Islamic Blog

Sachcha Qaatil

islamic allah wallpaper

Makkah mein waleed naam ka ek kaafir rehta tha, uska ek sone ka butt tha jis ko wo pooja karta tha, ek din us butt mein harkat paida huyi aur wo sone ka butt bolne laga, us butt ne kaha “logo ! Mohammad Allah ke Rasool nahi, unki hargiz baat mat maanna” (Ma’az Allah) waleed […]

Jannat ki Oontni

wallpaper allah 20

Hazrat Ali (radi allahu anhu) ek baar ghar tashreef laaye to Hazrat Fatima (radi allahu anha) ne kaha, “Maine ye soot kaata hai, aap isey bazar le jaiye aur bech kar kuch khane ka saman le aaiye taaki Hasan-o-Hussain (radhiyallahu anhuma) ko roti khilaun” Hazrat Ali wo soot bazar le gaye aur usey 6 rupye […]

Qaatil ki Rihai.

islamic allah wallpaper

Baghdaad ke haakim ibraheem bin ishaaq ne ek raat khwaab mein Huzur-e-Akram (sallallaahu alaihi wasallam) ko dekha, Huzur (alahis-salaam) ne us se farmaya “Qaatil ko riha kar do” Ye hukm sun kar haakim-e-baghdaad kaampta hua utha aur apne amla se poocha ki “kya koi aisa mujrim bhi hai jis par Qatl ka ilzaam hai?” pata […]

Rasool Allah Ka Paighaam Ek Ghair-Muslim Ke Naam

Rasool Allah

Shiraaz ke ek Buzurg Hazrat Faash farmate hain… “mere yaha ek bachcha paida hua aur mere paas kharch ke liye kuch bhi na tha, mausam bahot sardi ka tha, Main isi fikr mein so gaya to khwaab mein Rasoolallaaah (sallallaahu alaihi wasallam) ki ziyarat naseeb huyi, Rasoolallaaah sallallaahu (sallallaahu alaihi alaihi wasallam) ne farmaya “kya […]

Ek syed-zadi Aur majoosi

islamic allah wallpaper

Samarqand mein ek Bewa syed-zadi rehti thi aur uske kuch bachche bhi thy, Ek din wo apne bhuke bachchon ko le kar ek ameer aadmi ke paas pahunchi aur kaha “Main Saiyyad-Zadi hu, mere bachche bhuke hain inhe khana khilao” Wo ameer aadmi jo daulat ke nashe mein choor aur sirf naam ka musalman tha, […]

BAADSHAH.. FAQEER KE GHAR

allah 1

Haroon Rasheed ne ek raat apne wazeer se kaha “Aaj mujhe kisi Buzurg ke paas le chalo, kyu ki mera dil is karobar (hukumat ke kaam) se uktaa gaya hai, thodi der itminaan o raahat paana chahta hu” wazeer Haroon Rasheed ko le kar ek saahab ke makaan par gaye, darwaza knock karne par andar […]

Hazrat Moosa Alaihissalam-part 5

12313981 637512633053130 5010007281226950726 n

Hazrat Moosa Alaihis’salaam ke asaa ka saamp ban jaana firon ke liye bahot mushkil aur fikar ki wajah ban gaya, . firon ke darbaari us se kehne lage ki “Moosa (Alaihis’salaam) kahi se jaadu seekh kar aaye hain, ab tum bhi apne poore mulk se bade-bade jaadugaro ko bulwao, aur un sab jadugaro ko Moosa […]

Hazrat Moosa Alaihissalam-part 4

allah mohammed

Hazrat Moosa Alaihis’salaam sharf-e-nabuwat se musharrif ho kar jab firon ke paas pahunche, to usse farmaya “Aye firon ! Main Allah ka Rasool hu, tu khuda hone ke dawa ko chor aur ek Allah par imaan le aa” firon bola “agar Aap Allah ke Rasool hain to koi nishani dikhaiye” Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne apna […]

Hazrat Moosa Alaihis Salaam-part3

PATTHER MAY AADMI

Hazrat Moosa Alaihis’salaam Hazrat Shoaib Alaihis’salaam ke paas 10 saal tak rahe, aur fir Hazrat Shoaib Alaihis’salaam ne apni Beti ka nikaah Hazrat Moosa Alaihis’salaam ke saath kar diya. baad me Hazrat Moosa Alaihis’salaam ne Hazrat Shoaib Alaihis’salaam se ijazat le kar apni Biwi ke saath apni Maa se milne ke liye misr ki taraf […]

Hazrat Moosa Alaihis’salaam-part2

wallpaper allah 20

Hazrat Moosa Alaihis’salaam jab 30 baras ke huye to ek din firoun ke mahel se nikal kar shaher me aye, waha Aap ne 2 aadmiyon ko ladte jhagadte dekha, unme se ek firoun ka baawarchi tha aur dusra Hazrat Moosa Alaihis’salaam ki Qaum se tha, firoun ka baawarchi lakdiyon ka ghatta us dusre aadmi par […]