Islamic Blog

Hazrat Sayyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Alaihi Apne Ek Khuthbe May Farmaya,
Ek Shaks Ne Deendar Wa Nekokaar Gulam Kharida, Usne Apne Gulam Se Pucha, Tum Kya Chiz Pasand Karte Ho? Gulam Ne Jawab Diya Ki Jo Aap Khilayen, Maalik Ne Dobara Sawal Kiya Ki Tum Kya Pahenna Pasand Karte Ho? Nauker Ne Kaha, Ki Aap Jo Pehnayen, Fir Pucha, Ki Tum Kahan Rehna Pasand Karte Ho? Nauker Ne Kaha Jahan Aap Rekhen, Maalik Ne Fir Pucha Ki Tum Kaunsa Kaam Pasand Karte Ho? Nauker Ne Jawab Diya Ki, Jo Aap Hukm De! Nauker Ki Jubaan Se Sawalon Ke Jawab Sunker Maalik Rone Laga, Aur Kaha Ki Teri Jo Halat Mere Saamne Hain Yahi Halat Meri Apne Rab Ke Sath Hoti To Kitna Accha Hota, Yeh Dekhker Gulam Ne Apne Maalik Se Pucha Ki, Aye Aaka! Kya Apne Aaka Ke Sath Gulam Keliye Koi Irada Aur Akhtiyar Bhi Hota Hain? Aaka Ne Kaha, Ja Tu Khuda Ki Rah May Aazaad Hain, Tu Jahan Chahe Ja Sakta Hain, Magar Meri Khwaish Hain Ki Tu Mere Paas Rahe Taaki Main Khadim Banker Apni Jaan Wa Maal Se Teri Khidmat Ker Saku!

Jo Shaks Haq-Ta’aala Se Waaqif Hogaya Uskeliye Na Koi Irada Hain Na Akhtiyar! Taqdir Ke Malamat May Dakhl Na Do, ALLAH Ke Bandon May Bahoat Kam Log Aise Hain Jo Logon Se Alag-Alag Hoker Tanhayi Akhtiyar Karte Hain! Yeh Bande Makhluk Ke Dilon Se Kareeb Hote Hain, Lihaza Tum Jis Halat May Hote Ho Usko Taad Lete Hain, Yahi Wajah Hain Ki Wo Tumahre Dilon Ki Bimariyon Ko Taadker Usi Ke Mutabiq Vaaz Wa Talblig May Tumahre Dil Ki Bimariyon Ko Jaahir Karte Hain, Lekin Tum Logon Per Afsos Hain, Samajhdar Bano, Apni Jihaalat Aur Naadani Ko Leker Ulma Wa Vaayizon Ke Paas Mat Jao!

(Sirat-A-Gaus-A-Alal-Aazam, Pg-104,105)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm