Islamic Blog

HAZRAT-E-ABU-HURAIRA- RAZIAALHO-TA-AALA-NAHO- ne kaha ki Rasool-e-karim
ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne
farmaya ki ALLAH Ta’ala ne
farmaya hai ki maine apne nek
bando ke liye aisi chhiz taiyar kar
rakhkhi hai ki jis ko na kisi aankh ne dekha na uski achchayiyon ko kisi
kaan ne suna aur na kisi insan ke
dil par uska khayal guzra. (BUKHARI- MUSLIM)
HAZRAT-E-BURIDA-RAZIALLAHO-TA- ALA-ANHO – ne kaha ki sarkar-e- akdas- sallallho-ta-aala-alaye-
wasallam ne farmaya ki jannatiyon
ki 120-safe (katar) hogi aur un mai
se 80-safe is ummat ki hogi aur 40-
safe dusri ummato ki. (TIRMIZI)
HAZRAT-E-ANAS-RAZIALLAHO-TA- AALA-ANHO- ne kaha ki rasul-e- karim- ALAYHISHSALATU-WAS-
SALAM ne farmaya ki agar
jannatiyon ki awrato mai se koi
awrat jamin ki taraf jhake to aasman
se jamin tak roshni ho jaye aur
jamin wa asman ke bich ka pura hissa mahek jaye aur uske sar ki
Odhni duniya aur jo kuch duniya mai
hai un sabse behetar hai. (BUKHARI SHARIF)
HAZRAT-E-SAAD-IBN-E-ABU- WAKKAS-RAZIALLAHO-TA-AALA- ANHO- se riwayat hai ki nabi karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALAM ne
farmaya ki agar jannati ki chizo se
nakhun wagaira koi chiz jahir ho
jaye to asman wa jamin ke har taraf
unse sajawat paida ho jaye aur
agar jannatiyon mai se koi shakhs duniya ki taraf jhake aur unke
kangan jahir ho jaye to uski
chamak suraj ki chamak ko mitade
jaise ki taro ki chamak ko suraj
mitadeta hai. (TIRMIZI)
HAZRAT-E-ABU-SAYYED AUR ABU- HURAIRA-RAZIAALHO-TA-AALA- ANHUMA- se riwayat hai ki rasul-e- karim ALAYHISHSALATU-WAS-
SALAM ne farmaya ki pukarne wala
pukar kar kahega ki (aye jannat
walo) tum tandurust rahoge kabhi
bimar na hoge, tum jinda rahoge
kabhi na maroge, tum jawan rahoge kabhi buddhe na hoge aur tum aram se
rahoge kabhi mehnat wa mashkkat
na uthaoge. (MUSLIM SHARIF)
HAZRAT-E-JABIR-RAZIALLAHO-TA- AALA-ANHO- ne kaha ki sarkar-e- akdas- sallallaho-ta-aala-alaihi-
wasallam ne farmaya ki jannati,
jannat mai khayenge piyenge lekin na
thhukenge na peshab pakhana
karenge- aur na rith shinkege
(chhikege) sahaba ne pucha khane ka fuzla kya hoga ? huzur- sallallho-
ta-aala-alaihi-wasallam ne farmaya
ki achchhi dakaar ayegi aur ayesa
pashina ayega jo mushk ki tarah
hoga aur subhanallahi-walhamdu-
lillahi kahena jannatiyon ke dil mai daal diya jayega ( jo unki juban par
be takalluf jari hoga ) jayese ki sanse
jari hai. ( MUSLIM SHARIF )
HAZRAT-E-ABDULLAH-IBN-E-UMAR- RAZIALLAHO-TA-AALA-ANHUMA – ne kaha ki rasul-e-karim
ALAYHIS SALATU-WAS-SALAM ne
farmaya ki martaba ke lihaz se sabse
kam darza k jannati wah shakhs
hoga jo apne bago apni biwiyon
apne maal wa asbab apne khidmatgaro aur aapne aram karne
ki jagaho ko ek hazar saal ke rashte
ke andar faila hua dekhega aur
Allah ta-aala ke nazdik sabse
bade darza ka jannati wah shakhs
hoga jo subha wa sham allah ki ziyarat karega iske baad huzur-ne
PARA-29 SURE-KIYAMAH ki ayat e
karima padhi jiska matlab yah hai
ki us roz bahut se chehre apne
parwadigar ki jiyarat se hare bhare
aur khush wa khuram honge. (TIRMIZI SHARIF)
KUCH JARORI BAATE [1] Jannati ko jannat mai har kism
ki lazzat wale fal aur khane milege –
jo chahege faoran unke samne
ajayega agar kisi chidiya ka gosht
khane ko ji chahega to usshi waqt
unke samne ajayega-agar kisi chhiz ke pine ko ji chahega to ussi chiz se
bhara hua gilash faoran hath mai
Aa jayega.
[2] Kam darza jannati ke liye 80-
hazar khadim aur bahatar (72) biwiyan
hogi aur unko aise taaj milenge ki usmai ka 1-kam darze ka moti puri
duniya ko chamka de.
[3] Jannati apas mai mulakat karna
chahenge to ek takht dushre ke pass
khud ba khud chala jayega.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm