Islamic Blog

Hazrat Muhammad sallallahu alyhiwasallam ne faryama ki

Duniya 4 insano ke liye hai, ek wo insan jisko Allah ne paisa bhi diya aur islam ki jaankari bhi, aisa insan dono se faida uthata hai aur Allah se darta bhi hai aur paisa se rishtedaaro aur apne karibi logo ki madad bhi karta hai, to aisa insan Allah ki nazar mein sabse unchi position par hai.

Dusra insan wo hai jiske pass islam ki jaankari to hai lekin paisa nahi, lekin yeh niyat ka saccha hai, aur yeh sochta hai ki agar mere pass paisa hota to mein bhi no. 1 wale aadmi jesa paisa kharch karta, to aisa garib aadmi sawab kamane mein us maaldar ke barabar hai.

Teesra wo insan hai jiske pass paisa to hai lekin islam ki jaankari nahi, aisa insan apna paisa garibo aur karibi logo par kharch nahi karta aur Allah se bhi nahi darta to is tarah ka insan bahut hi neeche darje (level) par hai

Chotha insan wo hai jiske pass na paisa hai na islam ki jaankari, lekin wo yeh sochta hai ki agar mere pass paisa hota to mein bhi teesra no. wale insan jesa aish karta, to chotha insan bhi darje (level) mein teesra no. wale jesa hai.

Yaani dusre no. wale insan ki niyat acchi thi isliye usko sawab mein pahle no. ke barabar kar diya gaya aur chote no. wale ki niyat kharba thi to usko gunah mein teesra no. wale ke barabar kar diya.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm