Islamic Blog

◗► Jo shaks Ahliya ke liye Gadi ka Darwazah khole, Wo Begairat Samjha jata hai.
◗► Jo Ahliya ke baithne ke liye kursi rakhe, wo Kamzor shakhsiyat ka Malik kehlata hai.
◗► Jo Ahliya ki Sahulat ke khatir kabhi bacche Sambhal le, Wo Biwi ka Gulam samjha jata hai.
◗► Garz jo bhi Shaks Ahliya ka kisi kaam mein hath bataye, Wo….aur…..Samjha jata hai.

✦….✔ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ka Tarze Amal ✔….✦

✿ “RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Apni Ahliya Mohtarma Ummul Mumineen Hazrat Safya RadiyAllahu Anha ke liye Oont ke Qareeb baith gaye aur Ghutna Mubarak khada Farmadiya aur Safya RadiyAllahu Anha ne apna Qadam RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Ghutne par Rakha aur Ba’aasani Oont par sawar hogayen.”

:: Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Hadith 4211]

“RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ghar ke kaam Kaaj mein Azwaje Mutahrat ka hath batate, Hatta ke kapde par khud pewand lagalete, Jute ki Islah farmalete, Phata hua pani ka Dol durust farmadete Wagerah.”

[Sahih Ibn Hibban :: Hadith 5676]

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm

One Response

  1. I see, that your blog needs fresh and unique content.
    I know it’s hard to write articles manually everyday, but there is solution for this.

    Just search in g00gle for: Atonemen’s tips