Islamic Blog

Jis ne fazar ki namaaz nahi
padhi woh Eid ki namaaz padh sakta
hai.Haan woh Fazar ki namaaz nahi
padhega to gunah’gaar zarur hoga.

Sawal No.22: Aam Logon mein ye baat
mash’hoor hai ki biwi ke inteqaal ke baad
shauhar us ka chehra nahi dekh sakta.Kya
ye sahi hai?
Jawab No.22: Ye bilkul galat hai.Sahi
mas’ala ye hai ki aurat ke marne ke baad
shauhar us ka chehra dekh sakta
hai.Kaandha de sakta hai aur use qabar
mein bhi utaar sakta hai.Sirf us ke badan
ko begair kapde ke chhu nahi sakta hai.

Sawal No.23: Kuchh logon ka ye khayal hai
ki Jis ki biwi ke pet mein bachcha ho aise
aadmi ko kisi mayyat ko kaandha nahi dena
chahiye.Kya ye sahi hai?
Jawab No.23: Nahi.Ye galat hai.Mayyat ko
kaandha dena sawab ka kaam hai.Har
musalman ko is mein hissa lena chahiye us
ki biwi ke pet mein bachcha ho ya na ho.

Sawal No.24: Ye baat mash’hoor hai ki
Quran sharif agar galti se haath se ya
almira se gir jaaye to Quran sharif ke
wazan ke barabar gehon ya chaawal sadqa
karna zaruri hai.Kya ye sahi hai?
Jawab No.24: Quran sharif agar galti se gir
jaaye to koi gunah nahi.Sadqa karna
achchhi baat hai is se Allah ta’ala khush
hota hai aur aane wali musibatein talti
hain.Lekin Quran sharif ke wazan ke
barabar sadqa karna aur us ko us ka badla
samajhna jihaalat hai.

Sawal No.25: Kuchh log kuchh tarikhon
mein shadi biyah karne ko bura samajhte
hain.Jaise 3/13/23 aur 8/18/28.Kya ye
sahi hai?
Jawab No.25: Ye khayal bilkul galat
hai.Islam mein kisi bhi mahine aur kisi bhi
taarikh mein shadi biyah karna jaa’iz hai.

Sawal No.26: Aaj kal lottery ka bahut riwaj
ho gaya hai.Kya ye durust hai?
Jawab No.26: Ye ek qism ka juwa hai.Is liye
ye najaa’iz aur haraam hai.

Sawal No.27:Kuchh log Ye samajhte hain ki
aurat na jaanwar zabah kar sakti hai aur na
hi fatiha de sakti hai.Kya ye sahi hai?
Sawal No.27: Kuchh log samajhte hain ki
aurat fatiha nahi padh sakti hai.kya ye sahi
hai?
Jawab No.27: Jis tarah mard jaanwar zabah
kar sakta hai aur fatiha padh sakta hai usi
tarah aurat bhi. Aur jo log samajhte hain ki
aurat aisa nahi kar sakti woh galat hai.

Sawal No.28: Kuchh log gair-muslimo ko
salam kar dete hain.Kya ye jaa’iz hai?
Jawab No.28: Aisa karna haraam hai.Gair
muslimon ko salam nahi karna chahiye.

Sawal No.29: Kuchh log baat baat par apni
jaan ki aur maa baap ki qasam khaate rehte
hain.To agar koi aisa shakhs apni qasam
tod de to kya use kaffara dena padhega?
Jawab No.29: Baat baat mein qasam
khaane se huzur ﷺ ne mana farmaya hai.Is
liye ye bahut hi buri aadat hai.Lekin agar
kisi ne Allah ke elawah kisi chiz ki qasam
kha’ee aur phir tod diya to us par kaffarah
nahi hai.Shari’at mein sirf un qasmon ko
tod dene par kafaara hota hai jo Allah ke
naam paar khaa’ee ga’ee ho.(Qasam ka
kaffara ye hai ki 10 miskin ko 2 waqt
khaana khilaye ya 10 miskin ko kapda
de.Aur agar in dono mein se koi kaam
karne ki taaqat na ho to 3 roze rakhe.)

Sawal No.30: Aaj kal aise msgs jagah jagah
se aate hain ki Ye msg 10 logon ko bhejo
24 ghante mein koi khush’khabri zarur
milegi.Ye msg 9 logon ko bhejo nahi to 9
saal tak pareshani rahegi wagairah.Kya
aise msg send karna zaruri hai?
Jawab No.30: Aise msg karne wale log
bilkul jaahil hote hain.Is ki koi haqiqat nahi
hai.Hame aise msgs ko hargiz dusron ko
send nahi karni chahiye.

Sawal No.31: Kuchh log kehte hain ki mere
paas Quran ya hadis ka koi msg mat karna
kyunki ye ek na ek din delete hoga.To ye
Quran aur hadis ko mitana hoga. kya ye
khayal sahi hai?
Jawab No.31: Ek zamaane taka aam log
deen se door the.Unhein apne deen ke
baare mein kuchh maloom nahi hota
tha.Magar aaj is ke zari’ye bahut saare log
Quran aur hadis ki baaton ko jaan rahe hain
aur apne deen ko samajh rahe hain.Is liye
jo islam ke dushman hain un ko ye baat
achchhi nahi lagti to is tarah ki mithhi aur
dhoka dene wali baatein nikalte hain.Hame
aisi baaton par dhayan nahi deni
chahiye.Kyunki ye Quran aur hadis ke ilm
ko phailana hai.Quran aur hadis ko mitana
nahi hai.

Sawal No.32: Agar Quran sharif itna purana
ho jaaye ki us ko chhu ne se hi us ke warq
phat-te ho.To use kya karna chahiye?
Jawab No.32: Use kisi paak kapde mein
lapet kar kisi ehtiyat wali jagah(Yani jahan
par log nahi chalte ho) par dafan kar dena
chahiye.Aur dafan mein is baat ka khayal
rakhna chahiye ki mitti us par na pade.Is
liye us ke upar se takhta wagairah laga
dena chahiye.

Sawal No.33: Kurte ya shirt mein sone ya
chandi ka button lagana mardon ke liye
jaa’iz hai ya najaa’iz?
Jawab No.33: Sone aur chandi ka buton
lagana mard aur aurat dono ke liye jaa’iz
hai jab ki woh button chain wali na ho.
Sawal No.34: Kuchh log kehte hai ki kala
khizab lagana haraam hai lekin kaali
mehandi lagana jaa’iz hai.Kya ye baat sahi
hai?
Jawab No.34: Jis tarah kaala khizab lagana
haram hai usi tarah kaali mehandi bhi
lagana haraam hai.Hadis sharif mein hai ki
jo log apne baalon ko kaala karte hain un
ke chehre qayamat ke din kaale kar diye
jaa’enge.
Sawal No.35: Awaam mein mash’hoor hai ki
aqiqe ka gosht bachche ke maa baap,dada
dadi aur naana naani ko khaana jaa’iz nahi
hai.Kya ye mas’ala sahi hai.
Jawab No.35: Bilkul galat hai.Sab log khaa
sakte hain.
Sawal No.36: Kuchh logon ko dekha jaata
hai ki woh apne haath ki har ungli mein
anguthi pehane hue hote hain aur kehte
hain ki ham tariqat wale hain.Kya mardon
ke liye ek se zyadah anguthi pehan’na jaa’iz
hai?
Jawab No.36: Aise log jaahil aur naadan
hote hain.In logon se hame door rehna
chahiye.Mardon ke liye sirf ek nag wali ek
chandi ki anguthi jis ka wazan 4/1.2
masha se kam ho jaa’iz hai.Is ke elawah
sona,loha,taamba,pital aur dusre dhaat se
bane hue kisi bhi qism ka zewar mardon ke
liye pehan’na najaa’iz aur haram hai.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm