Islamic Blog

ZAROOR GOUR KAREIN, KI AISHA NA HO NAMAAZ HI NA HOTA HO,
HAZRATE SAMURA IBNE JUNDAB RADIYALLAHU T’ALA ANHU ne kaha
HUZOOR E AKRAM
SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM
farmate hain ki jis shakhs ne bagair sabab (jaanboojh) ke juma’a ki
namaaz chhod di to use chahiye ki ek deenaar (ashrafi) kharaat kare
agar itna na ho sake to aadha deenaar.
[ahmad-aboo daaud]
HAZRATE IBNE UMAR RADIYALLAHU T’ALA ANHUMA ne kaha ki,
HUZOOR E AQDAS
SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM
ne farmaya ki jisi shakhs ko juma’a ke din ungh (nind) aaye to us ko
chahiye ki woh apni jagah badal de.
[aboo daaud]
[namaaz chhodna gunahe kabeera hai jaanboojh kar namaaz chhodne wala
jahannam ka mustahaq hai (ALLAH ki panaah)
mas’ala :- khutba padne wale ke saamne jo azaan hoti hai, muqtadiyon
ko uska jawab hargiz na dena chahiye yehi ahwat (zyada ihtiyaad ) hai
[fatawa e razwiya]
khutba me
HUZOOR E AQDAS
SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM
ka naame paak sun kar anghootha na chume,
yeh hukm sirf Khutba ke liye hai warna aam haalaat me naame paak sun
kar anghootha choomna mustahab hai aur durood dil me pade, zubaan na
hilaye isliye zubaan se chup rahna farz hai.
[fatawa e razwiya, durre mukhtar, mae raddul muhtaar, jild 1, safa 575]

• ∗Jumma Ki Namaz…..
∗ Jumma Ke Namaz Ki Shuruwat !!
» Jumma Ki Namaz Sabse Pehle 12 Rabi-Ul-Awwal 1 Hijri Ko Nabi-e-Paak
(Sallallahu Alaihi Wassalam) Ki Imaamat Me Parhi Gayi, Jisme Sahabao
Ki Tadaat 100 Thi.
-: (Mohsine Insaniyat 703)
∗ Jumme Ki Mubrakbaad Dene Ka Bhi Ajr Hai !!
» Hadees : Aye Musalmano Ke Giroh! Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko
Allah Ne Eid Banaya Hai.
-: (Mishkat Hadees No. 123)
∗ Jumme Ke Din Kasrat Se Duruud Parhe !!
» Hadees : Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
Jo Mujhpar Jumma Ke Din Durood Parhe, Mai Uski Shafa’at Karunga.
-: (Kanzul Ummat Jild, 1 Safa 225 Hadees : 2236)
» Hadees : Jisne Jumma Ke Din Mujhpar 200 Bar Durood Parha, Uske 200
Saal Ke Guhaan Maaf Ho Gaye.
-: (Kanzul Ummal Hadith No. 2238)
» Hadees : Jo Jumme Ke Din Ya Raat 100 Bar Durood Parhe, Uski 100
Hajate Puri Hongi. 70 Aakhirat Me Aur 30 Duniyavi.
-: (Musnad Abu)
∗ Jumme Ki Namaz Na Chhore !!
» Hadees : Jisne Jumme Ki Namaz (2 Rakat Jumma) Se Pehle, 4 Sunnat
Namaz Aur Jumma Ke Baad 4 Sunnat, 2 Sunnat, 2 Nafil Parhi, Allah Uss
Par Jahannam Ki Aag Haram Kar Dega.
-: (Tizimi V1 Hadees:410)
» Hadees : Jumme Ki Namaz Ke Liye Azan Di Jaye, Toh Tum Allah Ki Yaad
Ke Liye Chal Pado, Ke Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
-: (Bukhari Sharif)
» Hadees : Juma Ki Namaz Jumma Se Juma Tak Ke Liye Kaffara Hai. Shart
Hai Ki Gunah-e-Kabeera Se Bacha Jaye.
-: (Muslim Sharif)
» Hadees : Jo Shaks Jumma Ki Namaz Jama’at Ke Sath Parhta Hai, Allah
Uske Liye 1 Maqbool Hajj Ka Sawaab Likhta Hai.
-: (Ghuniya-Tul-Taliban)
» Hadees : Jo Shakhs Bagair Kisi Uzr Ke“3″Juma Ki Namaze Chhor Deta
Hai, Allah Ta’ala UsKe Dil Par Mohar Laga Deta Hai
-: (Ibn-e-Maja, jild-1, Page no.75)
» Hadees : Jo Shakhs Khutba Shuru Hone Ke Bad Harkat Karta Hai, Ya
Pehlu Badalta Hai Woh Lagw(Bekar) Amal Hai. Khutba Shuru Hone Ke Baad
Batein Karne Wala Ghada (Donkey) Hai.
-: (Ahmad,Tibrani)
» Hadees : Jumma Ke Din-Raat Me 24 Pal Hai, Har Pal Me Allah Ta’ala
600 Jahannamiyon Ko Jahannam Se Azaad Kar Deta Hai.
-: (Abu Ya’ala)
∗ Jumme Ke Din Khas Tor Se Gusl Kare, Ye Jumma Ki Sunnato Me Se 1 Hai !!
» Hadees : Nabi-e-Akram ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
‘Har Baaligh Par Jumma Ke Din Ghusl Karna Waajib Hai’.
-: (Bukhari J:1 S:121)
» Hadees : Jumma Ka Gusl Aadmi Ke Gunaho Ko, Uski Baal Ke Jad Se
Kheech Leta Hai.
-: (Tibrani)
» Hadees : Jo Shaks Jumma Ke Din Gusl Karke Awwal Waqt Me Masjid Jaye,
Goya Usne Oont(Camel) Ki Qurbani Ki.
-: (Muslim Sharif)
∗ Duao Ki Qubuliyat Ka Din Bhi Hai Jumma !!
» Hadees : Juma Ke Din Ek Pal Hai Jo Bhi Dua Iss Pal Me Ki Jaye Woh
Qubool Hoti Hai. Jo Shakhs Jumma Ke Din Sura-e-Kahaf Padhega Toh Uske
Liye Dono Jumma Ke Darmiyan Ek Noor Chamakta Rahega.
-: (Nisaai Sharif)
» Hadees : Jumma Ke Din 1 Neki Ka Sawaab, 70 Guna (7o Times) Aur
Gunaah Karne Ka Azaab 70 Guna Se Bhi Zyada Hai.
-: (Mirat Jil 2 Page323)
∗ Jumma Ki Sunnate
» Gusl Karna, Saaf Kapde Pehanna, Khushbu Tel Surma Lagana, Nakhun
Katna, Masjid Jald Jana Aur Paidal Jana, Sureh Kahaf Parhna, Musafa
Karna Aur Jumma Ki Mubarakbad Dena.
» Sabak : Toh Mere Bhaiyo Aur Behno. !! Ye Toh Sirf Kuchh Hi Fazilate
Likhi Hai, Jumme Ki Toh Itni Fazilat Hai Ke Aap Soch Bhi Nahi Sakte.
Ye Gareebo Ka Hajj Hai, Gunaho Ka Kaffra Hai, Dua Ke Qubuliyat Ka Din
Hai.
Isliye Jumme Ki Taiyari Eid Ki Tarha Kare, Khub Durood Parhe Aur
Sunnato Par Amal Kare. Aur Ise Jitna Ho Sake Failaye.
!! Allah Uss Bande Ko Beshumar Neamato Se Nawaje Jisne Yeh Nayab
Mubarak Baatein Ham Tak Pohchayi.
Likhne Me Koi Galti Hui Ho Toh Hame Zarur Ittela Kare…!!!! Dua Ki Darkhwast !!!!

• ∗Jumma Ke Din Jab Imaam Khutba De Raha Ho…..
» Hadees : Khutba-e-Jumma Ka Adab «
Hazrate Maaz Bin Anas (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi WaSallam) Ne Fermaya,
“Jumma Ke Din Jab Imaam Khutba De Raha Ho Toh, Ghutno Ko Pait Ke Saath
MilaKer Baithney Se Manaa Fermaya”.
-: (Abu Dawood, Kitabul Salaat, H #1110/ Termizi, Kitabul Salaat, H #514)

• ∗Roz-e-Jumma Maa Baap Ki Qabr Ki Haazri Ka Sawaab…..
» Hadees : Nabi-e-Paak ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Faramaya Ke,
“Jo Apne Maa-Baap Dono Ya Ek Ki Qabr Per Har Jumma Ke Din Ziyarat Ko
Hazir Ho, Allah Uske Gunaah Bakhsh Dega Aur Maa Baap Ke Sath Acha
Bartao Karne Wala Likha Jayega”.
-: (Nawadir-Ul-Usool Lil Tirmizi, Page 24)
» हदीस : नबी-ए-पाक (सलल्लाहो अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया,
“जो (आदमी) अपने माँ-बाप दोनो या एक की कब्र पर हर जुम्मा के दीन जियारत
को हाज़िर हो, अल्लाह उसके गुनाह बख्श देगा और माँ-बाप के साथ अच्छा
बर्ताव करने वाला लिखा जायेगा”.
– (नवादिर-उल-उसूल लील तिरिमिज़ी, पेज २४)

• ∗Jisne Jumma Ke Din Gusal Kiya Aur…
» Hadees : Hazrath Salman Farsi (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat
Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke,
“Jisne Jumma Ke Din Gusal Kiya Aur Khub Paaki Hasil Ki Aur Tel (Oil)
Ya Khushbu Istemal Ki Phir Jumma Ke Liye Chala Aur Do Aadmiyon Ke
Beech Me Na Ghusa Aur Jitni Uski Kismat Me Thi Namaz Parhi Phir Jab
Imaam Bahar Aaya Aur Khutba Shuru Kiya Toh Khamosh Ho Gaya, Uske Iss
Jumma Se Guzre (Past) Jumma Tak Ke Tamam Gunaah Baksh Diye Jayengey”.
-: (Sahih Bukhari, Vol 2, 910 )

• Jummah Ka Mubarak Din Hai….. AAQA (AlaihSalaam) Par Kasrat K Saath
Durood o Salaam BheJo……

“Sab Say Oola Wa Aala Hamara NABI,,,
Donu(2) Aalam Ka Dulha Hamara NABI”

(Sallallahu Alaihi Wasallam)
• Faizan e Juma’a::
Nabio ke Sultan Rahmatalilli Aalamin Sallahu alaihi wallam ka farman e
Barkat nishan hai ki: Jisne Mujh par roze JUMA 200 baar Darood e paak
parha, uske 200 saal ke gunah

Mu’aaf honge.
[Jam’ul Jawami’a lissuyuti, Jild 7, Page No. 199, Hadith No. 22353]

• jumma mubark k din MAGHRIB or ISHA k darmiyan 3 baar SURAH FATEHA
parhne se, ALLAH pure saal k rizk ka intezam kar deta hai.
jumma Mubarak
• Irshad-E-Nabvi Hai :
Jis Shakhs Ki Un-Ginnat Namazen Kaza Ho Chuki Hen
To Wow Ramzan Ky Akhri Juma K Din 4 Rakat Nafal 1 Salam K Sath Parhhle,
Har Rakat Mai Surah Fatiha K Baad Ayatul-Kursi 7 Baar,
Surah Kausar 15 Baar Parhay.
RESULT:
70 Saal Ki Kaza Namazen Bi ALLAH K Hazor Bakhsh Din Jati Hen.

• Jumma ki Fazeelat ….
» Nabi-E-Akram Madni Aaqa Ne Farmaya, Har
Baaligh Par Juma Ke Din Ghusl Karna Waajib
Hai.
-: (Bukhari J:1 S:121)
» Juma Ki Namaz Juma Se Juma Tak Ke Liye
Kaffara Hai.Shart Hai Ki Gunahe Kabeera Se
Bacha Jaye.
-: (Muslim Sharif)
» Jo Shakhs Khutba Shuru Hone Ke Bad
Harkat Karta Hai, Ya Pehlu Badalta Hai Woh
Lagw(Bekar) Amal Hai. Khutba Shuru Hone
Ke Bad Baten Karne Wala Ghada (Donkey)
Hai.
-: (Ahmad,Tibrani)
» Juma Ke Din Ek Pal Hai Jo Bhi Dua Is Pal
Main Ki Jaye Woh Qubool Hoti Hai. Jo Shakhs
Juma Ke Din Sura-E-Kahaf Padhega Toh Uske
Liye Dono Juma Ke Darmiyan Ek Noor
Chamakta Rahega.
-: (Nisaai Sharif)
» Juma Ke Din Sura-E-Kahaf Padhne Wale Ke
Pair Se Aasmaan Tak Noor Chamakta Rahega,
aur Dono Juma Ke Bich Jo Gunaah Honge
Woh Muaaf Honge.
-: (Nisaai,Ibne Majah)
» Juma Ke Dinraat Main 24 Pal Hai,Har Pal
Main Allah Ta’ala 600 Jahannamiyon Ko
Jahannam Se Azaad Kar Deta Hai.
-: (Abu Ya’ala)

Aap Subko Jumma Mubarak Ho duwa ka talib har momin hai Duwa me Subko
Yaad rakhiye
• Juma Ki Namaz Na Chhodo
=============
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne irshad farmaya jo shaks 3 Juma’a
ki namaz Susti se Chhode – ALLAH uske dil par Mohar kar dega.

[Sunan Tirmizi: Jild 2, Page No. 38, Hadith No. 500]
• Jab Juma Ki Azan Ho Jaae To
Saare Kaam Chhod Kar Masjid Ko Jao
===========================
Quran Mein Allah farmata hai ke –
“Ae Imaan Walo! Jab Juma Ke Din Ki Namaz Ke Liye Pukara Jaae To Allah
Ki Yaad Ki Taraf Chal Padho Aur Kharidna-bechna band kar Do, Ye
Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jaano. Phir Jab Namaz Puri Ho Jaae To
Zameen Me Fail Jao Aur Allah Ka Fazal (Rozi) Talash Karo, Aur Allah Ko
bahut zyada Yaad Karo, Taaki Tum Kamyabi Pao”.

-:(Surah AlJumu’ah, Aayat: 9-10)

Bhaiyo, aksar dekha gaya hai ke azan hone ke baad bhi log bazar mein
ghoomte rahte hain, apne kaam karte rahte hain.Upar quran ki ayat se
humko pata chala ke azan hote hi masjid ki taraf jana hai, aur yehi
hamre liye behtar hai.

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare. Aameen.
• Har Juma Kam se Kam 100 baar darud sharif padha karo
===============================
Hazrat Ali (radi Allah anhu) Se Riwayat He Ke “Jo Shaksh Hazrat
Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Par Juma Ke Din 100 Martaba Darud
Shareef Padhega Wo Qayamat Ke Din Is Halat Mein Aaega Ke Us Ke Chehre
Par Aesa Noor Chamkta Hoga Ke Tamam Log Kahenge Isne Aesa Kya Amal
Kiya Jis Se Ye Maqam Mila He.

Bhaiyo-bahno, wese to humko roz hi darud sharif padhna chahiye lekin
kam se kam juma ke din to darud sharif padhne ka pakka irada kariye.
Ab har juma ko darud sharif padhenge na bhai, kahiye inshaAllah.
• Juma Ke Din Ka Quran mein Zikr
===================
Allah quran mein farmata hai ke –

“Ae, Wo Logo’n Jo Imaan Laae Ho ! Juma’ah Ke Din Namaz Ki Azan Di Jaae
To, Tum ALLAH Ki Yaad Ki Taraf Jald Aa Jaya Karo Aur Khareed-Farokht)
Chhod Do, Ye Tumhare Haq Mein Bahut Achaa Hain Agar Tum Jaante Ho
(62:9)

Phir Jab Namaz Ho Jaae To Zameen Par phel Jao Aur Allah Ke Fazal
(rozi) Ko Khojo, Aur ALLAH Ka Bahut Zyada Zikr Karo taake
Tum Kaamyabi Hasil Kar sako.
(Quran, Sura : 62, Juma’ah, Ayat 10 )

• Juma Ke Din Kya Karna Chahiye.
==============================
Juma ke din, Eid ke din se bhi bada hota hai. Lekin hum log iski wesi
kadar nahi karte jesi karna chahiye.

1) Gusl Karna
(aaj ke din simple tarike se nahi nahana chahiye, balki Gusl karna
chahiye, chahe gusl karne ki zaroorat ho ya na ho.

2)Ache Aur Saaf Kapde Pahnna

3) Masjid Jaldi Jaana
(Masjid jitni jaldi jayege sawab utna zyada milega)

4) Masjid Paidal Jana
(Agar masjid pass ho to paidal jaana chahiye, Masjid paidal jaane se
bhi sawab zyada milta hai, har kadam par neki milti hai aur ye sunnat
to hai hi, sunnat ka sawab alag)

5) Ghar / Shop se hi wuzu karke jaana
(iska sawab bhi bahut zyada hai)

6) Pahli saff mein bethne ki koshish karna
(agar pahli saff mein bethne ki jagah ho to wahi bethna chahiye,
kyonki pehli saff mein bethne ka sawab zyada hai, ek hadees ka mafhoom
hai ki pehli saff mein namaz padhne aur azan dene ka sawab logo ko
pata chal jaaye to log aapas mein waha bethne aur azaan dene ke liye
jhagda karne lage) Lekin logo ke upar se hote hue pahli saff mein
bethne ki koshish na kare, agar khuli jagah ho to chale jayen.

Masjid mein beth kar Apne Kapdo Se Ya Badan Se Na Khelna

9) Khudba Ko Gaur Se Sunna
(jab khutba shuru ho jaaye to bilkul dhyan se khutba sunna chahiye,
chahe samajh aaye ya naa aaye, aur khutba ke time namaz nahi padhna
chahiye aur na baat karna chahiye.

10) Iske alawa Juma K Din Jo “Surah Kahaf” Padhega Usk Liye Usk Kadam
Se Le Kar Aasman K Bulandi Tak ek Noor Zahir Hoga Jo Kayamat Ke
Andhero Me Uske Kaam Aaye Ga Aur Us Juma Se Agle Juma Tak Ki Tamam
chhote gunaho Maaf Ho Jayege.. .Aur Jo Uski 10 Aakhri Aayate Padhe Ga
Wo Dajjal Ke Fitno Se Mahfuz Rahe Ga

11) Nabi E Kareem Sallallahu Alahi Wasallam Ka Irshad Hai Ki Juma Ke
Din Mujpar Kasrat Se (bahut zyada) Darud Bheja Karo, Darud Mere Huzur
Pesh Kiya Jata Hai. Ulmaa Farmate Hai Ki Kasrat Ki Kam Se Kam Mikdar
300 Hai.

12) Juma K Din Itar [Khushbu] Lagana chahiye.

ALLAH ham sab ko Amal ki Taufiq de Aameen
Summa Aameen

• Kam Se Kam Juma Ki Namaz To Mat Chhodo
=================================
Hazrat Ibn-E-Umar(Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Aur Hazrat Abu
Huraira(Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Bayan Karte Hain, Hum Ne Rasulallah
(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Mimbar Ki sidiyo Par Farmate Huwe
Suna, “Log Juma Chhodne Se Baaz Aa jayein, Warna Allah Inke Dilo Par
Muhar Laga Dega Aur Phir Woh Ghafileen (bhate hue logo) Mein Se Ho
Jayenge.”

Muslim:Hadees # 2002,
Nisai:Hadees # 1370,
Ibn-E-Majah:Hadees#794)

• Juma Ke Din Ahmiyat
==========================
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke -Suraj
Nikalne Wale Dino Me Sab Se Bada (important) Din Jumah Ka Din He. Isi
Din Hazrat Aadam (Alayhissalam) Paida Huwe, Isi Din Jannat Me Dakhil
Huwe, Isi Din Jannat Se Nikale Gaye aur Isi Din Qayamat Qaim Hogi

Ref.: Muslim Shareef
• JUME Ke Din ke Kaam
========================
1.> Gusal Karna (pahle se hi paak ho to bhi)
2.> Saaf Kapde Pahen’na Aur Khushboo Lagaana.
3.> Jume Ke Liye Jaldi Jaana.
4.> Masjid Ki Taraf Paidal Jaana.
5.> Imaam Ke Kareeb Yaani Pehli Saff Me Baithna
(agar jagah aasani se miil jaaye to, agar saff puri ho chuki ho to
piche beth jaiye)
6.> Khutba Khaamoshi Ke Saath Gaur Se Sunna.
7.> Khutba Ke Dauraan Koi Fizool Kaam Ya Behuda Baat Na Karna.
[Tirmizi Sharif, Abu Dawood]

• JUMA KI RAAT KI KEEMAT
——————————————————
Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke –
Jis Ne Jumah Ki Raat SURA e DUKHAAN Ki Tilawat Ki
Us Ki Magfirat Kardi Jayegi (usko Allah maaf kar dega)

Ref. – At Targeeb

Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke –
Jis Ne Jumah Ki Raat SURA e YASEEN Ki Tilawat Ki Us Ki Magfirat Kadi
Jayegi (usko Allah maaf kar dega)

Ref. – At Targeeb

Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne Farmaya Ke –
Jis Ne Jumah Ki Raat Sura e Yaseen or Sura e Saffaat Ki Tilawat Ki Us
Ki Hajaat (Dil ki aarzu) Puri Hogi

Ref. – Ittihaaf

Allah Hame Parhne Ki Taufeeq Ata Farmaye
AAMIN SUMMA AAMIN
• Jumah Ka Khutba Sunne Ke Aadaab:
—————————————————–
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya-
Juma Ke Din Jab Imaam Khutba De Raha Ho aur Kisi Ne Apne Sathi ke baat
karne par Kaha Ke KHAMOSH HO JAO To Us Ne Fazool Kaam Kiya
(Matlab khutba bahut dhyan se sunna chahiye, us time koi dusra kaam
nahi karna chahiye na dusri taraf dhyan dena chahiye)

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya-
Jis Ne Khutba Ke Waqt Kankariyo Ko Hath Lagaya Us Ne Fazool Kaam Kiya
(matlab khutba ke time kisi cheez se bethe-bethe khailna bhi mana hai)

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya-
Jis Ko Juma Ke time neend Aaye To Wo Apni Jagah Badal Le

Ref
Muslim Shareef
Tirmizi Shareef

Allah Hame Khutba Dhiyaan Se sunne or Us Par Amal Karne Ki Taufeeq Ata
Farmaye, bahut se bhai jinko maloom nahi hai wo khutba ke time bhi
namaz ke liye khade ho jaate hain, is baat ka dhyan rahe ki jab khutba
ho raha ho us time dusra kaam na kare, sirf khutba sune.

AAMIN SUMMA AAMIN
• Juma Ke Din Jaldi Masjid Jane Ke faide
————————————————-
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
Jumah Ke Din Masjid Ke Darwazo Me Se Har Ek Darwaze Par Ek Farishta
Khada Hota He, Jo Sab Se Pehle Aane Walo Ka Naam Likhta He aur Sab Se
Pehle Aane Wale Ko Uoont (camel) Ki Qurbaani Ka Sawaab Milta He, Phir
Darja Ba Darja Chalta Rehta He
Phir Jab Imaam Khutbe Ke Liye Khada Hota He To Farishte Book Ko Band
Kar Ke Khutba Sunne late hain, Yaani Der Se Aane Wale Ko kuch khas
Sawaab Nahi Milta He

Ref – Muslim Shareef

So Dosto Jumah Ke Din Jaldi Masjid Janya Karo
Allah Amal Ki Taufeeq De
AAMIN SUMMA AAMIN

• Jumma Ke Namaz se pehle 3 br SURAH
QADR Parhe

>Use Dunya mai tamam
Jumma padne walon ki tadad k barabar
NEKIYAN mile gi

(Fizane Sunat#1166) –

SURE QADR-
Innaa Anzalnaahu Fiy Laylatil Qadr
(1) Wa Maa Adraaka Maa Laylatul Qadr
(2)
Laylatul Qadri Khayrum Min Alfi Shahr
(3)
Tanazzalul Malaaikatu War Ruuhu fiyhaa
Bi Idhni Rabbihim Min Kulli Amr
(4)
Salaamun Hiya Hattaa Matla’IlFajr
(5)
Hazir Raho (JUMA Ke) khutbe Ke Waqt Aur Imaam Se Karib Raho Isliye Ki Admi
Jis Qadar Door Rahega
Usi Qadar Jannat
Me Pichhe Rahega (Abu Dawood)

Bahot
se log duniya me umda khana
khanewale aasudha zindagi guzarnewale
he
Magar QAYAMAT ke din wo bhuke nange
hoge

(Shoaibul iman)

Rasoolallah Sallalahu
Alaihi wassallam ne
Farmaya
Jo Shakhs mujh par ek bar Durood bhejega

To Allah uspar 10 Rehmaten nazil karega

(Sahi Muslim)
• Zamzam Jaise Koi Pani Nahi,
Namaz Jaise Koi Ibadat Nahi,
Hajj Jaise Koi Ziyarat Nahi,
Islam Jaise Koi Mazhab Nahi,
Quran Jaise Koi Kitaab Nahi,
Madina Jaise Koi Sheher Nahi,
Kalma Jaise Koi Dault Nahi,
Durud Pak Jaise Koi Khazana Nahi,
Aur Ap Ko Jumma Jaise Koi Din Nahi.

♥Jumma Mubarak♥

and Eid Mubarak
• HAZRAT IMAM GAZAALI REHMATULLAH TA’ALA ALAI Farmate hai ke,
JUMA ke din ( ALLAHU ) 100 martaba padhne se TANGI DOOR HOTI HAI.
SUBHANALLAH.

Jumma ki namaz ke baad 100 baar SUBHANALLAHIL AZEEMI WABIHAMDIHI padhe
fazilat:1,24000­ gunah maaf hote hai ;1lakh apne aur 24,000 walidain
ke

JUMA k din MAGHRIB or ISHA k darmiyan

3 baar SURAH FATEHA parhne se

ALLAH pure saal k rizk ka intezam kar deta hai.

Dua for all….JUMMAH MUBARAK…
• PLZ MUST READ
∗ Jumma Ki Namaz …..
∗ Jumma Ke Namaz Ki Shuruwat !!
» Jumma Ki Namaz Sabse Pehle 12
Rabi-Ul-Awwal 1 Hijri Ko Nabi-E-Paak
(Sallallahu Alaihi Wassalam) Ki
Imamat Me Parhi Gayi, Jisme Sahabao
Ki Tadaat 100 Thi.
(Mohsine Insaniyat 703)
∗ Jumme Ki Murba rakbaad Dene Ka
Bhi Ajr Hai !!
» Hadees: Aye Musalmano Ke Giroh!
Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko
Allah Ne Eid Banaya Hai.
(Mishkat Hadees No. 123)
» Hadees: Jisne Jumma Ki Mubarak-
baad Di, Uss Par Jannat Wajib Hai.
» Hadees: Jab Koi Banda Kisi Momin
Bhai Ko Jumma Ki Mubarak-Baad Deta
Hai, Toh Jannat Me Uske Liye1
Darakht Laga Diya Jata Hai.
∗ Jumme Ke Din Kasrat Se Duruud
Parhe!!
» Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
Jo Mujhpar Jumma Ke Din Durood
Parhe, Mai Uski Shafa’at Karunga.
(Kanzul Ummat Jild, 1 Safa 225
Hadees :2236)
» Hadees: Jisne Jumma Ke Din
Mujhpar 200 Bar Durood Parha, Uske
200 Saal Ke Guhaan Maaf Ho Gaye.
(Kanzul Ummal Hadith No. 2238)
» Hadees: Jo Jumme Ke Din Ya Raat
100 Bar Durood Parhe, Uski 100
Hajate Puri Hongi. 70 Aakhirat Me
Aur 30 Dunyavi.
(Musnad Abu)
∗ Jumme Ki Namaz Na Chhore!!
» Hadees: Jisne Jumme Ki Namaz (2
Rakat Jumma) Se Pehle, 4 Sunnat
Namaz Aur Jumma Ke Baad 4 Sunnat,
2 Sunnat, 2 Nafil Parhi, Allah Uss Par
Jahannam Ki Aag Haram Kar Dega.
(Tizimi V1 Hadees:410)
» Hadees: Jumme Ki Namaz Ke Liye
Azan Di Jaye, Toh Tum Allah Ki Yaad
Ke Liye Chal Pado, Ke Tumhare Liye
Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
(Bukhari Sharif)
» Hadees: Juma Ki Namaz Jumma Se
Juma Tak Ke Liye Kaffara Hai. Shart
Hai Ki Gunah-e-Kabeera Se Bacha
Jaye.
(Muslim Sharif)
» Hadees: Jo Shaks Jumma KiNamaz
Jama’at Ke Sath Parhta Hai, Allah
Uske Liye 1 Maqbool Haj Ka Sawab
Likhta Hai.
(Ghuniya-Tul-Ta liban)
» Hadees: Jo Shakhs Bagair Kisi Uzr
Ke “3″ Juma Ki Namaze Chhor Deta
Hai, Allah Ta’ala UsKe Dil ParMohar
Laga Deta Hai
(Ibn-e-Maja, jild-1, Page no.75)
» Hadees: Jo Shakhs Khutba Shuru
Hone Ke Bad Harkat Karta Hai, Ya
Pehlu Badalta Hai Woh Lagw(Bekar)
Amal Hai. Khutba Shuru Hone Ke
Baad Batein Karne Wala Ghada
(Donkey) Hai.
(Ahmad,Tibrani)
» Hadees: Jumma Ke Din-Raat Me 24
Pal Hai, Har Pal Me Allah Ta’ala 600
Jahannamiyon Ko Jahannam Se Azaad
Kar Deta Hai.
(Abu Ya’ala)
∗ Jumme Ke Din Khas Tor Se Gusl
Kare, Ye Jumma Ki Sunnato Me Se 1
Hai !!
» Hadees: Nabi-e-Akram (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
‘Har Baaligh Par Jumma Ke Din Ghusl
Karna Waajib Hai’.
(Bukhari J:1 S:121)
» Hadees: Jumma Ka Gusl Aadmi Ke
Gunaho Ko, Uski Baal Ke Jad Se
Kheech Leta Hai.
(Tibrani)
» Hadees: Jo Shaks Jumma Ke Din
Gusl Karke Awwal Waqt Me Masjid
Jaye, Goya Usne Oont(Camel)Ki
Qurbani Ki.
(Muslim Sharif)
∗ Duao Ki Qubuliyat Ka Din Bhi Hai
Jumma !!
» Hadees: Juma Ke Din Ek PalHai Jo
Bhi Dua Iss Pal Me Ki Jaye Woh
Qubool Hoti Hai.
Jo Shakhs Jumma Ke Din Sura-E-Kahaf
Padhega Toh Uske Liye DonoJumma
Ke Darmiyan Ek Noor Chamakta
Rahega.
(Nisaai Sharif)
» Hadees: Jumma Ke Din 1 Neki Ka
Sawab, 70 Guna (7o Times) Aur
Gunaah Karne Ka Azab 70 Guna Se
Bhi Zyada Hai.
(Mirat Jil 2 Page323)
∗ Jumma Ki Sunnate
» Gusl Karna, Saaf Kapde Pehanna,
Khushbu Tel Surma Lagana, Nakhun
Katna, Masjid Jald Jana Aur Paidal
Jana, Sureh Kahaf Parhna, Musafa
Karna Aur Jumma Ki Mubarakbad Dena.
Sabak :Toh Mere Bhaiyo Aur Behno. !!
YeToh Sirf Kuchh Hi Fazilate Likhi Hai,
Jumme Ki Toh Itni Fazilat Hai Ke Aap
Soch Bhi Nahi Sakte. Ye Gareebo Ka
Haj Hai, Gunaho Ka Kaffra Hai, Dua Ke
Qubuliyat Ka Din Hai.
Isliye Jumme Ki Taiyari Eid Ki Tarha
Kare, Khub Durood Parhe Aur Sunnato
Par Amal Kare. Aur Ise Jitna Ho Sake
Failaye.
!! Allah Uss Bande Ko Beshumar
Neamato Se Nawaje Jisne Yeh Nayab
Mubarak Baatein Ham Tak Pahuchayi. Or Jisne ye padha use v In Nematon
Se Nawaz De.AMEEN

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)