Islamic Blog

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Baaba Maan, Shehanshaah e Baroda.

****************
Aap Yemen ke shehzaade the. Magar Aap mahel me aish o aaraam karne ke bajaay jangal me jaakar ibaadat karna zyada pasand karte the.

Aakhir me aap sab kuchh chhodkar Yemen se Hindustan tashreef laaye. Aap ne Gujarat ke Panchmahal me Pavagadh ke qareeb qayaam farmaaya.

Aap ne dekha ke Pavagadh ke pahaad par se kuchh log neeche aate hain aur zaroorat ka saamaan kharidkar waapas pahaad par chale jaate hain. Aap ne ek shakhs se puchha ke ‘Aap log kaun hain aur kaha par rehte hain?’ Us ne bataaya ke ‘Main Hazrat Sadan Shaah Sarmast ka mureed hu jo Hazrat Sayyed Badi-ud-deen Madaar Shaah ke khalifa hain. Hamare Peer pahaad ke upar rehte hain. Hum khaane ki aur dusri zaroorat ki cheezen lene ke liye aate hain.’

Aap un ke saath Pavagadh ke pahaad par gaye. Hazrat Sadan Shaah Sarmast ki baargaah me pahunchkar aap ne mureed hone ke arz kiya. Hazrat ne apne mureedo ke saath rehkar un ko kaam me madad karne ke liye farmaaya.

Kuchh waqt ke baad Hazrat ne aap ko mureed banaaya.
Aur aap ko Peer ke liye khaana pahunchane ki zimmedaari di gai. Aap roz peer ke liye khaana le jaate. Peer us me kuchh khaate aur baaqi aap ko khaane ke liye dete. Aap us khaane ko khaane ke bajaay ek ghaar me le jaakar ek kone me rakh dete jaha par aap ibaadat kiya karte the.

Ek martaba Peer ne aap se farmaaya ‘Main chaahta hu ke jo log pahaad ke aas-paas rehte hain un sab ko hum khaane ki daawat karen.’ Peer ke farmaan par aap ne sab logo ko daawat ki. Magar jis din sab logo ko daawat thi us din khaane ka koi intazaam nahi kiya gaya. Ye dekhkar aap ke saathiyo ne aap se puchha ‘Aap ne logo ke liye khaane ki koi tayyaari ki hai ya nahi?’ Aap ne farmaaya ‘Maine sab intazaam kar liya hai.’ Aakhir me jab Peer ne farmaaya ‘Akmal Husain, Khaana haazir karo.’ Aap us ghaar me gaye aur jo bacha hua khaana jama kiya tha aur us ke upar ek kapda rakha tha. Aap ne namaaz padhi aur phir ALLĀH ta’ala se dua ki ‘Aye behtareen ata farmaane waale, Maine khaane ki koi tayyari nahi ki hai. Magar teri zaat par yaqeen hai. Tere karam se is mauqe par meri laaj rakh le.’ Is ke baad aap us kapde ko hataaye baghair us ke andar haath daalkar taaza khaana thaali me rakhkar dete gaye yaha tak ke sab ne khaana khaa liya.

Is ke baad Peer ne aap ko bulaaya aur khilaafat ata farmai.

Is ke baad aap Pavagadh se Vadodara tashreef laaye aur isha’at e Islaam karte rahe aur logo ko faiz ata farmaate rahe.

****************
Aap Hazrat Sadan Shaah Sarmast rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain aur ‘Madaari’ silsila ke Shaikh hain.

****************
Aap ka wisaal 8 Sha’abaan ko hua.

Aap ka mazaar Vadodara (Gujarat) me hai.

****************
Aap ke mazaar ke gumbad par ek sunehari kalash hai. Jis me har saal urs ke mauqe par doodh bhara jaata hai aur agle saal jab kalash ko utaara jaata hai to us me wo doodh wais hi taaza hota hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Akmal Husain rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)