Islamic Blog

∗ Jumma Ke Namaz Ki Shuruwat !!
.
» Jumma Ki Namaz Sabse Pehle 12
Rabi-Ul-Awwal 1 Hijri Ko Nabi-e-
Paak (Sallallahu Alaihi Wassalam) Ki
Imaamat Me Parhi Gayi, Jisme
Sahabao Ki Tadaat 100 Thi.
-: (Mohsine Insaniyat 703)
.
∗ Jumme Ki Mubrakbaad Dene Ka Bhi
Ajr Hai !!
.
» Hadees : Aye Musalmano Ke Giroh!
Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko
Allah Ne Eid Banaya Hai.
-: (Mishkat Hadees No. 123)
.
∗ Jumme Ke Din Kasrat Se Duruud
Parhe !!
.
» Hadees : Nabi-e-Kareem ﷺ
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne
Farmaya,
Jo Mujhpar Jumma Ke Din Durood
Parhe, Mai Uski Shafa’at Karunga.
-: (Kanzul Ummat Jild, 1 Safa 225
Hadees : 2236)
.
» Hadees : Jisne Jumma Ke Din
Mujhpar 200 Bar Durood Parha, Uske
200 Saal Ke Guhaan Maaf Ho Gaye.
-: (Kanzul Ummal Hadith No. 2238)
.
» Hadees : Jo Jumme Ke Din Ya Raat
100 Bar Durood Parhe, Uski 100 Hajate
Puri Hongi. 70 Aakhirat Me Aur 30
Duniyavi.
-: (Musnad Abu)
.
∗ Jumme Ki Namaz Na Chhore !!
.
» Hadees : Jisne Jumme Ki Namaz (2
Rakat Jumma) Se Pehle, 4 Sunnat
Namaz Aur Jumma Ke Baad 4 Sunnat,
2 Sunnat, 2 Nafil Parhi, Allah Uss Par
Jahannam Ki Aag Haram Kar Dega.
-: (Tizimi V1 Hadees:410)
.
» Hadees : Jumme Ki Namaz Ke Liye
Azan Di Jaye, Toh Tum Allah Ki Yaad
Ke Liye Chal Pado, Ke Tumhare Liye
Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.
-: (Bukhari Sharif)
.
» Hadees : Juma Ki Namaz Jumma Se
Juma Tak Ke Liye Kaffara Hai. Shart
Hai Ki Gunah-e-Kabeera Se Bacha
Jaye.
-: (Muslim Sharif)
.
» Hadees : Jo Shaks Jumma Ki Namaz
Jama’at Ke Sath Parhta Hai, Allah
Uske Liye 1 Maqbool Hajj Ka Sawaab
Likhta Hai.
-: (Ghuniya-Tul-Taliban)
.
» Hadees : Jo Shakhs Bagair Kisi Uzr
Ke“3″Juma Ki Namaze Chhor Deta Hai,
Allah Ta’ala UsKe Dil Par Mohar Laga
Deta Hai
-: (Ibn-e-Maja, jild-1, Page no.75)
.
» Hadees : Jo Shakhs Khutba Shuru
Hone Ke Bad Harkat Karta Hai, Ya
Pehlu Badalta Hai Woh Lagw(Bekar)
Amal Hai. Khutba Shuru Hone Ke Baad
Batein Karne Wala Ghada (Donkey)
Hai.
-: (Ahmad,Tibrani)
.
» Hadees : Jumma Ke Din-Raat Me 24
Pal Hai, Har Pal Me Allah Ta’ala 600
Jahannamiyon Ko Jahannam Se Azaad
Kar Deta Hai.
-: (Abu Ya’ala)
.
∗ Jumme Ke Din Khas Tor Se Gusl
Kare, Ye Jumma Ki Sunnato Me Se 1
Hai !!
.
» Hadees : Nabi-e-Akram ﷺ
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne
Farmaya,
‘Har Baaligh Par Jumma Ke Din Ghusl
Karna Waajib Hai’.
-: (Bukhari J:1 S:121)
.
» Hadees : Jumma Ka Gusl Aadmi Ke
Gunaho Ko, Uski Baal Ke Jad Se
Kheech Leta Hai.
-: (Tibrani)
.
» Hadees : Jo Shaks Jumma Ke Din
Gusl Karke Awwal Waqt Me Masjid
Jaye, Goya Usne Oont(Camel) Ki
Qurbani Ki.
-: (Muslim Sharif)
.
∗ Duao Ki Qubuliyat Ka Din Bhi Hai
Jumma !!
.
» Hadees : Juma Ke Din Ek Pal Hai Jo
Bhi Dua Iss Pal Me Ki Jaye Woh
Qubool Hoti Hai. Jo Shakhs Jumma Ke
Din Sura-e-Kahaf Padhega Toh Uske
Liye Dono Jumma Ke Darmiyan Ek
Noor Chamakta Rahega.
-: (Nisaai Sharif)
.
» Hadees : Jumma Ke Din 1 Neki Ka
Sawaab, 70 Guna (7o Times) Aur
Gunaah Karne Ka Azaab 70 Guna Se
Bhi Zyada Hai.
-: (Mirat Jil 2 Page323)
.
∗ Jumma Ki Sunnate
.
» Gusl Karna, Saaf Kapde Pehanna,
Khushbu Tel Surma Lagana, Nakhun
Katna, Masjid Jald Jana Aur Paidal
Jana, Sureh Kahaf Parhna, Musafa
Karna Aur Jumma Ki Mubarakbad
Dena.
.
» Sabak : Toh Mere Bhaiyo Aur
Behno. !! Ye Toh Sirf Kuchh Hi Fazilate
Likhi Hai, Jumme Ki Toh Itni Fazilat
Hai Ke Aap Soch Bhi Nahi Sakte. Ye
Gareebo Ka Hajj Hai, Gunaho Ka Kaffra
Hai, Dua Ke Qubuliyat Ka Din Hai.
.
Isliye Jumme Ki Taiyari Eid Ki Tarha
Kare, Khub Durood Parhe Aur Sunnato
Par Amal Kare. Aur Ise Jitna Ho Sake
Failaye.
.
!! ALLAH Us Bande Ko Beshumar
Neamato Se Nawaje Jisne Yeh Nayab
Mubarak Baatein Ham Tak Pahochayi.
.
Likhne Me Koi Galti Hui Ho Toh Hame
Zarur Ittela Kare…

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm