Islamic Blog

Khoobsurat aur Khoobsirat dono Atyaye Rabbani Hai, Lekin Mere Khayal me Khoobsirat hona Insan ki Asal Khoobsurti hai, aur Agar is k sath Allah Tala ne Khboosurti se bhi Nawaza hai to kya kahne, Magar Sach ye hai k Acchi surat hona apne bus ki Baat nahi, ye Allah Tala ki be Shumar Nematon me se Aik hai, is k bar aks Khoobsirat hona Insan k Apne bus me Hai, aur us me Waldain ki Tarbiyat aur Bachpan me kis mahol me Insan ne Parwarish pai, ka kafi Amal Dakhl hai.

Aik Khaas baat ye hai k Acchi Aadat Aur Acchi sonch ka Aks Insan k Chahre per Padta hai, aur Aisa insan Khud ba khud Khoobsurat Nazar Aane Lagta hai, aur Har aik ko accha lagta hai, Go ya Khoobsirti hi Dar haqiqat Khoobsurti hai.

Aur jub Apne aap ko Aayene me Daikhe to Ye Aayena Daikhne ki Dua Padhe (Allahumma Anta Hassanta Khalqi Fahassin Khulqi) Aye Allah Aap ne Meri Surat ko Accha Banaya Ps Meri Sirat ko Accha Kar dijiye.Allah Tala hum sub ko Khoobsirat banaye, Yahi hamari khoobsirti ko Mazeed Nikhar sakti hai.

*Paon Beshak Phisal Jae Lekin Zaban Ko Na Phisalne Do.
*Aj Amal Hai Hisab Nahi Lekin Kal Hisab Hoga Amal Nahi.
*Jhut Bol k Jeet Jane Se Such Bol K Har Jana Behter Hai.
*Khubsurti Kapdon Se Nahi ilm-o-adab Se Hoti Hai.
*Ibraten Beshumar Hain Magar Inka Asar Lene Wale Bahot kum Hain.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm