Islamic Blog

» Mehfum-e-Hadees : Ibn Umar(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Koi Shakhs Kisi Aurat Ke Paas Nikah Ka Paighaam Na Bheje Agar Uss Shakhs Ka Bhai Uss Hi Aurat Ke Paas Pehle Se Hi Shaadi Ka Paighaam Bhej Chuka Ho.”
– (Sunan Ibn Majah: Hadees No.1868)

» Takhreej: Agar Ye Maaloom Ho Jaaye Ki Uss Aurat Ne Abhi Tak Pehla Waala Paighaam Qubool Nahi Kiya Hai Aur Na Hi Wo Uss Paighaam Ki Taraf Koi Khaas Jhukaao Rakhti Hai Tou Doosra Shakhs Paighaam Bhej Sakta Hai. Aisa Hone Par Uss Aurat Ko Un Dono Me Se Apne Liye Zyada Behtar Shauhar Talaash Karne Ka Mauka Mil Jaayega Aur Waaledain Bhi Apni Beti Ke Liye Is Maamle Me Zyada Behtar Soch Paayenge.

Nikah Ki Mubarak-Baad Dene Ki Dua ….

» Mahfum-e-Hadees : Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Kisi Ko
Nikah Ki Mubarak-Baad Detey Tou Ye Dua Kahte –

“Barak’Allahu Laka Wa Barak Alaik Wa Jama’aa Baynakuma Fi Khairin”
(Tarjuma: Allah Tumko Barkat De Aur Tum Par Barkat Nazil Kare Aur Tum Dono Ko Bhalayee Ki Taufiq Dey).
– (Sunan Abu Dawud, Vol 2, Hadees#363-Sahih :

Nikah Nigaah Aur Sharamgah Ki Hifazat Karta Hai ….

» Mahfum-e-Hadees: Abdullah-Bin-Masud (Razi’Allahu Anho) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Aye Jawaano Jo Tum Me Se Aurato Ke Hakooq (Haq) Ada Karne Ki Taaqat Rakhta Hai Tou
Wo Nikah Jaroor Kare, Kyunki Nikah Nigaah Ko Zukaata Hai Aur Sharmgah Ki Hifazat Karata Hai
Aur Jo Iski Taaqat Na Rakhe Tou Woh Roza Rakhe Kyunki Ye Sehwat (Wasna/Sex) Ko Kum Karta Hai”.
– (Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 52, Tirmizi Sharif, Jild 1, Safa 533)

☆ Bewah Aurato Ka Nikah ….

Kuch Aisi Rasam’en Bhi Musalman Me Raaij Hai Ke Bewah Aurat Ka Nikah Ko Bura Aur Aar Samjhte Hai,
Balke Is Ko Aib Samajhne Me Kufr Ka Khauf Hai Kyunke Shariyat Ke Kisi Hukm Ko Aib Samajhna
Aur Iss Ke Karne Wale Ko Zaleel Jan’na Kufr Hai.

Allah Ta’ala Ne Quraan-e-Kareem Me Irshaad Farmaya Hai :
2665 Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aur Nikah Kardo Apno Me Inn Ka Jo BeNikah Ho
Aur Apne Layaq Ghulamao Aur Kaneezao Ka …”
– (Sureh Al’noor)

» Mahfum-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke –
“Yaani Meri Ummat Me Fasaad Phail Jane Ke Waqt Jo Shakhs Musibat Ke Waqt
Meri Sunnat Per Amal Kare Iss Ko 100 Shaheedo Ka Sawaab Milega”.
– (Mishkaat Jild 1, Safa 30 Asah’al’matabeh, Jannati Zewar 304, 305)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm