Islamic Blog

Kai baar aesa ho jata hai ke hum kisi wajah se masjid der se pahuchte hain aur jamat khadi ho chuki hoti hai aur namaz shuru ho jaati hai, aese mein hum jamat mein kese shaamil hon.
hum 4 farz ki jamat ka example lete hain.
(1) Maan lo agar jamat abhi khadi hui hai aur hum pahuch gae, aur agar imam sahab ‘alhamdu’ ya koi quran ki surah padh rahe hain to hum bhi jamat mein ‘Allah akbar’ keh kar apne haatho ko naaf ke neeche baandh kar namaz mein shaamil ho jaaen. Jab quran ki tilawat shuru ho chuki hain to hum ‘sana’ nahi padhenge, balke chup khade rahenge.
(2) Agar imam sahab pehli rakat ke ruku mein the aur hum pahuche, us time hum Allahu akbar kehkar apne haatho ko kaano tak uthaenge, phir 2-3 second apne haatho ko naaf ke neeche baandh kar khade rahenge aur phir ruku mein chale jaenge. Agar hum ruku mein jaakar imam sahab ke saath 1 tasbeeh bhi padh li to matlab humko wo puri rakat mil gai. Lekin agar hum ruku mein ja rahe the aur imam sahab ne ‘sami alla huleman hamida’ keh diya to phir humko wo rakat nahi mili, bhale hi humne bhi ruku kar liya aur tasbeeh padh li ho, lekin kyonke hum 1 tasbeeh (subhan rabbiyal azeem) bhi imam sahab ke saath nahi padh sake, ab humko 1 rakat imam sahab ke salam ferne ke baad padhna padhegi. matlab ruku ke baad jaha se bhi namaz mein shamil hote hain matlab wo rakat hamari nikal chuki hai, aur imam sahab ke salam ferne ke baad humko wapas padhna padhegi.
(3) Agar imam sahab pehli rakat ke pahle sajda mein the aur hum pahuche to hum ‘Allahu akbar’ kehkar apne haatho ko naaf ke neeche baandh kar 2-3 second khade rahenge (sana nahi padhenge) aur ruku bhi nahi karenge, sidhe sajda mein jaenge aur tasbeeh padhenge.
(4) Agar imam sahab pehli rakat ke dusre sajda mein the aur hum pahuche to hum ‘Allahu akbar’ kehkar apne haatho ko naaf ke neeche baandh kar 2-3 second khade rahenge (sana nahi padhenge) aur ruku bhi nahi karenge, aur pehla sajda bhi nahi karenge, sidhe dusre sajda mein imam ke saath shamil ho jaenge.
(5) Ab kyonke hamari ek rakat chhoot chuki hai, isliye hum baaki namaz (3 rakat) imam sahab ke saath padhenge, aur jab imam sahab ek salam ferenge to hum unke saath salam nahi ferenge balke aese hi bethe rahenge, jab imam sahab dusra salam ferenge tab hum bachi hui namaz ko padhne ke liye khade ho jaenge, dusre salam ka intezzar isliye kiya jata hai kyonke ho sakta hai imam sahab ‘sajda’ sahu’ kar den.
Jab hum khade ho gae to imam sahab se alag ho gae aur bachi hui ek rakat ko padhenge. Ab khade hokar apne haatho ko naaf ke neeche baandh kar sabse pahle sana padhenge, phir alhamdu shareef, phir koi quran ki ayat. Kyonke ye sab cheeze humse pehli rakat mein chhoot gai thi, inko yaha padhenge. baaki namaz jese padhte hain wese hi padhenge. Is tarah humne 3 rakat imam ke saath padhi aur 1 akele to kul 4 rakat ho gai.
(6) Agar imam sahab dusri rakat ke liye khade ho gae aur hum phir pahuche to matlab hamari 1 rakat hi chhooti, lekin agar hum aese time pahuche jab imam sahab ruku se khade ho rahe the (aur hum ek bhi tasbeeh imam sahab ke sath nahi padh sake) to iska matlab hamari dusri rakat bhi chhot gai, ab humko imam sahab ke salam ferne ke baad 2 rakat aur padhna hogi. Iske liye imam sahab ke salam ferne ke baad hum khade ho jaenge aur waha ‘sana’, alhamdu shareef aur koi quran ki surah padhenge. aur is rakat mein ‘attahiyaat ke liye nahi bethenge balke dusri rakat ke liye khada ho jaenge. Ab dusri rakat mein bhi alhamdu ke baad koi quran ki surah padhenge. ab dusri rakat mei attahiyat ke liye bethenge aur darud aur dua padh kar salam fer denge. Is tarah humne 2 rakat imam ke saath padhi aur 2 akele to kul 4 rakat ho gai.
(7) Agar hum aese time pahuche jab imam sahab teesri rakat ke liye khade the aur hum pahuche to iska matlab hamari 2 rakat nikal chuki aur humne teesri rakat imam sahab ke saath pa li, is condition mein bhi humko bachi hui 2 rakat hi padhna hai lekin agar imam sahab ruku se uth rahe the aur hum ruku mein pahuche ya iske baad pahuche to iska matlab hamari teesri rakat bhi nikal chuki, matlab ab humko imam sahab ke salam ferne ke baad bhi 3 rakat aur padhna hai, iske liye imam sahab ke salam ferne ke baad hum khade ho jaenge, yaha ‘sana’, alhaumdu’ aur quran ki surah padhne ke baad ruku sajda karenge aur attahiyat ke liye beth jaenge, kyonke 1 rakat humne imam sahab ke saath ada ki thi, isliye ye hamari dusri rakat hai, kyonke dusri rakat mein attahiyat padhne ke liye bethte hain isliye yaha attahiyat ke liye bethna zaruri hai, ab teesri rakat ke liye khade honge to teesri rakat mein bhi alhamdu ke baad ek quran ki ayat padhenge lekin is rakat mein attahiyat mein nahi bethenge kyonke imam sahab ke saath waali rakat mila kar ye hamari teesri rakat hai, isliye ruku sajda ke baad wapas khade ho jaenge aur ab sirf alhamdu padhenge. kyonke farz namaz mein shuru ki 2 rakat mei hi alhamdu ke baad quran ki ayat padhi jaati hai, isliye aakhri rakt mein quran ki surah nahi padhenge. kyonke isse pahle ki 2 rakat mein hum quran ki ayat padh chuke hain.
(8) agar hum aese time pahuche jab chowthi rakat shuru ho chuki thi to ab humko imam sahab ke salam ferne ke baad 3 rakat hi padhna hai, lekin agar hum imam sahab ke ruku karne ke baad pahuche to matlab hamari chowthi rakat bhi nikal chuki, ab imam sahab ke salam ferne ke baad humko 4 rakat padhi hai.
(9) agar hum aese time pahuche jab imam sahab ‘attahiyat’ padh rahe hai to iska matlab hamari 4 rakat nikal chuki hai, lekin jamat mein shamil hone ke liye Allahu akbar kehkar haatho ko naaf ke neeche 2-3 second baandh kar rakehenge, aur ruku sajda nahi karnege, hum bhi sidhe ‘attahiyat’ ke liye beth jaenge aur attahiyat padhenge, attahiyat ke baad darud aur dua nahi padhenge. jab imam sahab salam ferenge to hum apni namaz ke liye khad ho jaenge aur bachi hui namaz ko ada karenge.
Sana kab padhenge : Agar hum shuru se hi imam sahab ke saath hain to imam sahab ke Allahu akbar kahte hi foran hum bhi Allahu akbar kehkar sana padh len. lekin agar imam sahab ne quran ki tilawat shuru kar di to phir hum sana jitni padhi hai usko wahi chhod de, chahe wo puri na hui ho. ya bilkul bhi na padhi ho.
Agar hum aese time jamat mein shamil hue jab quran ki tilawat shuru ho chuki thi tab sirf Allahu akbar kehkar jamat mein shamil ho jaiye, sana na padhiye.
Agar aese time jamat mein shamil hue jab 1 ya zyada rakat nikal chuki thi tab sana us time padhi jaegi jab hum bachi hui namaz ke liye khade honge aur yaha imam sahab ke baaad waali pehli rakat mein sana padhenge.
jab kisi rakat mein shamil hue to wo rakat hamari tab tak maani jaegi ke agar hum imam sahab ke saath ruku mein shamil hokar kam se kam 1 baar tasbeeh padh li ho, agar ruku ke baad shamil hue to iska matlab wo rakat hamari nikal chuki, bhale hi hum sajda imam sahab ke saath karen, aur agar aesa hua ke imam sahab ruku mein the aur hum bhi ruku mein ja rahe the lekin tasbeeh na padhi ti aur itne mein imam sahab ne ‘sami allahu huleman hamida keh diya to bhale hi hum iske baad ruku mein jakar tasbeeh padhe len, lekin ye rakat hamari nahi hui.
Agar kisi ko kuch confusion hai to puch le. Yaha humne koshish ki hai ke koi galti na ho lekin phir bhi koi galti rah gai ho to comment kariye, taake wo galti humko bhi pata lage aur dusro ko bhi.
Allah hum sabko sahi tarike se namaz padhne ki taufik ata kare, aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm