Islamic Blog

Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh-ul-Mashaa’ikh.

**************
Aap ki wilaadat 21 Hijri (642 A.D.) me Madeena munawwara me hui.

Aap ke waalid ka naam Yaasar aur waalida ka naam Khaira hai.
Ye dono Faarsi (Irani) the.

Aap ke waalid ko Maysan (Iraq) me qaid karke Madeena laaya gaya. Kuchh waqt baad un ke maalik Zaid ibn Saabit Ansaari ne un ko aazad kiya aur 12 Hijri me Hazrat Abu Baqr Siddeeq radi-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me unho ne Islaam apnaya. Madeena me Ummul mo’mineen Hazrate Umme Salma radi-Allahu ta’ala anha ki kaneez Khaira se un ka nikaah hua.

Aap ki wilaadat ke baad jab aap ko Ameer ul mo’mineen Hazrat Umar Farooq radi-Allāhu ta’ala anhu ke paas laaya gaya to unho ne aap ka haseen chehra dekhkar aap ka naam ‘Hasan’ rakha aur dua ki ‘Aye ALLĀH, Ise Aalime deen bana aur logo ka mehboob bana.’

**************
Ummul mo’mineen Hazrate Umme Salma radi-Allāhu ta’ala anha ke paas aap ki taaleem shuru hui.

14 saal ki umr me aap Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ke mureed hue.

36 Hijri (657 A.D.) me Jang e Siffin hui. Us ke baad aap Madeena se Basra chale gaye.
Aap ne Hazrat Hattaan bin Abdullāh ar-Riqashi se Qur’an ki taalim haasil ki aur Hazrat Abdullāh bin Abbaas radiy-Allāhu ta’ala anhu se Tafseer aur Tajweed ka ilm sikha aur Ibn Surayyi at-Tameemi ki mehfilo me haazir rehkar taqreer suni.
Aap hadees aur fiqh ke bhi maahir hue.

Shuru me aap ne Faars (Iran) ke khilaaf jang me shirkat ki.
Magar baad me aap sirf ibaadat e ilāhi me aur taaleem e deen kartmene lag gaye.

Aap ne bahot saare ashaaba ki sohbat se faiz haasil kiya, jin me Jang e Badr me saamil hone wale 70 ashaaba bhi saamil hain.

Hazrat Imaam Umar bin Abdul Azeez rahmatullāhi alaihi se aap ke bahot achhe ta’aaluqaat the.

**************
Shuru me aap jawaahirat ki tijaarat ka kaarobar karte the. Istanbul (Byzantium) me baadshah Caesar ke wazeer aur afsaro ke saath aap ke ta’alluqat the.

Ek baar aap tijaarat ke silsile me Istanbul gaye to waha ke wazeere aazam ne aap se kaha ‘Agar aap ijaazat den to aaj main aap ko mere saath ek khas jagah par lekar jaata hu.’ Aap uske saath sehra (registan) me ek jagah par gaye. Aap ne dekha ki waha ek khaima banaaya gaya hai jis ko reshmi aur sunehari rassiyo se baandha gaya hai.
Kuchh der baad baadshaah ka sipaahiyo ka lashkar aaya aur us khaime ke chakkar lagaye aur kehne lage ‘Aye shehzaade, Agar hamare bas me hota to hum hamari jaan ki qurbani dekar tumhe bacha lete. Magar afsos ki ye mumkin nahi tha. Hum apni jaan dekar bhi tumhe bacha nahi sakte the.’
Is ke baad taqreeban 400 aalimo aur falsafiyo ka majma aaya aur us khaime ke chakkar lagaye aur kehne lage ‘Aye shehzaade, Agar hamare bas me hota hum hamare ilm ke istemaal se tum ko bacha lete. Magar afsos ki ye mumkin nahi tha. Hum apne ilm se bhi tumhe bacha nahi sakte the.’
Is ke baad taqreeban 300 buzurgo ka majma aaya aur us khaime ke chakkar lagaye aur kehne lage ‘Aye shehzaade, Agar hamare bas me hota hum apni sifarish se tumhe bacha lete. Magar afsos ki ye mumkin nahi tha. Hum apni sifarish se bhi tumhe bacha nahi sakte the.’
Is ke baad taqreeban 200 haseen aurte apne haatho me sona, chaandi aur here jawahirat se bhare tabaaq lekar aai aur us khaime ke chakkar lagaye aur kehne lage ‘Aye shehzaade, Agar hamare bas me hota ham hamare husn aur is maalo daulat se tumhe bacha lete. Magar afsos ki ye mumkin nahi tha. Hum hamare husn aur is maalo daulat se bhi tumhe bacha nahi sakte the.’
Phir khud baadshaah Caesar aage aaya aur us khaime ke chakkar lagaye aur kehne laga ‘Aye meri aankho ke noor, mere dil ke chain, mere sab se pyare bete, Tere baap ke haatho me kya tha? Agar main kuchh bhi kar sakta to kisi bhi tarah tumhe bacha leta. Magar tamaam aalim, falsafi, musheer, sipaahi, khaadim, haseen kaneeze, maalo daulat, khazaana aur tamaam saamna har cheez bekaar rahi. Main kisi bhi tarah tumhe bacha nahi saka. Dua hai ki agle saal tak tumhe sukoon mile.’
Ye kehkar wo sab ke saath waapas laut gaya.

Aap ne us wazeer se puchha to pata chala ki baadshaah ka jawaan ladka tha jo bahut khubsurat, bahut ilm wala, bahaadur aur taaqatwar tha. Achanak wo beemar hua. Koi tabeeb ya hakeem us ki beemaari ka ilaaj nahi kar sake. Aakhir me wo dunya se guzar gaya aur yaha is khaime ke andar dafn kiya gaya. Tab se har saal baadshaah in sab ko lekar yaha aata hai aur sab is tarah chakkar lagaakar ye sab baaten kehte hain.

Is waaqye ka aap par aisa asar hua ki Basra aane ke baad baaqi ki zindagi me aap kabhi kisi bhi baat par hans nahi paaye.

Aue hamesha taqwa aur parhezgaari ke saath zindagi guzaari aur khauf e khuda ke saath maut, qabr aur qayaamat ko yaad karte rahe.

**************
Ek baar ek nau-jawaan ko aap ne zor se hanste hue dekha to aap ne farmaaya ‘Kya tum pul siraat ko paar kar liya hai?’ Us ne kaha ‘Nahi.’ Aap ne kaha ‘Kya tum jaante ho ki tum jannat me jaaoge ya jahannam me?’ Us ne kaha ‘Nahi.’
Aap ne farmaaya ‘Phir tum is tarah kyun hanste ho?’
Us nau-jawaan par is naseehat ka aisa asar hua ki wo phir kabhi zor se hansa nahi.

**************
Aap ke pados me Sim’oon naam ka ek majoosi rehta tha. Jab wo sakraat me tha to aap ke dosto ne us ke ghar par jaakar ke liye ilteja ki. Aap us majoosi ke ghar par gaye to dekha ke wo bistar me hai aur aag aur dhuen ki wajah se us ka chehra kaala ho gaya hai.
Aap ne us se farmaaya ‘Tum ne puri zindagi aatish parasti ki hai. Ab aakhri waqt me musalman ho jaao, ALLĀH ta’ala tum par raham farma de.’
Us ne kaha ‘Mujhe 3 baato se ta’ajub hota hai – (1) Log dunya ko bura kehte hain magar puri zindagi use haasil karne me guzaarte hain. (2) Log jaante hain ki ek din maut aani hai aur dunya se chale jaana hai, magar maut ke baad ke liye koi tayyaari nahi karte. (3) Log maante hain ki ek din ALLĀH ki baargaah me haazir hona hai, magar us ki raza ke liye koi amal nahi karte.’
Aap ne farmaaya ‘Tum jo keh rahe ho wo aam logo ke liye sahi hai. Magar mo’min ALLĀH ta’ala ki waahadaaniyat jaanta hai aur hamesha us ki raza ke liye uski ibadat karta hai.’
Phir aap ne farmaya ‘Tum 70 saal se aatish ki ibaadat karte ho aur maine kabhi is ki ibaadat nahi ki hai. Agar ham dono ko dozakh me daala jaaye to in sha Allah ALLĀH ki rahmat se mujhe koi nuqsan nahi hoga. Ye aag ALLĀH ta’ala ki paida ki hui hai. Ham dono is me haath daalkar dekhte ki aag kise jalati hai. Is ke baad tum ALLĀH ta’ala ki qudrat jaan jaaoge.’

Ye kehkar aap ne aag me apna haath daala to aag ne aap ko kuchh bhi nuqsan nahi kiya. Ye dekhkar majoosi ko ta’ajub hua aur use sahi baat pata chali. Us ne kaha ‘Maine to puri zindagi aatish-parasti ki hai. Ab to chand saanse baaqi hai. Main kya karu?’
Aap ne farmaaya ‘Foran musalman ho jaao.’
Us ne kaha ‘Aap agar mujhe likhkar de ki ALLĀH ta’ala mujhe azaab nahi dega to main eimaan laau.’
Aap ne use ek kaagaz par likhkar diya. Phir us ke kehne par Basra ke kuchh logo ko gawah banakar un ke bhi dastkhat karwaaye.
Us majoosi ne rote hue tauba ki aur eimaan laaya. Aur phir aap se kaha ‘Jab mera inteqaal ho jaaye to aap mujhe gusl dekar takfin aur tadfin karna aur is kaagaz ko meri qabr me rakh dena.’
Aap ne us ki wasiyat ke mutaabiq us ko ghusl diya aur kafan dekar namaaz e janaaza padhaai aur us ke liye dua e maghfirat ki aur dafn karte waqt us kaagaz ko qabr me us ke saath rakha.

Phir aap jab apne ghar aaye aur raat ko sone lage to aap ko khayal aaya ki main khud ke hashr ke baare me nahi jaanta to main us aadami ke baare me kaise jamaanat de sakta hu. Raat ko khwaab me aap ne Simeon ko dekha. Wo noorani chehre ke saath sar par taaj pehne hue aur jannati libaas pehne hue jannat me ghum raha hai. Aap ne use puchha ‘ALLĀH ne tere saath kya muamala kiya.’ Us ne kaha ‘ALLĀH ne aap ki dua se mujh par raham farmakar mujhe bakhsh diya. Us ne aap ki jamaanat ki laaj rakhi. Ab mujhe is ki zaroorat nahi hai. Is liye main ise waapas de raha hu.’

Jab aap ki aankh khuli to aap ne dekha ki wo kaagaz aap ke haath me tha. Ye dekhkar khushi se aap ki aankh me aansoo aa gaye aur kehne lage ‘Aye ALLĀH, Tu bada meharbaan aur raham farmaane waala aur qaadir e mutlak hai. Tera ehsaan hai ki tune meri laaj rakh li.’

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm