Islamic Blog

Hadees- Hazrat abu musa radiallah ta’ala anhu ka bayan hai ki mai aur mere chacha zaad bhai Nabi sallallhu ta’ala alaih wasallam ki khidmat me gaye to ek ne kaha ki ya rasulallah sallallahu ta’ala alaihi wasallam ap mujhe in baaz kaamo ka haqim bana dijiye jo apke zere huqumat hai aur dusre ne bhi yahi kaha to apne farmaya ki khuda ki kasam ham us shakhs ko haqim nahi banate jo huqumat ka talib aur harees ho. (mishkat Jild2 safa 320)

Tabsara

Huqumat ke kisi ohde ko talab karne wale wa lalchi ko wah ohda supurd kar dena bobot hi khatarnak hai isi liye huzur sallallahu ta’ala alaih wasallam ne kasam kha kar farmaya ki ham hukumat ke talib ya iska lalach rakhne wale ko kabhi hakim nahi banate. Balki jo is ohde se bhagta ho usko yah ohda supurd karte hain. Ki isme yakinan adl wa khair barkat ki taufik hogi. Chunanche baarah ka tajurba shahid hai. Ki jin logo ko talab karne par kou ohda diya gaya chuki isme iski nafsani khwahisho ka jazba tha. Isliye un logo ne apne ohdo ka najaiz fayda uthakar apne deen wa dayanat ka zibah kar dala.  Aur nizame huqumat ko tahas nahas kar dala aur jo log kisi ohde se bhagte rahe aur haqime waqt ne zabardasti koi ohda supurd kar diya to un logo ne ikhlas wa lillahiyat ke sath bohot acha kam kiya.

ALLAH pak ham sabko nek raah pe chalne ki taufeeq ata farmaye.  Achi bat aage btana bhi neki hai. masha ALLAH

Source:http://www.islamicpost.in/

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm