Islamic Blog

RAMZAN SPECIAL…

Haiz:
Balig Aurat ke peshab ke raste se jo khoon aadat ke taur par nikalta he aur bimari ya bachcha paida hone ke wajahse na ho to use Haiz kehte he.

Istehaza:
Agar yah khoon bimari se ho to istehaza he.

Nifas:
Aur Bachcha paida hone ke bad ho to Nifas kehte he. Nifas ka jyada se jyada waqt 40 din-rat he.

Aurat ka Haiz wa Nifas se khali hona Roze ke liye shart he.
>Sunni Bahishti Zewar, Safa 188

Haiz wa Nifas ki halat me Roza rakhna, Namaz Padhna Haram he. Balki Jo namaze maf he unki kaza bhi lazim nahi.
Ha rozo ki kaza aur dino me rakhna Farz he.
>Durre Mukhtar, Aalamgiri, Sunni Bahishti Zewar

Roze ki halat me Haiz ya Nifas shuru ho gaya to wah roza jata raha. Uski kaza rakhe Farz tha to kaza Farz he.
Aur Nafil tha to kaza Wajib.

Sponsored Links
Hamare Nabi Official Android App
Assalamu Alaikum.Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu,
Hamare Site Par Dikh Rahe Ishtiharat Ko Cl!ck Karke Hamari Imdad Farmaye.

Ramzanul​ Mubarak Ke Sare Masle Masail Ab Aapke Mobile Par. Jyada Se Jyada Logo Tak Pohochaye. Sare Masle Sahih Hadees​ Aur Quran-E-Kareem Ke Roshni Me.
Download Kijiye Hamare Nabi Ka Official Android App: Sunnat-E-Nabi

Aqaid Par Ek Motabbar Kitab Jo Insha ALLAH Aapke Imaan Ko Taro Taza Kardegi. Download Kijiye Play Store Se Hamare Nabi.
HomeRamzan
Haiz wa Nifas, MC, Periods aur Roza ka bayan
SHARE:
5 Nazarahmed Khan Monday, July 15, 2013
Haiz : Balig Aurat ke peshab ke raste se jo khoon aadat ke taur par nikalta he aur bimari ya bachcha paida hone ke wajahse na ho to use Ha…

Jin Chizon Se Roza Nahi Tootta Unka Bayan
Roze Ki Niyat Ke Masle
Chand Dekhne Ka Bayan
Haiz:
Balig Aurat ke peshab ke raste se jo khoon aadat ke taur par nikalta he aur bimari ya bachcha paida hone ke wajahse na ho to use Haiz kehte he.

Istehaza:
Agar yah khoon bimari se ho to istehaza he.

Nifas:
Aur Bachcha paida hone ke bad ho to Nifas kehte he. Nifas ka jyada se jyada waqt 40 din-rat he.

Aurat ka Haiz wa Nifas se khali hona Roze ke liye shart he.
>Sunni Bahishti Zewar, Safa 188

Haiz wa Nifas ki halat me Roza rakhna, Namaz Padhna Haram he. Balki Jo namaze maf he unki kaza bhi lazim nahi.
Ha rozo ki kaza aur dino me rakhna Farz he.
>Durre Mukhtar, Aalamgiri, Sunni Bahishti Zewar

Roze ki halat me Haiz ya Nifas shuru ho gaya to wah roza jata raha. Uski kaza rakhe Farz tha to kaza Farz he.
Aur Nafil tha to kaza Wazib.
>Aalamgiri

Aurat ko khas tarikh par Haiz aata tha aur Aaj Haiz aane ka din tha aur usne yah soch kar ki aaj Haiz aayega chah kar roza tod diya aur Haiz na aaya to kaffara maf ho gaya.
>Durre Mukhtar

Haiz wa Nifas wali Aurat Subah sadiq ke bad pak ho gayi agarche Jahvae Kubra (Dopahar se) pehle pehle hui aur Roza ki niyat kar li to yah roza na hua.
>Durre Mukhtar

Aurat ko Mard ne Humbistari par mazboor kiya fir Hambistari ke bich me apni khushi se mashgul rahi to kaffara lazim nahi ki Roza to pehle hi toot chuka he.
>Sunni Bahishti Zewar,Safa 188, Jauhra

Haiz wa Nifas wali Aurat Pak ho gayi to jo kuch din baki reh gaya he use Roze ki tarah guzarna Wazib he aur uski kaza farz he.
>Durre Mukhtar,Sunni Bahishti Zewar

Aurat Haiz se pure 10 din 10 rat me farig hui to baharhal agle din ka roza rakhe. Aur kam me pak hui to agar subah hone ko itna waqt he ki naha kar thoda sa waqt bachega to bhi Roza rakhe. Agar Gusla na kiya ho aur agar naha kar farig hone ke waqt subah chamki to Roza nahi.
>Aalamgiri

Haiz wa Nifas wali aurat ko ikhteyar he ki chup kar khaye ya jahir me Rozdar ki tarah rehna us par jaruri nahi magar chup kar khana behtar he. Khaskar Haiz wali aurat ke liye.
>Bahare Shariat,Sunni Bahishti Zewar, Safa 194

Aurat ko yah jaiz nahi ke apne Haiz Shohar se chupaye aur kahi wah anjane me sohbat na kare. Jaisa ki yah jaiz nahi ki wah khudko haiz wali jahir kare halaqi wah haiz wali nahi.
>Marakilfalaah,Sunni Bahishti Zewar…

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm