Islamic Blog

Ladki jab baalig ho jaati hai, to us ke maa baap us ki shaadi ki fikr karte hain aur achchha gharaana aur daamaad talaash kar ke us ki shaadi kar dete hain. Jis ghar mein woh dulhan ban kar jaati hai, use sasuraal kaha jaata hai, ab yahi ladki ka ghar hai, yahin use zindagi guzaarna hai, is liye har ladki ko sasuraal mein rehne sehne ka tareeqa aur saleeqa seekhna chaahiye. Qur’aan wa Hadees mein maa baap, bhai, bahen, khaala, maamu wagaira ke rishton ke saath saath sasuraali rishton; saas, sasur, devar, nand ka bhi zikr kiya gaya hai. Jis se hamein hidaayat milti hai ke jis tarah ham par apne maa baap ki izzat, ghar ke badon ka ehtiraam aur bachchon aur chhoton ke saath shafqat ka muaamla karna zaroori hai, isi tarah apne sasuraali rishtedaaron ke saath bhi adab wa ehtiraam aur muhabbat wa shafqat ka muaamla karna zaroori hai.

Hadees-e-Paak mein Rasulullah sallallahu Alahi wassallam ne farmaaya: Jo hamaare chhoton par rahem na kare aur hamaare badon ki izzat na kare, woh ham mein se nahein hai: (Tirmizi: 1919)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm