Islamic Blog

Qiyamat ke din log apni-apni qabron se nange badan nange paao’n uthenge, aur woh log aise honge ki unka khatna na hua hoga, koi sawar honge koi paidal,kuch akele sawar honge aur kisi par 2, kisi par 3, kisi par 4, kisi par 1 sawarhonge,

kafir muh ke bal chalte-chalte maidane hashr me jayenge, kisi ko firishte ghaseet kar le jayenge,kisi ko aag gher kar le jayegi,

yeh hashr ka maidan mulke shaam me qaaim hoga, zameen taambe ki ki hogi aur itni chiknee aur barabar hogi ki ek kinaare par raai ka dana gir jaye to dusre kinaare se saaf dikhai dega, us din sooraj ek meel par hoga,

is hadees ke riwayat karne wale kahte hain ki pata nhi meel ka matlab surme ki salaai hai ya raste ki doori hai, agar raste ki doori bhi maan li jaye to bhi sooraj bahut qareeb hoga qki ab sooraj 4000 saal safar ki doori par hai aur humari duniya ki taraf sooraj ki peeth hai, to fir bhi jab sooraj samne aa jata haito ghar se nikalna dushwar ho jata hai,lekin jab sooraj ek meel ki doori par hoga, aur sooraj ka muh humari taraf hoga to aag aur garmi ka kya haal hoga, aur ab to zameen mitti ki hai to pair me chhale padte hain, to us waqt jab zameen taamae ki hogi aur sooraj qareeb hoga to us waqt garmi ka koun andaaz kar sakta hai,

ALLAH panaah me rakhe. us waqt haal yeh hoga ki sar ke bheje khoulte honge aur itna zyada paseena niklega ki paseene ko zameen 70 gaz tak sokg legi, fir jo paseena zameen na pee sakegi woh paseena zameen se upar chadte-chadte kisi ke thakhno tak, kisi ke ghutno tak,kish ke kamar tak, kisi ke seene aur kisike gale tak pahunch jayega, aur kafiron ke muh tak pahunch kar lagaam ki tarah jakad lega, jisse woh dubkiyan khayega,

is garmi me pyaas ka haal yeh hoga ki zubanein sookh jayegi aur muhse bahar nikal aayengi, dil ubal kar gale ko aa jayenge,

har ek ko uske gunah ke mutabiq saza milegi, jisne sona chandi ki zakaat na di hogi us maal ko garm karke uske karwat, peshani aur peet par daag diya jayega jisne janwar ki zakaat na di hogi uske janwar qiyamat ke din khub mote taaze hokar aayenge aur us aadmi ko wahan lita kar woh janwar apne sing se maarte aur pairo’n se roudnte hue uspar se us waqt tak guzarte rahenge, jab tak logon ka hisab khatm ho,

is tarah aur doorsi sazaayein bhi hongi fir yeh ki in musibaton me koi ek dusre ka puchne wala na hoga, bhai bhai se bagta dikhai dega, MAA BAAP aulaad se peechha chuudayenge, biwi bachache alag jaan churayenge,har ek apni musibat me giraftar hoga, koi kisi ka madadgar na hoga.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm