Islamic Knowledge

*JUMAH K MUKHTALIF MASAAIL (3)*

*JUMAH K MUKHTALIF MASAAIL (3)*
★ Kisi ne khutbe se pehle ki 4 rakat sunnat shuru ki aur khatiib ne khutba shuru kar diya to 2 rakat par hi salaam pher de.. Aur Khutba.. Farz Namaaz.. Aur baad ki sunnaton k baad ye 4 sunnat padhe.
★ *Jumeh ki namaaz mein agar sajda-e-sahw waajib huwa Aur Agar imaam ye sajda karta hai to muqtadiyon mein gadbadi aur fitna phelne ka dar hai to ulma ne in sajdon ko chhodne ( na karne ki ) ki ijaazat di hai.. Bl k jumah mein sajda e sahw chhodna behtar hai.*
★ Jumah ki pehli 4 sunnat chhoot gayi to jamaat k baad wali sunnat k baad..Ye 4 sunnat padhe.. Ye adaa hogi qazaa nahi.
★ *Jin masjidon mein jumah nahi hota un masjidon ko zohar k waqt band rakkha jaaye.*
★ Gaanw mein jumah k din masjid mein zohar ki namaaz azaan o iqaamat k sath baa-jamaat padhe.
*AALAMGIIRI**BEHRUR RAAIQ*
*DURRE MUKHTAAR**RADDUL MOHTAAR*
*BAHARE SHARIYAT**Jild..3..4..safa…99..102* *FATAWA RAZWIYA**Jild..3…safa..689**619..461..611*
★ Murtad.. Munaafiq.. Gumraah Aur bad-aqidah firqe k log jo Aaqa.. sallallahu alayhi wasallam.. ki shaan mein gustakhiyan aur be-adabiyan karte hai aur bhole bhaale musalmanon ko apne fareb mein phansa kar un ka imaan tabah karte hai.. Ayse logon ko masjid mein aane se rokna chahiye.
MAFHUME AHAADIIS..
★ *Un se alag raho.. unhein apne se duur rakkho.. Kahin wo tum ko behka na dein.. kahin wo tumhein fitne mein na daal dein.*
*MUSLIM SHARIF*
★ Har moozi ko masjid se nikaalna.. Apni taaqat bhar waajib hai.. Chaahe sirf Zabaan se takliif dene wala ho.. khaas kar bad-mazhabiyat phelane wale ko aur gumraahi phelaane wale ko.
★ *Murtad ka saf mein khada hona jaaiz nahi.. Un ki namaaz namaaz hai hi nahi.. To jis ki namaaz namaaz hi nahi to Us ka saf mein khada hona saf ko kaat dega.. Aur ye haraam hai.. Lihaza jo taaqat rakhte hon Un par farz hai k wo un murtadon aur munaafiqon ko masjid mein aane se roke aur musalmano ki namaazon ko kharab hone se bachayein.*
★ Is dor k Munaafiqin Aur Murtadiin mein Wahaabi.. Dewbandi.. Ghair-Muqallid ( salfi )..Najdi.. Mirzaaii.. waghaira baatil firqon ka shumaar hota hai.. inki pehchaan k liye.. Hus-saamul Hara-main.. kitab mein is ki tafsil padhein.
*FATAWA RAZWIYA**Jild..6..safa…103..*
*106..109..433..448*
*MOMIN KI NAMAAZ*

■ Hazrate Ali..kar-ramal-lahu wajha-hul karim..kehte hain..
Sab se bura dagha-baaz.. dhoke-baaz bhai wo hai jo duinya kamane aur maal sametne ki dawat to deta ho.. aur.. Teri aakhirat se tuje ghaafil kar k use barbaad kare.( matlab.. diin k kaam aur neki k kaam mein madad na kare.. saath na de )(73).
*AQWAALE HAZRAT ALI*

Shaheel Khan

As-salam-o-alaikum my self shaheel Khan from india , Kolkata miss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.

Share
Published by
Shaheel Khan

Recent Posts

Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात)

शब्-ए -बरात बेशुमार हैं शब् -ए-बरात यानि 15th शाबान में बख्शीश व मगफिरत वाली रात…

2 years ago

Shab E Barat 2022: इबादत की रात शब-ए-बारात, जानिए कब और कैसे मनाया जाता है|

शब्-ए-बरात की रात मुस्लिम समाज के लोग मस्जिदों और कब्रिस्तानों में अपने और पूर्वजों के…

2 years ago

शब-ए-बारात 2022 (SHAB-E-BARAT FESTIVAL)

शब-ए-बारात - शब-ए-बारात का पर्व मुस्लिमों द्वारा मनाये जाने वाले प्रमुख पर्वों में से एक…

2 years ago

शब् बरात के बारे मे कुछ जरुरी बातें |

शब-ए-बारात दो शब्दों, शब[1] और बारात [2]से मिलकर बना है, जहाँ शब का अर्थ रात होता है वहीं बारात का…

2 years ago