Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jo shaksh mujhse is baat ki zamanat de de ki wo logo se nahi maangega to main usko jannat ki zamanat deta hu

vQabisah bin Mukhiriq al-Hilali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya teen tarah ke logo ke alawa kisi ke liye sawal karna (maangna) jayaz nahi
1. Ek wo shaks jis par zamanat ka bojh ho aur jab tak wo zamanat se nijat na pa le iske baad usko baaz rahna chahiye,
2. Dusra wo shaks jisko aisee musibat pesh aaye jiski wajah se uska maal tabah ho gaya ho to uske liye bhi sawal karna (maangna) durast hai yaha tak ki wo aisa sarmaya hasil kar le jis se wo guzar basar ke layaq ho jaye.
3. Teesra wo shaksh jisko koi aisee museebat pesh aaye jiski mutalliq uski qaum ke 3 log ye gawahi de ki wo museebat mein mubtala hai iske liye bhi sawal karna ( maangna) durast hai yahan tak ki wo guzar basar ke layaq ho jaye aur uske baad maangne se baaz rahe.
in surto (situations) ke alawa maag kar khana haram hai aur jo shakhs maag kar khaye wo haram khata hai
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1627-Sahih

Thawban Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Jo shaksh mujhse is baat ki zamanat de de ki wo logo se nahi maangega ( sawal nahi karega) to main usko
Jannat ki zamanat deta hu, Thawban Radi Allahu Anhu ne kaha ki main (ab se kuch nahi mangunga)
(Thawban Radi Allahu Anhu se rivayat karne wale ravi farmate hain) uske baad se unhone kisi se kuch nahi maanga
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1630-Sahih

English Translation:

Qabisah bin Mukhiriq al-Hilali Radi Allahu Anhu said The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said Begging is allowable only to one of three classes:
1. a man who has become a guarantor for a payment to whom begging is allowed till he gets it, after which he must stop (begging);
2. a man who has been stricken by a calamity and it destroys his property to whom begging is allowed till he gets what will support life (or he said, what will provide a reasonable subsistence);
3. and a man who has been smitten by poverty, about whom three intelligent members of his people confirm by saying: So and so has been smitten by poverty, to such a person begging is allowed till be gets what will support life (or he said, what will provide a reasonable subsistence), after which he must stop (begging).

Any other reason for begging is forbidden, and one who engages in such consumes it as a thing which is forbidden.
Sunan Abu Dawud, Book 9, Hadith 1636-Sahih

Narrated by Thawban Radi Allahu Anhu The prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said If anyone guarantees me that he will not beg from people, I will guarantee him Paradise. Thawban Radi Allahu Anhu said : I (will not beg).
He never asked anyone for anything.
Sunan Abu Dawud, Book 9, 1639-Sahih

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm