Islamic Blog

Hazrat Musa (alyhissalam) Allah se baat kiya karte the, ek baar unhone pucha, Ae Allah aesi koi khaas tasbeeh bata, jisko mein tere liya padh saku, Allah ne farmaya ke (La Elaha il lalla) padha karo, Musa (alyhissalam) ne kaha ke ye to sab bolte hain, mere liye kuch khaas alag se tasbeeh. Is par Allah ne farmaya ke “Ae Musa, agar saato zameen aur saato aasman tarazu ke ek palde mein rakh diye jaaen, aur ek taraf ye (La Elaha il lalla) rakh diya jaae to (La Elaha il lalla) wala palda jhuk jaaega.
Ref.: al-Nasa’i
Dosto, ye lafz zaban par bahut halke hain, lekin nekiyo ke palde mein bahut bhari honge, isliye is tasbeeh ko zyada se zyada baar jab bhi time mile padh liya karo, hum isko kalma ki shakal mein pura karke padh le to aur zyada behtar hai.
(La Elaha il lalla Muham madur rasool Allah)
Ho sakta hai kisi ko iski ahmiyat abhi samajh na aae, iska result to marne ke baad hi saamne aaega, lekin marne ke baad amal karne se koi faida nahi hoga, kyonke neki sirf zinda rahte hi kamai ja sakti hai, saans ruki ke amal ka daftar band. Isliye dosto abhi time hai, jitna chaho Allah ki ibadat kar lo, gunaho se bach lo, kyonke ye zindagi bahut chhoti hai, abhi hamari jitni bhi umar hai, socho ke kese guzar to lagta hai bahut jaldi guzar gai, aage ki to isse bhi zyada tezi se guzarne waali hai, kyonke aage to aur zimmedariya badhna hi hai.
Allah paak hum sabko amal ki taufik ata kare,

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)

One Response

  1. Excellent web site. Plenty of սseful information here. I’m sending it to a feա friends ɑnd alsⲟ sharing іn delicious.
    And of cߋurse, thanks for yοur effort!