Islamic Blog

SAWAAL: Kya aurat k liye Aawaz wala zewar pahanna bilkul man’a hai?
JAWAAB: Nahi’n aisa hargiz nahi’n, mere Aaqa Aala Hazrat, Imame Ahle Sunnat Maulana Shah imam Ahmed Raza Khan علیہ رحمة الرحمٰن FATAVA R-ZVIYYA JILD 22 SAFAH 127 AUR 128 PAR FARMATE HAIN:
Balki aurat ka ba basfe kudrat bilkul be zewar rahna makrooh hai ki Mardon se tashbboh ( musha – bahat ) hai.Mazeed farmate hai: Hadees mein hai:
RASOOLALLAH (صلی اللہ علیہ وسلم) ne Maula Ali کرم الله وجھہ se farmaya یا علی مرنساءک لا یصلین عطلا
TARJUMA : Ai Ali ! Apne ghar kee khawateen ko hukm do ki zewar k bigair Namaz na padhen.
Ref ( المعجم الاوسط للطبرانی ، جلد ، 1 , صفحہ ، 262 , حدیث 5929
Ummul mu’amineen Hazrate Siddiqa رضی الله تعالیٰ عنہا aurat ka be zewar Namaz padhna Makrooh ( yani na pasandeeda ) Janti aur farmati kuch na Paae to ek dora hee gale mein Bandh le.
Ref ( السنن الکبری للبیہقی ، جلد ، 2 صفحہ ، 232 , حدیث ، 3227
ALA HAZRAT رحمة الله تعالیٰ علیہ Bajne Wale zewar k isti’maal k MU-TA’ALLIQ irshad farmate hain:
Bajne Wala Zevar aurat k liye is halat mein jaiz hai ki na mahrmon ma-slan khala Mamoon Chacha foofee k beton, jeth, dewar, bahnoee k samne na Aati ho na us k zewar kee jhankar ( yani Bajne kee Aawaz ) na maharam tak pahunche. ALLAH عزوجل farmata hai:
ولا یبدین زینتھن الا لبعولتھن
TARJUMA E KANZUL IMAN :
Aur apna Singaar zahir na karen magar apne shoharon par پارہ 18 ،النور ، 31 aur farmata hai:
ولا یضربن بارجلھن لیعلم ما یخفین من زینتھن
TARJUMA E KANZUL IMAN
Zameen par paun Zor se na rakhen ki jana jaae un ka Chupa hua Singaar پارہ 18 ،النور ، 31 FAYDA : Yeh Aayate Kareema jis tarah na maharam ko gahne ( yani Zevar ) kee Aawaz pahunchna man’a farmati hai Yoon hi jab Aawaz na pahunche (to)is ka pahanna Auraton k liye jaiz batati hai ki dhamak kar paun rakhne ko man’a farmaya na ki pahanne ko…
Ref ( FATVA RA-ZVIYYA, JILD 22 , SAFAH 127 , 128 , MULAKHKHASAN )

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm