehle Wala Istehaza Hai Ba’d Wala Nifaas Hai.
Lekin Ye Is Surat Main Hai Jab Koyi Uzu Ban Chuka Ho Warna Pehle Wala Haiz Ho Sakta Hai To Haiz Hai Nahi To Istehaza.

◆Maslah: 40/Din Ke Andar Kabhi Khoon Aaya Kabhi Nahi To Nifaas Hi Hai. Agarche 15/ Din Ka Fasla Hojaye.

◆Maslah: Is Ke Rang Ke Bare Main Wahi Ahkaam Hain Jo Haiz Main Bayaan Huwe

Noor Saba

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.

Share
Published by
Noor Saba

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago