Islamic Blog

Ibrahim a.s. ka zikar Quran mein 26 martaba aaya hai. Aap Iraq k aik qasbay “Urr” k rehnay walay thay. Baap ka naam “Aazar”, jo but’taraash tha. Poori qom but parast thi. Ibrahim a.s. nay jub buton say bezari zahir ki aur baap ko haq ki dawat di to us nay kaha “Agar tu in buton ko bura kehnay say baaz na aaya to mein tujhe sangsaar kar dun ga”. Ibrahim a.s. nay apnay RUB ka taaruf yun karwaya:- Jis nay mujay peda kia aur mujay seedhi raah dikhata hay. Jo mujay khilata hay aur pilata hay. Jab mein bemaar hota hun to mujay shifa deta hay. Jo mujay maut day ga aur dobara zinda karay ga. )shuaara(. Qom butparasti say baaz na aai..Ibrahim a.s.nay aik din kaha “Aur Allah ki qasam mein tumharay buton k sath aik khufya chaal chalun ga, jab tum mojood nae ho gay” )Al-Ambiya( Kuch arsay baad qom ka aik mazhabi mela huwa to Ibrahim a.s. ko b dawat di.Aap bimari ka bahana bana kar pechay reh gaye. Aap un k baray mandar mein gaye tamaam buton ko tor kar kulhara baray but k kandhay per rakh diya. Qom ko andaza ho gaya k ye kaam sirf Ibrahim ka hi hay. jub sawal huwa to aap nay kaha” Ye kaam uss baray but nay kia hay agar ye bol sakay to pooch lo” )ambiya( Jub sharmsaar huway to kehnay lagay “Tu khoob janta hay, ye bolnay walay nae “Ibrahim a.s. nay kaha “Kia tum ko aqal nae, k tum un ko poojtay ho jo tum ko na faida detay hein na nuqsaan”


Hazrat Ibrahim A.S. (Urdu) episode 1 by Allah_kay_Banday

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm