Islamic Blog

Juma ki namaz mai johar wali 12 rakat ke alawa 2 rakat faraz ada karna hai. Yahi 2-rakat jama-at se ada ki  jati hai. Agar kisi ko juma ki namaz na mile to ussse johar ki 12 rakat hi padni hogi. Juma ki 2-rakat nahi pad shakta kyonki yaha 2- rakat jama-at se hi ada ki jati hai.

ISKI NIYAT KYA HAI

NIYAT KI MAINE 2- RAKAT NAMAZ JUMA WASTE ALLAH KE PICHHEY IS IMAM KE MERA MUUH QABA SHARIF KI TARAF ALLAHHOAKBAR – juma ki namaz shirf mard par farz hai, aurto par farz nahi isliye awrate juma ke din bhi johar ki hi namaz padh. Nabalik par juma farz nahi lekin wah namaz mai sharik ho sakte hai, haan imamat nahii kar shakte kyonki imam ke liye balik hona jarori hai. Isliye nabalik hafiz imamat nahi kar shakte. Juma ka khutba bhi nahi padh sakte kyonki khutba bhi juma ke liye jarori hai.

Musafir par juma farz nahi lekin agar mauka mile aur padh le to johar na padhe.

Juma ki namaz chuki jama-at se masjid mai hi pada ki jati hai isliye ayese bimaar adimi par juma farz nahi jo masjid tak na ja shake. Ayese admi ghar par hi johar ki namaz ada kare. Issi tarah wah adimi jo mariz ki dekhbhal kar raha ho. Agar ayesa haal ho ki uske jaane se mariz pareshan ho jayega, uski koi khabar lene wala nahi to ayese adimi par juma farz nahi.

“Jis mariz ya musafir par juma farz nahi wah apni johar ki namaz akele padhega. Juma ki din johar ki namaz jama-at se ada karna jayaz nahi. Is tarah jin logo par juma farz thha aur wo kisi wajah se juma ki jama-at mai sharik na ho sake to ayese log bhi johar ki namaz akele-akele padhge, jama-at se nahi padh shakte.”

Issi tarah jo log apni mazburi se juma ki jama-at mai sharik nahi ho sakte unhe chahiye ki juma ki namaz ho jane ke baad apni johar ki namaz ada kare. Juma ki namaz se pahele-padhna makru hai.

Juma ki namaz ke liye jaldi masjid jana, miswak karna, achchey kapde pahenna, tel-khusbu lagana, gushal karna sunnat hai. Hazamat banana aur nakhun tarshna juma ki namaz ke baad afzal hai.

Jawal ke baad safar karna mana hai. Juma ki namaz padh par hi saraf ko rawana hona chahiye.

BOOK – MOMIN KI NAMAZ – (151 -152)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)