Islamic Blog

Hazrat Shaikh Zain-ud-deen Abul Fazl Abdul Waahid al-Tameemi rahmatullāhi alaihi :
266626662666266626662666266626662666266626662666266626662666266626662666266626662666266626662666

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Khaadim-ush-Shariah, Saalik-ut-Tareeqah, Waaqif-ul-Haqeeqah.

********************
Aap ki wilaadat 22 Rajab 227 Hijri (May 842 A.D.) ko Baghdad me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Abdul Azeez bin Haariṡ rahmatullāhi alaihi hai.

******************
Aap apne zamaane ke Imaam-ut-Taqwa the. Aap bahot bade aabid o zaahid the.
Aap ‘Hanafi’ mazhab ke Muqallid the.
Aap ne puri zindagi Sunnato ki hifaazat me aur shariat ki khidmat me aur taaleem e deen me guzaari.
Aap Muballigheen ke qaafile alag alag ilaaqe me bhejte the.
Aap ne khud bhi isha’at e islaam ke liye kai mulko ka safar kiya.
Aap ne kai martaba Hajj bhi ada kiye.

******************
Aap (apne waalid) Hazrat Shaikh Abdul Azeez al-Tameemi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Shaikh Abu Bakr ash-Shibli rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko (Junaidi Silsila ki) khilaafat ata farmai hai.

Aap ke khalifa Shaikh Abul Faraah Yousuf al-Tartusi rahmatullāhi alaihi hain.

*************
Aap ka wisaal 26 Jamaadi uṡ ṡaani 425 Hijri (18 May 1034 A.D.) ko Jum’aa ke roz hua.

Aap ka mazaar Baghdad (Iraq) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Abdul Waahid Tamimi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm