Islamic Blog

SEERAT-E-GARIB NAWAZ

Wisaal-e-Garib Nawaz
Aur
Wisaal Ke Baad Ki Karaamat

Wisaal Se Pehle Aap Apne Hujre Mai Tilaawat-e -Qur’an Karte Rahe…

Aap Ka Wisaal 6 Rajab 633 Hijri (16 March 1236) Ko Peer Ke Din 97 Saal Ki Umr Me Hua…
Aap Ka ,Mazaar Ajmer Sharif (Rajasthan) Me Hai…

***********************

Wisaal Ke Baad Bhi Aap Ka Faiz aur Karaamat Jaari Hai.
Aap Ke Mazaar Par Haazir Hone Walo aur Aap Ke Waseele Se Dua Maangne Walo Ko ALLAH Ta’ala Har Nek Jaaiz Murad Ata Farmata Hai…

Jis Me Ye Qissa Bahut Mashhoor Hai…

Ek Baar Baadshah Aurangzaib rahmatullah alaihi Khwaja Ghareeb Nawaaz rahmatullah alaihi Ke Mazaar Ki Ziyarat Ke Liye Ajmer Gaye….

Aap Jab Khwaaja Ke Mazaar Par Pahunche To Waha Ek Andha Shakhs Baith Kar Ilteja Kar Raha Tha….

Aap Ne Puchha Ke ‘Aye Shakhs Kya Muamala Hai….?’

Us Shakhs Ne Kaha Ke…
‘Main Bahut Arse Se Khawaja Ke Waseele Se Dua Kar Raha Hu Ke Mujhe Aankho Ki Roshni Mil
Jaaye….Lekin Koi Faaida Nahi Hua….’

Aap Ne Us Se Kaha Ke…
‘Main Mazaar Me Salaam Kar Ke Aata Hu,
Agar Tujhe Aankh Ki Roshni Nahi Mili To Talwaar Se Teri Gardan Kaat Dalunga….’

Wo Andha Shakhs Pareshan Ho Gaya Ke Ab To Aankh Ke Saath Jaan Par Baat Aa Gai Hai,
Wo aur Zor Se Khwaja Ke Waseele Se Dua Maangne Laga aur Istegaasah Karne Laga…

Jab Aurangzaib Ne Khwaja Ko Salaam Kiya To Uska Jawaab Na Mila, Dobara Salaam Kiya To Jawaab Na Mila,
Phir Jab Teesri Bar Salaam Kiya To Aahista Se Jawaab Mila…
‘Waalaikum Assalaam Ya Aalamgir Hujjati’

Phir Khwaja Ne Mazaar Me Se Farmaya Ke…
‘Aye Aurangzaib, Aainda Kabhi Aisi Zeed Mat Karna.
Tumhari Zeed Ki Wajah Se Us Andhe Shakhs Ki Aankho Ki Roshni Laane Ke Liye Main Arshe Ilaahi Par Gaya Tha Aur Is Liye Salaam Ka Jawaab Dene Me Thodi Der Ho Gai….’

************************

ALLAH Ta’ala Us Ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam Ke Sadqe Me Aur Ata-e-Rasool Khwaja Ghareeb Nawaaz Rahmtullahi Alaihi aur Ahle Bait aur Auliya Allah Ke Waseele Se….

Sab ko Mukammal Ishq-e-Rasool Ata Farmae aur Sab Ke Iman Ki Hifazat Farmae aur Sab Ko Nek Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmae,
Aur Sab Ko Dunya Wa Aakhirat Me Kaamyabi Ata Farmae…aur Sab Ki Nek Jaaiz Murado Ko Puri Farmae….

··········Aameen··········

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)