Islamic Blog

“HAZRAT ALI RADIALLAHU ANHU KI
HAR BAAT NEERALI”
Aap farmatey hain ki
“Jab Tumko Sukoon Ki Kami Mehsus Ho
To Apne Rab Se Tauba Karo, Kyunki
Insan Ke Gunah Hi Hai Jo Dil Ko Bechain
Rakhte Hai”.
—————————–
“Har kisi ko itni ehmiyat do jitni wo
tumko deta hai.
Agar kam do ge maghroor kehlao ge.
Agar zyada do ge to khud gir jao ge”
—————————
“jo shaksh Tumhari Nigaahon se
Tumhari zaroorat Samaj Nahi. Sakta…
Use kuch keh kar khud ko sharminda. Na
karo.”
—————————–
“Dushmano Ke Darmiyan Aise Raho Jaise
1 Zaban 32 Daanto Ke Darmiyan Rahti
Hai, Milti Sabse Hai
Dabti Kisi Se Nahi.”
—————————
“Log Tumhari Aqal Se Tumhari
Shakhsiyat Ka Wazan Karte Hain
Lehaaza Tum Apni Aqal Ka Wazan Ilm
(knowledge) Se Barho.”
————————-
” Mohabbat Sab Se Karo Lekin Us Se
Aur Bhi Zyada Karo Jiske Dil Me
Tumhare Liye Tumse Bhi Zyada
Mohabbat Hai.”
————————–
“Apne Kisi Bhi Maamle Me Salah
(Mashwara) Aise Logo Se Liya Karo
Jinke Dilo Me ﷲ TA’ALA Ka Khauf. Ho.”
—————————
“Agar Tumhe Ek Dusre Ki Niyyaton Ka
ilm Hota To Tum Ek Dusre Ko Dafan Bhi
Na Karte.”
————————
“Kisi ka Dil na Dukhao kyonki tum bhi Dil
rakhte ho.”
————————-
“Dil me buraayi rakhne se behtar hai
naraazgi zahir kar do.”
————————–
“Jo Musibat Tumhe Allah Ke Taraf Le
Jaye Woh Azmaish Hai,
Aur Jo Musibat Tumhe Allah Se Door
Karde Wo Saza Hai.”
————————–
“Mushkil waqt mein kisi se Ehsaan na
maango kyonki
mushkil char din ki hoti hai…
aur Ehsaan Zindagi bhar ka.”

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)